White Hair Treatment: Safed Baal ka Ilaj Hua Aasan

Aaj kal ki hectic life me kisi ke bhi pass khud ke sharir ki dekhbhal ke liye time nahi hota hai. Par hume samajhna padega ki sharir hume bhagvaan ki aur se ek tohfa ke roop me mila hai, jiski hume acchi tarah se care karni chahiye.

Vese aaj kal bahut se log White Hair hona ki problem se jyada pareshan rahte hai. Agar aapke baal bhi asamanya safed ho rahe hai to aapko ayurvedic tarike se apne baalo ko kale banane chahiye. Kyoki ye ayurvedic tarike aapke baalo par koi side effect nahi pahuchate hai.

Lekin log mahnge-mahnge shampoo ko kharid kar use karte hai lekin uska koi natija nahi nikalta hai aur agar aap bhi safed baalo se bachne ke liye kai cheezo ko apna kar thak gaye hai par koi result nahi mila. To chaliye hum aapko batate hai, Home Remedies for White Hair.

Causes of White Hair: Baalo ke Safed Hone ke Karan

• Khub jyada tension lena.
• Sahi poshan na milna.
• Bahut jyada jack food khana.
• Bahut jyada sabun, shampoo aut tel ka use karna.

You may also like: Hair Fall Tips: Baalo ki Problems ka Solution Minto Mai

Home Remedies for White Hair: Safed Baalo ke Liye Gharelu Upchar

Nimbu and Amla

• Nimbu ke ras me 2 chammch pani aur 4 chammch amla mila kar paste banaiye, phir is paste ko 20 se 25 minutes ke liye apne sar me lagaiye. Thodi der baad pani se apne sar ko dho lijiye. Aur phir dekhiye aapke White Hair gayab ho jayge.
• Lekin dhyan rahe isko lagane ke turant baad shampoo na kare. Agle din aap shampoo ka use kar sakte hai.

White Hair Treatment

Onion Paste

• Onion ek bahut acchi White Hair Treatment hai. Pyaaz ke tukde ko apne scalp par ragde tatha 10 minutes baad apne baalo ko dhole.
• Is paste ke use se aapke sar ke aur bhi infection khatam kar dega.

Cocount Oil aur Lemon Juice

• Yeh acchi Home Remedies For White Hair hai. Iske liye aap lemon juice aur coconut oil ko mix kar le tatha isse sar me malish kare.
• 30 minutes ke baad apne baalo ko dhole. Isse aapke baal jaldi hi kale ho jayge.

Almond Oil aur Sesame Seeds

• Sesame seeds ko piss kar usme almond oil mila lijiye. Ise apne scale par lagaiye tatha 30 minutes ke baad apne baalo ko pani se dho lijiye.
• Is prayog ko week me 2 baar jarur kijiye. jisse aapko jaldi hi positive result milega.

Carrot Juice

• Roj ek gilaas carrot juice ka sevan start kar de isse aapke safed baal jaldi hi kale ho jaynge.
• Yeh juice ke sevan se na keval aapke baal kale honge balki hair se judi aur problem bhi dur ho jaygi.

Kuch Khas Baate

• Boolo ko ghote vakt dhyan rahe jo paste aapne baalo me lagaya hai vo ankhon ke andar na jaye.
• Agar ho sake to ayurvedic shampoo aur sabun ka hi use kare.
• Baalo ke liye asli amla tel ka use kare.

Upar aape jane White Hair Treatment. To bas aaj se in upchar ko apna kar apne safed baal ko kala aur sundar ban lijiye.

Get more details about Hair Treatment from Beauty tips in Hindi.

Loading...

You may also like...