Walking Benefits in Hindi – Acche Swasth Ke Liye Roj Chale

Yeh baat hum sabhi jante hai ki sharir ko swasth aur man ko prasanna rakhne ke liye vyayam behad hi jaruri hai. Par kada vyayam karna thoda muskil hota hai. Yaha tak ki agar kuch vyayamo ko galat tarike se kiya jaye to usse hamare sharir par viprit asar bhi pad sakta hai.

lekin ek vyayam aesa hai jise aap badi saralta se kar sakte hai. Roj subah sair karna behad saral aur upyogi vyayam hai. Pratah kaal ki chahalkadmi ka aanand hi kuch aur hai.

Rojana chalne ke kai gun aur labh hai. Aur yadi aapne vyayam niyamit suru nahi kiya hai to yeh sachmuch ek behtarin suruwat hai. Aur agar aap pehle se hi kada vyayam kar rahe hai to suvidhajanak mehsus hone par aap ise bhi jari rakh sakte hai. To aaiye jante hai Walking Benefits in Hindi.

Rojana Chalne Se Milte Hai Yeh Swasth Labh

Walking Benefits in Hindi

Rojana chalne ne sharir mai sara din chusti bani rehti hai. Chalne se sharir ke pratyek ang ki kasrat hoti hai. Swasth accha rehta hai aur chehre par tej rehta hai. Yaha tak ki jin logo ko apne badate wajan ko kam karna hai unke liye to ye kaafi accha vyayam hai.

Chalne Ka Sahi Wakt

Garmiyo mai lagbhag 4-5 baje aur sardiyo mai 6 baje ka samay bhraman ke liye upyukt hai. Haan jaldi uthne mai suru mai thodi muskil jarur hoti hai. Par fir dhire dhire ham iske aadi ho jate hai aur hame aanand aane lagta hai. Bhraman ke liye hara bhara chetra accha hota hai. Aap agar city mai rehte ho to aapko aas pass aese bagiche bhi mil jayenge jaha jakar aap chahalkadmi kar sakte hain. Subah chalne se hamara sharir nav sfurti se bhar jata hai.

Chalna Aasan Hai

Chalte samay aapko anya vyayam ki tulna me adhik prayas ki jarurat nahi hoti hai. chalna behad hi aasan hai. Yeh ek aesi gatividhi hai jo koi bhi kar sakta hai.

Apni Kshamta Ke Anurup Chale

Kuch log kehte hai ki tej chalne se fayda hota hai. Yahi iske viprit kuch log kehte hai ki dhire chalna jyada faydemand hai. To aapko bata de tej ya dhima yeh aap par nirbhar hai. Aap apni sehat ke hisab se chalne ki gati nirdharit kar sakte hai. Kyoki tez aur dhime dono tarike se chalne par hamare sharir ko fayda milta hai. Haa lekin aap raat ke khane ke baad tahal rahe ho to dhire dhire hi tahale.

Chalne Se Milta Hai Aanand

Anya vyayam ki tulna me chalne me sabse jayada aanand aata hai. Chalte wakt aap sangit bhi sun sakte hai. Aur yadi aap apne jivan saathi ya fir mitra ko bhi apne sath chalne ke liye bulale to aap ki morning walk behad acchi ho jati hai.

Anya Fayde – Inhe Bhi Jane

  • Rojana chalne se sharir ki haddiya majbut hoti hai.
  • Isse atirikt vajan kam karne mai bhi madad milti hai.
  • Isse tanav kam hota hai aur aap fresh bhi mehsus karte hai.
  • Kai tarah ki bimariyo jaise cancer, diabetes hone ka kthara kam ho jata hai.
  • Isme kisi tarah ka jokhim bhi nahi hai. Isme aapko kisi tarah ki chot nahi lagti hai.
  • Mashpesiya majbut hoti hai aur rog pratirodhak shamta badhti hai.
  • Rakt ka sanchar sahi tarah se hota hai. Jisse raktchaap niyantran mai sahayata milti hai. Jo aapke haday ke swasth ke liye behad aavyashak hai.

You may also like: Why Walking to Lose Weight is the Secret Exercise Ingredient

Rojana Kitna Chale

Din mai kam se kam aadha ghanta chalne ka lakshya banaye. Lekin haa aap dainik dincharya mai jitna chalte hai, uske alawa aapko aadha ghanta chalna jaruri hai. Yadi aapko lagatar 30 minute chalna muskil lag raha hai. To aap 10-10 minute ka antaral lete huye chale. Chalne ko apne har din ka hissa bana le jaise ki bursh karna aur nahana aapke jivan sheli ka hissa hai.

Aur agar iske bawjud bhi aapko lage ki aadha ghanta jyada hai. To aap 15 min se suruwat kar sakte hai. Apni shamta se kam mehnat karte huye chalne se koi nuksan nahi hai. lekin taklif uthathe huye jabarkasti chalne se paresani ho sakti hai. Aur yeh nirashajank jo sakta hai.

Takleef Hone Par Chikitsak Se Salah Le

Bhraman pe jane se pehle sauch nivarta hona jauri hai. Ritu ke anusar chust kapde pehnna chahiye. Bag aur hari hari ghaash mai nunge pav chalna chahiye. Chalne ke liye subah ka vatavaran hi chune. Iss wakt charo aur shant vatavaran hota hai. Yadi aapko pehle se dil se sambandhit koi bimari hai, jisse chalne mai takleef ho rahi ho. Jaise ki saans ka fulna,  sine mai dard ya kisi bhi tarah ki anya samasya aa rahi ho to turant apne chikitsak ki salah le.

Anya vyayam ki tulna mai aapko isme kharch karne ki jarurat nahi hoti. Na hi iske liye aapko mehnge sadhan kharidne padenge aur naa hi jute fir intejaar kis baat ka nikal padiye sangeet ki dhun sunte huye rojana subah ki sair par.

 

Loading...

You may also like...