Winter Fashion Tips in Hindi: Sardiyo mai Bhi Dikhe Stylist

Halki gulabi thand ne dastak de di hai. Yeh mousam sabko accha lagta hai. Yeh wakt ko log bahut enjoy karte hai. Iss mousam mai logo ko chai ki chuskiya lagana hi nahi balki thandi thandi ice-cream khana bhi bahut bhata hai.

In dono aapke wardrobe se sade kapde hatkar garam kapde bhar jate hai. Isliye inn dino stylish dikhna thoda mushkil hota hai. Lekin yadi aap apne garam kpado ka chunav thodi savdhani se kare to winter mai bhi aakarshak lag sakte hai.

Ab aap kahenge ki aapko style ke mamle mai itni samajh nahi hai to koi baat nahi kyoki aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Winter Fashion Tips in Hindi, jo aapko bheed mai alag dikhne mai madad karenge.
 

Winter Fashion Tips in Hindi – Dikhe Bheed Se Kuch Alag

 

 
Iss bhagdour bhari jindagi mai kisi ke paas jyada wakt nahi hai. Aur mahilao ke paas to ghar aur office dono ki jimmedari hoti hai. Aur iss jimmedari ko nibhate nibhate unka chehra yu hi murjha sa jata hai. Lekin fashion ke kuch funde apnakar har mahila khubsurat dikh sakti hai.

Iske liye aapko apne wardrobe mai har tarah ke kapde rakhne padenge isse aapko kuch alag dikhne mai madad milegi. Kyoki sardi ke dino mai yadi aap roj roj ek hi ek swetar pehankar bahar niklenge to aapko apni life khud hi boring lagne lagegi.
 

Leather Jackets  

  • Yadi aap apna look hamesha modern carry karna chahti hai to aapko Leather Jackets pehanna chahiye.
  • Yeh hamesha bahar mai rehte hai to aapko har saal kuch naya kharidne ki jarurat nahi hai.
  • Black aur brown rang ke jackets saare outfits par suit karte hai.

 

Feather Wali Hoodie

  • Yadi aapko lather jacket se kuch hatkar chahiye jo garam bhi ho aur double layer mai ho to hoodie aapke liye best option hai.
  • Yeh aapko market mai light color se lekar dark rango mai mil jaati hai.
  • Yadi aap khud ko thoda funky look dena chahte hai to feather wali hoodie accha option hai.

 

Woolen Sweater  

  • Yadi aapko jackets ya hoodie pehanna pasand nahi hai to aap sweater ka chunav kar sakti hai.
  • Sweater mai bhi kai styles aapko dikhne ko mil jate hai. V neck se lekar high neck aap kai tarah ke sweater market mai dekh sakti hai.
  • Un se bane sweater ki khasiyat yeh hai ki ise aap jeans ya kurta kisi ke sath bhi pehan sakti hai. Sath hi yeh garmi bhi dete hai.
  • Yadi aap party mai ja rahe hai to sade sweater ka chunav na karte huye party wear sweater ka chunav kare.
  • Party ke mouko par purple, red, brown aese colors khub fabte hai. Aur yadi aapka rang gora hai to fir to aap yahi rango ka chunav kare.

 

Blazer

  • Yadi aap college going student ho ya fir office mai kaam karte ho to ham aapko Blazer pehnne ki salah denge.
  • Yeh aapko professional dikhane ke sath sath stylish look bhi deta hai.
  • Office jane wali ladki aur ladko dono ke liye yeh bahut jaruri Winter Outfits mai se ek hai.
  • Yadi office ke liye aap alag alag rango ka chunav karna chahti hai to ham aapko bata de ki aajkal bajar mai kai rango mai blazer moujud hai.

 

Winter Shawl 

  • Yadi aap shadi pehanti hai aur aapko sweaters ya jacket pehnna pasand nahi hai to aap shawal auda kare.
  • Winter Wear for Women’s ki baat kare to Kashmiri shawl sadi ya suit dono ke sath pair ho jati hai aur isme bhi aap fashionable lagte hai.

 

Long Shoes

  • Thand ke dino mai long shoes pehnne se aap thand se bhi bachte hai aur yeh shoes stylish bhi lagte hai.
  • Market mai aapko alag alag tarah ke long shoes mil jayenge. Aap use apni pasand ke anusar chun sakte hai.
  • Jo log glamorous look pana chahte hai unhe long shoes jarur pehnna chahiye.

 

Anya Tips

  1. Winter mai jitna ho sake uthte huye rango ka chunav kare naa kid al rango ka.
  2. Inn douran apni twacha ka khayal rakhne ke liye moisturizer ka hamesha istemal kare.
  3. Apne sath lipstick hamesha rakhe, lipstick aapke chehre ko naya aur fresh look deti hai.

 

Ladko Ke Liye Salah

Ladke vibrant colors ko pehanna thoda kam pasand karte hai. Vaise aajkal iska chalan thoda chalne lag gaya hai. Agar aap colorful sweaters ya jacket pehhne mai comfortable mehsus nahi karte hai to koi baat nahi aap apne sath overall black look bhi carry kar skate hai. Sath hi nevy blue color ke sath bhi aap khud ko decent look de sakte hai.
 
Upar aapne jana Winter Fashion Tips in Hindi. Jab bhi mousam badalne lage tab aap upar bataye gaye winter wear ko try kar sakte hai. Upar batai gayi chizo ke alawa moje, cap aur scarf bhi thand se bachne mai madad karte hai.
 

Loading...

This website uses cookies.