Weight Loss and Nutrition Myths – Vajan Ghatane Ke Liye Jane

Yadi aap vajan ghatana chahte hai to jahir si baat hai aapne isko lekar kai logo se raay li hogi. Yaha tak ki aapne internet par bhi isko lekar jankari hasil karne ki koshish ki hogi. Jiske chalte aapko kai jagah yeh sab kuch dekhne ko milga hoga.

Keval 2 hafto mai apna vajan ghataye, ya fir aap bina dieting kare bhi vajan ghata sakte hai, jaldi vajan ghatane ke liye fat burn karne wale aahar khaye. Aesi kai chize aapko padhne ko mili hogi. Itni sari chize padhne ke bad kis par believe kiya jaye, kis par nahi yeh samajhna thoda mushkil hai.

Isliye aaj ke lekh mai ham aapko Wight loss, nutrition aur physical activity se jyde kuch tathya aur mithak ke bare mai bata rahe hai. Yeh jankari aapko swasth jivansheli apnane mai madad karengi. Aap chahe to kisi registered dietician ki bhi madad le sakte hai, isse aapko vajan ghatane mai madad milegi. To aaiye jante hai Weight Loss and Nutrition Myths.
 

Weight Loss and Nutrition Myths: Aapke Liye Faydemand Jankari

 
Weight Loss and Nutrition Myths Weight Loss and Nutrition Myths
 

Mithak 1:

Kuch log jo marji kuch bhi khaye, lekin aasani se vajan ghata sakte hai.
 
Tathya: Vajan ghatane ke liye aap jo bhi kha rahe hai ya jo bhi pee rahe hai, usse jyada calorie ghatana padhti hai. Kuch log kuch bhi khaye piye wo vajan ghata lete hai. Kyoki wo dusro ki tulna mai energy ka istemal jyada karte hai, jitna bhi wo kuch khate pite hai usse kahi jyada.
 
Kya Kare? Weight loss Facts ki baat kare to vajan kam karne ke liye bahut sare factors mahatvpurn rakhte hai, jaise ki aapki umra, aapk genes, jivan sheli aadi. Yadi aap vajan ghatana chahte hai to aapko ek bar health care provider se raay leni chahiye.
 

Mithak 2:

Fad Diet vajan ghatane mai madad karti hai.
 
Tathya: Fad diet vajan ghatane tatha use barkarar rakhne mai jyada madadgar nahi hai. Iss diet ke anusar yadi aap apne aahar ki matra kam kar dete hai aur kuch tarah ke khadya padartho ko khana band kar dete hai to aapka vajan ghatta hai.

Iss tarah ki kuch diets pehli bar mai wakai aapka vajan kam karne mai madad karti hai. Lekin yeh diet ko follow karna bahut hi mushkil hai. Bahut se log pareshan hokar karna chod dete hai, aur loss kiya gaya weight wapis regain kar lete hai.

Fad diet kabhi kabhi unhealthy bhi sabit hoti hai, kyoki isme aap kuch aaharo ko lena chod dete hai. Kyoki isme aapke sharir ko jaruri nutrients nahi mil pate hai. Sath hi yadi aap ek hafte mai 3 pound se jyada vajan ghata lete hai to aapko pathari hone ki sambhavna badh jati hai.

Yadi aap bahut lambe samay tak 800 calories se jyada lete hai to aapko hriday sambandhit samasyae hone ka khatra rehta hai.
 
Kya Kare? Sodhkartao ke anusar yadi aap vajan ghatana chahte hai to low calorie wale aahar ko apni diet mai shamil kare. Iske alawa sharirik gatividhi ko bhi aapko shamil karna hoga. Inn dono ki madad se aap hafte mai 2 pounds tak ka vajan kam kar sakte hai. 2 hafto tak vajan ghatane ke bad aapko swasthprad aahar ko apni diet mai shamil karna chahiye.

Ek bar ikhatta khane ke bajay, chote chote portion mai meal le. Apni dincharya mai vyayam ko shamil kare. Yeh vajan ghatane ka healthy tarika hai. Isse aapka vajan maintain bhi rahega sath hi sath aap madhumeh, ucch raktchaap jaisi bimariyo se dur bhi rahenge.
 

Mithak 3:

Grain food jaise ki bread, pasta aur chawal motapa badhate hai. Isliye yadi aap vajan ghatana chahte hai to inn sab chizo se dur rehna chahiye.
 
Tathya: Grain food gehu, chawal, oats, barley se bana koi bhi product ho sakta hai. Anaj do prakar ke hote hai whole grain aur refined grain. Whole grain yane ki sabut anaj mai chokar, beej aur endosperm hota hai.

Refined grain process kiye hote hai jiske chalte uske beej hat jate hai. Yeh anaj ko accha aakar dene aur uski life badhane ke liye kiya jata hai. Lekin iske karan iron aur bahut sare vitamins hat jate hai.

Jo log whole grain ko unki diet mai shamil karte hai, unhe kai bimariya hone ki sambhavna kam ho jati hai. Iske liye white bread khane se accha 100% whole wheat bread khaye. Safted chawal khane se accha brown rice le.
 
Kya Kare? Vajan ghatane ke liye calories ki matra ko kam karde aur jyada se jyada physical activity ko shamil kare. Ek healthy eating diet plan banaye aur use follow kare. Apne aahar mai phal, sabjiya, protein food aur whole grain shamil kare.
 

 Mithak 4:

Yadi aap low fat ya fat free le rahe ho to calories ki fikra nahi
 
Tathya: Ho sakta hai ki low fat aur fat free aahar mai full fat product ki tulna mai jyada calorie ho. Lekin bahut sare processed low fat food mai utni hi calorie hoti hai jitni, unhi aahar ke full fat version mai hoti hai.
 
Kya Kare? Aap kisi bhi food package par moujud uske label ki madad se jaan sakte hai ki uski kitni calorie moujud hai.
 
Upar aapne jana Weight Loss and Nutrition Myths in Hindi. Isliye kisi bhi aahar ko chodkar bukhe rehne se pehle acche se jankari hasil kar le. Upar batai gayi jankari bhi aapki madad karegi.

Loading...
whatsapp