Aapne yeh muhavara to jarur suna hoga ki “Jal Hi Jeevan Hai”. Kyoki bina jal ke manav jeevan sambhav nahi hai. Jal se aap jivit hai sath hi yeh aapko swasth aur sehatmand jindagi jine ke liye sahayak bhi hai. Kintu yadi yahi pani dushit ho to yeh swasthya ke liye khatarnak sabit ho sakta hai.
Mousam ka badlne par pani se hone wali bimariyo ka pratishat kaafi bad jata hai aur jo ki sehat ko bhi prabhavit karta hai. Barsat ke mousam mai inn bimariyo ka prabhav sabse jyada hota hai kyoki isi samay pani mai kai hanikarak jivanu paida hote hai.
Iske alawa pani mai kai tarah rasayan bhi ghule hote hai, jinke karan kai tarah ki bimariya hoti hai. Pani mai mile huye kitnashak hamare nervous system par bura prabhav dalte hai. Aur iss tarah se typhoid, dast, haija, piliya, dengu aadi bimari ho jati hai.
Inn sabhi bimariyo ke bare mai aapko pata hona chahiye taki inn rogo ke hone se pehlehi bacha ja sake. Isliye aaiye jante hai Water Borne Diseases in Hindi.
Water Borne Diseases in Hindi: Jaljanit Rogo Ki Jankari
Haija- Cholera
Yeh bahut hanikark bimari hai, jo Vibrio cholera bacteria ke karan hoti hai. Yeh shighra hi bimari ka roop le leti hai. Yeh backteria dushit khana khane ya pani pine se hamare sharir mai pahuchta hai aur iska asar aanto mai hota hai jisse ulti dast lagatar aate rehte hai. Yeh garmiyo mai sabse jyada hota hai.
- Iss rog ke prabhav mai aate hi do se tin din mai iske lakshan najar aane lagte hai.
- Iske bacteria manushya ke mal par paye jate hai, jab makkhiya mal par bethti hai to uske pairo se yeh chipak jate hai aur jab makkhiya khane ki vastuo par bethti hai khane par yeh bacteria chut jate hai tatha khane ke dwara vyakti ke aanto mai chale jate hai aur sankraman failate hai.
Dengue
Dengue ek sankramak bimari hai, jo ki mada machhar, Aedes Aegypti machhar ke katne se hota hai. Iss diseases caused by water pollution mai tej bukhar ke sath sharir par nikalne huye chikto se khun nikalta hai aur kai baar isse vyakti ki jaan bhi ja sakti hai. Iske sankraman se tej bukhar, sharir mai dard, sar mai dard, sharir par lal rang ke chaktte, dast, ji machlana, aankho mai dard jaise lakshan dekhne ko milte hai.
- Yeh Water Borne Diseases bado ki tulna mai baccho mai aasani se fail jati hai.
- Keval ek dengue mada machaar kai logo ko dushit kar sata hai.
- Dengue ke lakshan aam bukhar se milte julte dikhai dete hai isliye ek do din ruk kar uske lakshno ko dekhe aur doctor se iski janch karva kar illaj karvaye.
Hathipav- Filariasis
Hathipav parjivi dwara hone wala rog hai,tatha filaria Boncrafti krami se paida hone wala tatha culex maccharo ke dwara failai jane wali bimari hai. Iske parjivi dhaage ke saman hote hai.
- Ise hathipav isliye kehte hai kyoki iss bimari ke hone se rogi ke pair hathi ke pair ke saman suj kar mote ho jate hai lekin jaruri nahi hai ki har vyakti ke pair suje.
- Yeh parjivi lasika tantra ki naliyo mai hote hai aur wahi marker lasika naliyo ke marg ko band kar dete hai.
- Culex machhar ke katne se bahut chhote chhote aakar ke krami sharir mai pahuchte hai aur khun mai ghumte rehte hai. Yeh macchar gandi naliyo aur gaddo ke unclean water mai paida hote hai. Iss macchar ke larva pani mai tede hokar terte rehte hai.
You may also like:- Heart Diseases in Hindi: Janiye Hriday Ki Pramukh Bimariya
Aankho Ka Rog – Eye Flue
Aankhe sharir ka sabse najuk ang hai. Dushit pani pine se or gande pani se nahane par pachan shakti kamjoor hone se aankho ki kai bimariya ho jati hai. Jaise aankho se pani aana, aankhe lal hona, aankho mai sujan aana, aankho mai kichad aana, kai baar jab aap subah so kar uthte hai to aapki aankhe chipak jati hai.
- Kai bar conjunctivitis jaisi bimari bhi ho jati hai. Jo ek dusre se faine lag jati hai.
- Inn flue se bachne ke liye aankhon ko saaf karna chahiye tatha din mai 3 se 4 baar pani se aankho ko dhona chahiye aur khud ke toiliye se aankho ko ponche.
Miyadi Bukhar – Typhoid
Miyadi Bukhar ek khatarnak bimari hai, jo Salmonella typhi namak jivanu ke karan hoti hai. Yeh bacteria liver mai hamla karta hai jiske karan sharir ke kai bhago mai dard hone lagta hai aur isi dard ke karan sharir mai tanav hone lagta hai. Yadi aapne iss bimari par sahi samay par dhyan nahi diya to pidit vyakti ki jaan bhi ja sakti hai. Iss bimari se hone wali mout ke aankdo ko dekhkar aapko pata chal jayega ki yeh kitni khatarnak bimari hai.
- Miyadi bukhar ko motijhara bhi kehte hai.
- Typhoid se pidit vyakti ka sharir sust tatha kamjoor ho jata hai.
- Iss bimari mai kuch bhi khane ka man nahi karta hai.
Atisar -Diarrhea
Sankramit ya pradushit pani pine se atisar ki bimari ho jati hai. Jab atisar hota hai to pidit vyakti ko bar bar mal tyagna padta hai ya patla mal aata hai. Tatha bar bar mal tyagne ke karan sharir mai pani ki kami hone lag jati hai. Isliye jab bhi aapko iss tarah ki samasya ho ubla hua pani piye aur iske alawa chhach mai bhuna hua jeera dalkar sevan kare kafi rahat milegi.
- Iss bimari ke hone par pet mai dard, bukhaar aur aanto mai sujan jaise lakshan dikhai dete hai.
Upar aapne jana Water Borne Diseases in Hindi. Yadi aap inn bimariyo se bachna chahte hai, to apne aaspas ki jahaj ko swaccha rakhe, barish ka pani ikhatta na hone de, hamesha ubla hua pani piye aur kuch bhi khane pine se pehle acche se hath jarur dhoye.