Vaginal Dryness in Women: Yoni Mai Sukhapan Hone Ke Karan

Sex ke liye purusho ka yon swasth jitna mahatwapurn hota hai utna hi mahilao ki yoni ka bhi swasth rehna bahut jaruri hota hai.  Lekin kai mahilaye apne sharirik aur yoni ke swasthya ko andekha kar deti hai. Mahilao ki yoni mai koi bhi pareshani hona ya fir yoni mai sukhapan hone se mahilao aur purush dono ko sambhog ke bad aanand ki anubhuti nahi ho pati hai.

Mahilao ki yoni mai chiknai garbhashay greeva ke dwara banta hai jo ki kai prakar ke aavashyak karya jaise ki yoni ko sankraman se bacahana, sambhog ke doran madad karna, yoni ko swachchh banaye rakhna aadi.

Lekin yoni mai chiknai na hone ki wajeh se yoni mai sukhapan aa jata hai. Isse purush ho ya mahila sambhog ka aanand nhi le pate hai aur sex ke samay mahilao ko dard bhi hone lagta hai. Yoni mai sukhapan hone ki kai wajeh hoti hai jaise mahilao ke hormones mai parivartan hona, kisi dawa ka dushprabhav padna, chinta aur mansik tanav hona aadi. Inn sabhi karano se bhi yoni mai chiknahat kam ho jati hai aur sukhapan aa jata hai.

Yoni mai sukhepan hone ke karan, lakshan aur iske sahi tarah se ilaj ke bare mai janne ke liye yaha padhe Vaginal Dryness in Women.
 

Vaginal Dryness in Women: Jane Iske Pramukh Karan aur Lakshan

 
Vaginal Dryness in Women
 
Aam tour par yoni mai lubricant(chiknai) ke  na hone aur sukhapan hone kai lakshan hote hai to aaiye padhe Vaginal Dryness symptoms.

  1. Yoni mai dheelapan aa jana
  2. Yoni mai jalan aur khujali hona
  3. Yoni ke aaspas ke star ka patla hona aur sukhapan lagna
  4. Burning sensation
  5. Sambhog ke doran dard hona

Yoni mai sukhapan hone ke kai karan hote hai jaise hormonal mai parivartan, manovaigyanik parivartan aadi. To aaiye padhe Vaginal Dryness causes.
 

Yoni mai Jalan(Irritation)

Yoni mai sukhapan hone se kai mahilao ki yoni ke pas kisi bhi vastu jaise sabun, dyes, perfumes, detergent aadi se allergy aur jalan mehsus hone lagti hai. Aur kabhi kabhi to underwear aur towels se bhi allergy hone lagti hai.
 

Hormones Mai Parivartan

Estrogen ek hormones hai jo ki yoni ke uttako ko swasth rakhne ka kam karta hai. Yeh hormones yoni mai lubricant, acidity leval aur elasticity ko banaye rakhne mai madad karta hai. Lekin jab estrogen ke leval mai kami aati hai to yoni mai lubricant ki kami, yoni mai dheelapan jaisi pareshaniya hone lagti hai.

Lekin prasav ke samay, period ke samay aur baccho ko stanpan karate samay iss hormones mai kami aa jati hai. Iske alava yadi mahilaye kisi bhi cancer ke ilaj ke liye radiotherapy, chemotherapy ya fir kisi anya dawao ka bhi istemal karti hai to estrogen hormones mai parivartan aa jata hai.
 

Dawao Ke Istemal Se

Yadi mahilaye bajar se kharide gaye vaginal cleanser ka bhi upyog karti hai to yeh cleanser ki wajeh se bhi yoni ke natural balance par prabhav daalti hai jo ki yoni mai sukhapan ka karan banta hai.
 

You May Also Like:- Symptoms of Pancreatic Cancer: Jane Iss Bimari Ke Lakshan

 

Aparyapt Kamottajana

Yadi mahila ke sathi mai aparyapt kamottajana hona jaise kabhi bahut baut bal ke sath, teji se ya fir kabhi bahut kam sambhog ka pradarshan bhi yoni mai snehak ki kami ka karan banta hai.
 

Chinta aur Tanav

Chinta aur tanav ki wajeh se bhi mahilao ki yoni mai lubricant ki kami ho jati hai. Chikitsak ki mane to jab mahilao ko bahut adhik chinta ya fir tanav mai rehti hai to unki yoni mai sahi tarah se rakt ka pravah nahi ho pata hai jisse lubricant bhi sahi tarah se nahi ban pata hai. Aur yahi wajeh hai ki yoni mai sukhapan aa jata hai.
 

Mahilao Ki Yoni Mai Sukhepan Ka Upchar

Mahilao ki yoni mai sukhapan ke kai prakar ke upchar bhi hai jinki madad se snehak ke star ko badhaya ja sakta hai. Yoni mai sukhepan ka ilaj, iske karano aur lakshano ko pehchanne ke bad hi kiya jata hai.

We mahilaye jinme estrogen ke leval mai parivartan ke karan yoni mai sukhapan hai unke liye strogen therapy sahi ilaj hota hai. Iske alava kai cream, skin patch, gharelu upayo ko apnakar bhi yoni mai nami ko banaye rakha ja sakta hai.

Lubricants :- Lubricant silican, pani aur tel yukt padarth hota hai jo ki sambhog ke doran dard aur itching nahi hoti hai aur aanand ki prapti hoti hai.

Moisturizers : – Bajar mai kai prakar ke moisturizers milte hai jinka prayog lubricant ke leval ko badhane mai kiya jata hai.

Kuch gharelu tariko ko bhi apnakar yoni mai nami layi ja sakti hai. Yaha padhe Home Remedies for Vaginal Dryness.

  1. Sharir aur yoni mai pani ki kami na hone ke liye rojana kam se kam 8 glass pani jarur pina chahiye.
  2. Ek glass pani mai aur ek chammach methi ke beej ko 10 se 15 minute ke liye pani mai ubal le. Iske bad iss pani ka sevan kare, yeh hamare sharir ke system ko sahi tarah se banaye rakhne aur sambhog karne ki iksha ko bhi badhane mai madad karta hai.
  3. Yoni mai sukhepan ko dur karne ke liye aloe-vera jel ke sath, kesar aur ashwagandha dudh ko saman anupat mai milaye aur sevan kare.

Upar aapne jana Vaginal Dryness in Women. Yadi aap bhi yoni mai sukhepan ki samasya se pareshan hai to iske karan aur upayo ko jankar iska sahi ilaj kare.

Loading...

You may also like...