Vitamin K Rich Foods in Hindi – Sharir Ko Swasth Banaye

Britain ke shodhkartao ke anusar, agar bachpan se hi vitamins yukt poshak aahar baccho ko diya jaye to kuposhan se hone wali mrityudar ki aashanka 24 fisadi tak kam ho sakti hai. Iss bare mai Britain ki oxford university ke shodh kartao ne shodh kiya hai. Vishv swasthya sangathan ne apne aklan mai kaha hai ki puri dunia mai 5 saal se kam aayu ke lagbhag 19 crore baccho mai vitamin ki kami payi jati hai. Jis karan unme kai prakar ke vicar utpnn ho jati hai.

Kabhi-kabhi aapne aise logo ko bhi dekha hoga jo aise mausam mai bhi pankha dhima rakhte hai, jab baki log garmi se pareshan ho rahe hote hai, kyoki aise logo ka sharer thanda mehsus karta hai. Iske alawa hath-pero mai jhan-jhanahat, jalan, jodo mai dard, dil ki dharkan tej hona, sans chadna, twacha pili panda, bhook kam lagna, kamjori mehsus hona aadi anek prakar ki samasyao se pareshan rahte hai. Yah sabhi pareshaniya vitamis ki kami sharer mai hone se hoti hai. Jinhe samay par nahi samjhne par hum apne sharer ko nayi bimari ka nyota de rahe hai.

Aaj hum aapko Vitamin K Rich Foods in Hindi, ke bare mai vistrat jankari dene wale hai. Jinhe apne niyamit khadya padartho ke sath apna kar aap iski kami se bach sakte hai.

 

Vitamin K Rich Foods in Hindi: Janiye Kyo Hai Jaruri

 

Vitamin K rich foods in hindi
 

Calcium ke sath-sath vitamin K lena bilkul na bhule. Yah vah vitamin hai jo calcium ke gathte aur badte kram par najar rakhta hai. Humari asthiyo aur rakt vahikao ki sehat ke liye iss vitamin ki paryapt matra hona behad jaruri hai. Jin logo mai vitamin K ki kami ho jati hai, unhe asthi shay shuru hote der nahi lagti hai.

Vitamin K vasa mai ghulanshil vitamin hai. Sehat ke liye jaruri hone ke baavjud aamtor par iss vitamin ki charcha kam hoti hai. Iska mukhya karya khoon bahane ke doran use jamne mai madad karta hai. Vitamin K yar karya rakt jamne ki prakriya mai shamil vibhinn protein, minerals aur calcium ko sakriya karke karta hai. Lakin kuch nayi shodh iski bhumika ko aur adhik mante hai. Isse haddiyo ki sehat mai sudhar hota hai, dhamniyo mai calcium ko jamne se rokta hai, achanak heart attack ki aashanka ko km karta hai, sath hi yah budape ko dur rakhne mai bhi sahayak hai. Aaiye jante hai Sources of Vitamin K jinke upyog se aap iski kami se bach sakte hai.

 

You may also like:- Vitamin C Foods in Hindi: Swasth Sharir aur Twacha Ke Liye

 

Sources of Vitamin K: Janiye Iske Pramukh Strot

Humare sharer mai vitamin K ki prakriya dusre vasa ghulanshil vitamin A,D ur E se alag hota hai. Sharir iss vitamin mai mojud rakt ghatko ko jarura padne par rakt vahiniyo mai recycle karta hai. Yah sharer mai vitamin K-1 aur vitamin K-2 do rupo mai ghrahan karta hai. Vitamin K-1 aahar khaskar vanaspati padartho se milta hai. Aaiye jante hai Vitamin K Foods in Hindi

 

Dried Basil – Sukhi Tulsi

Tulsi sirf ek poudha hi nahi hai baki anek aushdiya guno se parirun tatha dharmik roop se bhi bahut mahatav rakhti hai. Kabhi-kabhi kuch karano se Tulsi ki pattiya such jati hai, tab bhi iske guno mai kami nahi aati hai. Yah jatil se jatil bimario ko dur karne aur unki rokdham karne mai sahayak hai. Sath hi Tulsi ki ek patti pratidin sevan karne se kabhi bukhar nahi hota hai aur iss tarah ke sabhi rog bhi humse sada dur rahte hai. Yah rog pratirodhak shamta kafi bad jati hai. Tulsi ki 100gm matra mai 1714.15 mg vitamin k hota hai.

 

Dried Coriander – Sukhi Dhaniya

Sukha Dhania har ghar mai bahut hi aasani se mil jata hai. Yah khane ka swad to badata hai hi sath hi yah anek fayde bhi hume pahunchata hai. Sukhe dhaniye ka ras chini mai ilakar lene se garmi ke mausam mai garm hawa hi lapat se hone wale nuksaan se bhi bacha ja sakta hai. Iske alawa masik dharma mai ati-rakt girne, kabj, asthma aadi anek vikaro mai iske niyamit upyog se rok lagai ja sakti hai.

 

Vegetables Salad

Salad kise pasand nahi aata hai. Khane ke sath agar salad mil jaye to khane ka swad aur bhi bad jata hai lekin agar aap normal salad ke sath kuch kuch hari pattedar sabjiyo, faliyo aur ankurit anaj ko milakar salad ko aur bhi tasty aur swasthvardhak bana sakte hai. Bacche salad khana kam pasand karte hai aise mai agar aap unhe mix Sprouts bana kar nashte ya bhojan ke sath denge to wah bahut aasani se ise kha lenge. Yah unke swasth aur swad dono ke liye hi bahut accha hai.

 

Vitamin K Sources

 

Patta Gobhi

Patta gobhi jise hum band gobhi ke naam se bhi jante hai. Waise to yah ek aisi sabji hai jiska istemal har ghar mai kai baar hota hai. Iska ras bhi kai rogo mai kargar sabit hota hai. Yah brassica pariwar ka sadasya hai, jisme anya sabjiya jaise phul gobhi aur brusal sprouts aate hai. Yah sabhi sabjiya badi aur phul ke aakar ki bade patto wali hoti hai. Patta gobhi swad mai halka mitha sa hota hai. Isme vitamin, iron, potassium bharpur matra mai hote hai. Iska upyog ap Indian aur western dono tarah ke food mai kar sakte hai. Yah cancer ko rokne, immunity system ko badane , motiyabind ke khatre ko kam karne aadi ki rokdham mai bahut sahayak hota hai.

 

Cucumber – Khira

Cucumber jise khira ya kakdi ke naam se bhi jana jata hai. Yah sharer ko shitalta aur tajgi pradan karta hai. Isko aap kai tarah se kha sakte hai jaise salad, sandwich ya aise hi namak chidak kar bhi kha sakte hai. Khire ke swasthvardhak aur sondarya-vardhak gun dono anginat hote hai. Yah twacha ko nikharne, hangover ko kam karne, vajan ghatane mai, cholesterol ko kam karne tatha pachan tantra ko majbut banana mai bhi madad karta hai. 100gm cucumber mai 76.7 mg tak vitamin k hota hai.

 

You may also like:- Health Benefits of Cucumber: Khire Se Paye Acchi Sehat

 

Soybeans

Soybeans mai calcium aur loha prachur matra mai paya jata hai, jiske karan yah mahilao ke liye bahut upyogi hai. Iska sevan unn mahilao ke liye ke liye bhi bahut accha hota hai, jo ki anemia ya Osteoporosis namak bimario se pidit hoti hai. Isse bane padartho mai lactose namak shugar bhi nahi hota hai. Isliye isse bane khadhya padarth unn baccho ya vyaktiyo jo ki dudh ya dudh se bane khadhya padartho ko nahi kha sakte hai ya pat mai gas ki samasya se pidit rahte hai unke liye bhi upyogi paya jata hai.

 

Anya Strot

  1. Palak, Sarso, shaljam ke patte, methi tatha anya hari pattedar sabjiyo ko niyamit aahar mai shamil kare.
  2. Ando mai bhi vitamin K prachur matra mai hota hai. Iska bhi prayog kare.
  3. Angur, strawberry aur kiwi jaise phalo tatha tamatar, lal aur shimla mirch bhi vitamins se paripurn hote hai.
  4. Jetun ke tel mai bhi vitamin K bahut adhik hota hai.

Inn sabhi ke alawa olive oil, hari pattedar sabjiya aur phal hai jinke niyamit istemal se bhi vitamin k ki kami ko pura kiya ja sakta hai. Gost ke liye pali gayi murgiyo mai, dugdh utpado mai yah paya jata hai. Shodh se yah pusht huya huya hai sharir mai calcium ke star ko samanya banaye rakhne ke liye iska bada hath hota hai.

Iska 40 se lekar 80 microgram sampuran rojana liya ja sakta hai, lekin aisa apne mahir ke kahne par hi kare. Apne se aisi pahal na kare kyoki yah sampuran ke roop mai liye jane par aapke dwara li jane wali anya chikitsa mai dakhal paida kar sakta hai. Maslan yah blood thinar, khoon ko patla rakhnewali dawa coumadin ke asar ko kam kar sakta hai. Lekin ke sath sahi tarike se liye jane par vitamin D3 aur K asthiyo ke swasthya mai apna sthan banaye rakhta hai.

 Upper aapne jana Vitamin K Rich Foods in Hindi, ke bare mai. Agar aap bhi chate hai swastha aur sundar sharer ko barkarar rakhna to apne niyamit bhojan mai Vitamin K se yukt khadya padartho ka sevan jarur kare. Waise to Vitamin K yukt adhiktar khadya padartho ka humane dainik jiban mai istemal karte hai. Lekin kuch log hote hai jinhe kisi tarah ka parhej ya kisi prakar ke phal aur sabji pasand nahi hote hai. Aise mai aap anya padarth jinme vitamins ki adhik matra ho unka bhi upyog kar sakte hai.

Loading...

You may also like...