Wilson rog ek durlabh anuvanshik rog hai. Bahut kam log iske bare mai jante hai. Darahsal yeh sharir mai tambe ke vishakta ke karan failta hai. Iss rog ke lakshan sabhi mai alag alag dekhne ko milte hai, yeh iss baat par nirbhar karta hai ki aapke sharir ke kis ang mai copper ban raha hai. Iss bimari se chhutkara pane ke liye sighra illaj karna hi behtar nidan hai.
Wilson rog se grast marijo ke sharir mai tamba banne lagta hai. Yeh khaskar liver aur mastishk mai banne lagta hai. Uparchar na karne par nirman hua tamba gambhir lakhshan bhi paida kar sakta hai. Iss atirikt tambe ko hatane ke liye dawao dwara iska upchar kiya jata hai.
Iss bimari ko Hepatolenticular Degeneration bhi kaha jata hai. Yeh bahut kam logo mai dekhne ko milti hai. Lagbhag 30,000 logo mai se ek vyakti isse prabhavit hota hai.
Yadi ham ek swasth sharir ki baat kare to, hamare sharir mai liver atirikt copper yane ki tambe ko filter kar sharir se mutra ke dwara nikal deta hai. Kintu Wilson rog hone par liver ise bahar nahi nikal pata hai. Tab yeh atirikt tamba sharir ke kuch hisso jaise mastishk, liver aur aankho ma jamne lagta hai. Aaiye aaj ke lekh mai ham vistar se Wilson’s Disease in Hindi.
Wilson’s Disease in Hindi: lakshan, Karan aur Upchar
Wilson rog ke nivaran hetu iski bare mai jaldi pata chalna jaruri hai. Iska upchar dawao ke dwara kiya jata hai wahi kuch cases mai liver transplant bhi karna padhta hai.Iske upchar mai late hone par kai samasyae jaise liver ka damage hone, brain ka damage hona aadi jeevan ko khatre mai dalne wale halat paida hote hai.
Yadi aapke pariwar ke itihas mai kisi ko bhi yeh bimari thi to aapko apne andar kisi bhi tarah ke laskhan dikhai dene par doctor se jald sampark karna chahiye.
Wilson’s disease Symptoms: Jane Iske Lakshan
Wilson rog ke lakshan har kisi mai alag alag dekhne ko milte hai, yeh us baat par nirbhar karta hai ki Wilson ne aapke sharir ke kiss hisse ko prabhavit kiya hai. Kisi aur rog ke hone par aap confuse na hoye, aur chikitsak se sampark karke hi iski pushti kare.
Yadi aapke Liver mai yeh rog hota hai to aapko yeh lakshan dekhne ko milte hai:-
- Khujali chalna
- Matli aana
- Achanak vajan ka ghtana
- Kamjori mehsus hona
- Durbalta
- Bhukh mai kami
- Piliya ya twacha mai peelapan aana
- Pet mai sujan ya dard
- Pair mai sujan
- Mashpesiyo mai aenthan
- Twacha par saksha ki tarah rakt wahikao ka najar aana
Piliya jaise chize liver ki dusri samasyao ke karan bhi hoti hai, isliye aapka chikitsak Wilson rog hai ya nahi dekhne ke liye kai tarah ke test leta hai.
Yadi aapke mastishk mai copper ka sanchay jyada ho gaya hai to nimnlikhit lakshan dikhai dete hai
- Sirdard Hona
- Avsad ke lakshan
- Dhrsti kamjor hona
- Anidra ki sikayat
- Vyaktitva mai badlav
- Mood mai parivartan
- Asamanya roop se chalna aadi
Iske alawa kuch anya lakshan bhi dekhne ko milte hai:-
- Pathri
- Masik dharm mai aniyamitta
- Nakhuno ka rakt badalna
- Rakt ka dabav kam hona
- Samay se phele hi osteoporosis
- Haddiyo ke ghanatva mai kami aana
Iske alawa bhi iss rog se pidhit rogi mai kai samasyae jaise hriday se sambandhit bimari, aurto mai bar bar bacche ka girna, anemia aadi lakshan dekhne ko milte hai.
Iss rog ka nidan kaise hota hai?
- Wilson rog ka sandeh hone par kai tarah ke test kiye jate hai, aaiye jante hai Wilson’s Disease Diagnosis kaise kiya jata hai:-
- Caeruloplasmin ko mapne ke liye rakt parikshan kiya jata hai. Yeh ek tarah ka protein hai jo rakt mai copper ko bandhta hai. Jo log Wilson se prabhavit hote hai unn logo mai iska leval bahut kam hota hai.
- Iske alawa anya blood test bhi kiye jate hai jisme tambe ke star ko mapa jata hai. Sath hi sath aapke gurde aur jigar ka bhi parikshan kiya jata hai.
- Aapke mutra mai copper ki matra dekhne ke liye urine test bhi kiya jata hai. Rog hone par mutra mi copper ki matra samanya se adhik nikalti hai.
- Eye specialist dwara aapki aankho ki ek layer jise cornea kaha jata hai uski bhi janch ki jati hai. Ho sakta hai ki aapki aankho mai Kayser-Fleischer ring dikhai pade. Isme aankho ka rang badal jata hai jo ki atirikt copper jamne ke karan hota hai. Jo log Wilson se prabhavit hai unme se 97% logo mai Kayser-Fleischer ring dekhne ko milti hai.
Yeh Kaise Hota Hai?
Yadi aapke parents mai se kisi ek mai bhi iska gene hai to wo aapke andar bhi paas hoga. Wahi yadi aapke dono parents ko yahi gene hai to 25% chances hai ki aapko yeh bimari ho sakti hai.
Upar aapne jana Wilson Disease in Hindi. Iska yadi koi successful treatment karna chahta hai to dawao se jyada sahi wakt par nirbhar karta hai. Aese logo ko aesa khanpan avoid karna chahiye jisme adhik matra mai copper moujud hota hai. Kam se kam ilaj ke douran 1 saal tak to ise bilkul avoid kare.