Aksar aapne mahilao ki gossip mai suna hoga ki shadi ke baad unka vajan achanak se badh gaya hai. Yeh koi sharirik prakriya ke karan hota hai ya phir unki hi laparvahi ka natija hai. Iss bare mai janane ke liye dekhe Weight Gain after Marriage se jude kuch anjane reasons. Jinko dekhkar aapko pata chal jayega ki shadi ke baad mahilaye moti kyu ho jati hai.
Har koi apne hisab se apne motape ki kahani ko sonata hai, kisi ko koi bimari ka asar nazar aata hai aur kisi ko apne sasural ka pani nahi suit hota hai.
Ek shodh ke mutabit relationship ya shadi ke bandhan mai bandh chuki mahilayo ka vajan kafi badh jata hai aur wo motape ka shikar ho jati hai. Iske piche hormonal badlav bhi jimmedar hote hai. Vaigyaniko ke mutabit jo log relationship mai nahi hote hai wo log shadi shuda logo ya relationship mai rehne wale logo ki apeksha adhik slim trim hote hai.
To aaiye jante hai shadi ke baad hi mahilao mai dekhe jane wale change aur unka badhta motapa kis karan se hota hai aur jante hai usko handel karne ke behtrin tarike, taki aapka motapa na badh sake aur aap pehle jesi slim aur fit dikh sake.
Weight Gain after Marriage: Shadi ke Motapa Badhne ke Kuch Mukhya Karan
-
Sharirik aur Mansik Badlav:
Nutritionist aur doctor ka manana hai ki jab mahilaye kisi relationship mai hoti hai to wah bahut saare sharirik aur mansik badlav se gujarti hai aur yeh unhe sharir mai aantrik aur bahari badlav ke liye jimmedar hoti hai.
-
Hormonal Badlav bhi Hote Hai:
Jab ladki shadi shuda jivan mai pravesh karti hai to wah kai tarah ke emotional aur hormonal badlav ke saath gujarti hai. Aise mai ek stahi aur khushaal jindagi paa lene ke baad sexual life mai active hona bhi vajan ke badhne mai jimmedar hota hai. Yeh uss insaan jisse wo pyar karti hai uske saath sexual relationship unki kamar ki chodai ko badhane mai prabhavi hota hai. Yeh sabhi chize bhukh ko badhawa dene mai bhi madadgar hai.
You may also like:- Hormonal Imbalance in Women, Mahilao ki Samasya
-
TV Dekhte Huye Snacks Khana:
Jab aap kisi ke saath relationship mai hote hai to ek dusre ke saath kafi samay bitate hai. Aise mai saath film dekhna aur snacks ka sevan karna aapke vajan ko badha sakta hai. Ek survey mai paya gaya ki shadi ke baad logo ka vajan badhne ki mukhya wajah TV ke saamne baithkar lagatar snacks khate rehna hai.
-
Khatam ho Chuki Talash:
Jab log iss baat ke liye nischit ho jate hai ki unki jivan sathi ki talash puri ho chuki hai to wo apne vajan par jyada dhyan nahi dete hai. Unhe iss baat ki chinta nahi rehti ki wo sundar dikhe kyuki partner ki unki talash khatam ho chuki hai. Relationship mai aane se pehle 72% mahilaye iss dabav mai thi unhe slim-trim rehna hai kyuki unhe partner ki talash thi. Wahi 82% mahilao ne bataya hai ki shadi ke baad unka vajan badha kyuki unka relationship sthai ho gaya hai.
-
Vyayam ke Liye Samay Nahi:
Relationship mai aane ke baad ke dusre ka saath pane ki chah mai aap saare kama chhod dete hai jisme se vyayaam bhi ek hai. Ek dusre ka saath itna accha lagta hai ki vyayam, yoga ya jim ke bare mai sochne ka na to dil karta hai aur na hi fursat milti hai.
-
Slim Dikhne ka Tanav Nahi Rehta:
Wedding se pehle hone wale matrimonial photography aur shadi mai apne figure ko maintain karne ke liye ladkiyo ki dieting bhi shadi ke baad kuch had tak kam ho jati hai. Yahi nahi jab ek baar shadi ko lekar sara dabav unke uppar se hatt jata hai to ek tarah ki mansik shanty bhi bhukh ko badhane mai jimmedar hoti hai.
-
Family Planning:
Shadi ke baad khushaal aur santusht jivan vajan badhane mai uttardayi hai. Shadi jodo ko humesha accha dikhne ka dabav shadi ke baad kuch kam ho jata hai. Wo apne aane wali jindagi ki rooprekha banana mai lag jate hai. Aur apni family ko aage badhane ke bare mai sochne lagte hai.
Shadi ke Baad Motapa Badhne ke Aneko Karan
Aaiye jante hai Weight Gain after Marriage se judi kuch aur anmol baate jinko aapko dhyan mai jarur rakhna chahiye aur fit rehna chahiye:
-
Khate hi Rehna:
Shadi ke baad diet ka khayal mann se nikal jata hai aur har samay kuch na kuch khane ka mann karta rehta hai. Yeh hanikarak hota hai, lekin iska khayal hi mann mai nahi aata hai.
You may also like:- Diet Chart for Weight Loss in Hindi: Vajan Kam Kare
-
Khud ko Proper Samay na de Pana:
Shadi ke baad ladki, family mai uljh jati hai aur uske pas apne liye samay hi nahi reh jata hai. Wah apne figure par adhik dhyan nahi de pati hai aur isi karan se motapa ho jata hai.
-
Prathmiktaye Badal Dena:
Jo ladkiya, pehle humesha apni body ko lekar concern rehti thi, shadi ke baad unki prathmiktaye pati ko tiffin dene tak simit reh jati hai. Unhe apne baalo ko sawarne se jyada saas-sasur ki chai ka khayal aane lagta hai.
-
Bahar Dinner Karna:
Shadi ke baad kuch mahino tak mann mai pyar ke, romance ke phul khilte hai jiske karan har din raat ko bahar dinner hota hai aur body fat mai ijafa hota chala jata hai.
-
Garbhavastha ke Baad:
Garbhavati hone ke baad aur maa banana ke baad sharirik prakriya badal jati hai aur schedule mai bhi parivartan aa jata hai. Iss karan vajan ka badhna swabhavik hota hai.
-
Jyada Khayal:
Kuch mahilaye bahut kismat wali hoti hai jinhe pati ka bharpur pyar milta hai. Aise pati bahut khayal rakhte hai, wo apni patniyo ko bistar se bhi nahi utarne dete hai, aise mai pati ka motapa kam aur patni ka badh jata hai.
-
Aalsipan:
Shadi ke baad agar patni sirf pati ke saath hai to uska motapa tezi se badhta hai kyuki wah aalsi ho jati hai.
Upar aapne jane Weight Gain after Marriage ke bare mai kuch anmol jankari. To agar aap bhi shadi ke baad badhte motape se pareshan hai to apnaiye Weight Loss Tips aur rahiye fit.