Hamare sharir ki twacha ko sundar banaye rakhne ke liye bahut dekhbal ki jarurat padhti hai. Hamari twacha par bahari pradushan aur dhul-mitti ka bahut asar bahut jaldi hota hai. Yaha tak ki cosmetic ke prayog karne se bhi twacha kharab hoti hai.
Isliye twacha ki dekhbal bahut jaruri hai. Twacha ko sirf bahari dekhbal nahi balki andruni dekhbal ki bhi jarurat hoti hai. Isliye hame apne aaharo mai kuch aise tatvo ko shamil karna chahiye jisse hamari twacha ko andar se swasth ban sake.
Kya aap jante hai vitamins hamare sharir ke jaruri hote hai. Yeh naa keval aapke sharir ko takat dete hai balki aapke chehre ko bhi damka dete hai. Agar vitamins ka sevan naa kiya jaye to twacha apni name kho deti hai aur bahut hi jaldi wrinkles padne lagte hai. Isliye apne aaharo mai vitamins ko jarur shamil kare. To aaiye jante hai Vitamin Benefits for Skin jiski madad se aap paa sakti hai sundar bedaag twacha.
Vitamin Benefits for Skin: Inn Sab ke Sevan Se Milte Hai Labh
Vitamin A Se Jhuriya Hataye
Vitamin A hamari twacha ke liye behad jaruri hai. Iske sevan se chehre ke muhase aur daag dhabbe dur hote hai. Agar Vitamin A ka sevan naa kiya to twacha jaldi hi murjha jati hai aur budhapan dikhayi dene lagta hai. Isliye apne aaharo mai Vitamin A se bharpur bhojan jaise gajar, louki, dudh, machali aadi ko shamil kare.
Vitamin B Se Paye Damakti Twacha
Vitamin B Benefits in Hindi bhi kam nahi hai. Vitamin B ke sevan se rakt sanchar sudharta hai aur twacha mai chamak aati hai. Jin logo ko chehre par natural glow chahiye wo vitamin B ka sevan jarur kare. Iski purti karne ke liye apne aaharo mai ande ka pila hissa, nut, kishmis, tamatar, banana, rice, mashrum aadi ko shamil karna chahiye.
Vitamin C Twacha Ki Tanning Hataye
Twacha ki behtar dekhbhal ke liye yeh vitamin antioxidant ka kam karta hai. Yeh twacha ko suraj se aane wali hanikarak ultraviolet kirno se bachata hai aur sath hi kale dhabbo ko dur karne mai bhi sahayak hota hai. Vitamin C Benefits in Hindi kai hai. Isse twacha mai lachila pan aata hai,kasavat aati hai. Sath hi ghavo ko bharne mai bhi yeh madad karta hai.
Twacha ko khubsoorat dikhane ke liye bazaar mai iss vitamin se yukt kai prakar ki creams bhi moujud rehti hai. Lekin inn sabhi padartho mai chemicals ki matra payi jati hai jisse skin par iske kai side effect bhi pad sakte hai. Isliye behtar hai ki aap prakratik chizo ke sevan se hi iski kami ko pura kare. Vitamin C ke liye apne aahro mai tamatar, papita, amrud aur hari sabjiyo aadi ko shamil karna chahiye.
You may also like:- Tea Benefits in Hindi: Chai Pine Ke Hai Kai Fayde
Twacha Ki Jalan Kam Kare Vitamin D
Suraj ki kirno se hame vitamin D milta hai. Jo hamare liye bahut jaruri hota hai. Agar suraj ki kirno ke alawa ande, machali, dudh, mashroom aadi ke sevan se bhi iski purti ki jaa sakti hai. Iske sevan se twacha mai hone wali jalan se chutkara paya jaa sakta hai.
Kai logo ko unke hatheliyo aur pairo mai jalan ki shikayat hoti hai, unhe doctor vitamim D ki goliya dete hai
Vitamin E
Vitamin E ek behtar anti ageing ka kaam karta hai. Yeh twacha mai nami lane ka kam karta hai jisse twacha mulayam hoti hai. Vitamin E Benefits pane ke liye apne aaharo mai surajmukhi ka tel, badam, mungfali, hari pattedar sabjiya aur falo ke ras ka sevan karna chahiye.
Vitamin K
Vitamin K ki kami hone par twacha rukhi padne lagti hai. Bharpur pani pikar iss kami ko dur kiya jaa sakta hai. Vitamin K hamare liye bahut hi jaruri hai. Iski kami hone se twacha suj jati hai aur aankho ke niche bhi kale dhabbe padne lagte hai. Vitamin K aankho ke kale ghere aur twacha ke daag dhabbo ko dur karne mai sahayak hota hai. Iski kami ko pura karne ke liye hari pattedar sabjiya, ande, palak aur khub matra mai pani pina chahiye.