Winter Skin Care Tips in Hindi: Thand mai Twacha Ki Dekhbhal

 

November ka mousam shuru hote hi halki gulabi thand dastak de deti hai. Thand ke shuruwat se ham apne sharir ko bachane ke liye garam kapde kharidte hai. Kuch log to sukhe meve ke laddu tak bana lete hai taki wo apna khayal rakh sake.

Sari bato ka khayal to ham rakh lete hai. lekin apni twacha ka khayal rakhna bhul jate hai. Jiske chalte hamari twacha phati aur kali dikhai deti hai.

Darahsal hame thandi ke mousam mai twacha ki acchi dekhbhal ki jarurat hoti hai. Iss mousam mai twacha kaafi sukh jati hai. Isliye aese samay mai twacha ka acche se khyal rakhna padta hai. Jisse ki wo damakti hui aur mulayam rahe. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Winter Skin Care Tips in Hindi.
 

Winter Skin Care Tips in Hindi: Rakhe Twacha Ka Khas Khayal

 

 

Rojana Nahaye

Thandi ke dino mai log roj nahate nahi hai. Lekin yeh galat hai ki yadi aap acchi twacha chahte hai to sabse pehle to uski saaf safai rakhe. Ham jante hai ki shit ritu mai snan karna itna aanand dayak nahi hai. Isliye gungune pani ka istemal kare. Lekin haa jyada garam pani naa le yeh aapki twacha ko rukha bana sakta hai.
 

Sabun Ka Istemal Naa Kare

Ham sabhi jante hai ki sard hawaye twacha par gehra asar dalti hai. Iske prabhav se twacha phatne lagti hai. Isliye jitna ho sake sabun ka kam se kam istemal karna chahiye. Sabun aapki rukhi twacha ko aur rukha banata hai. Isliye shower jel ka istemal kare. Yeh aapki twacha ki prakratik nami ko barkarar rakhte hai.
 

Moisturizer Lagaye

Sardiyo ke dino mai nahane ke baad aur raat ko sone se pehle moisturizer jarur lagana chaiye. Shit ritu mai bhale hi dhup thiki nahi rehti hai fir bhi iski hanikarak kirne aapki twacha ko nuksan pahuchati hai. Isliye spf yukt lotion ka hi istemal kare.

Lekin chehre ke kuch bhag jaise aankho ke niche mousami chizo ka asar kuch jyada hi hota hai. Isliye aese jagaho ke liye vishesh tarah ki cream lagaye.
 

You May Also Like:- Lips Care Tips in Hindi: Sukhe Aur Fate Hontho ki Dekhbhal

 

Bharpur Pani Piye

Ham aapko batana chahte hai ki hamare sharir ka 70 pratishat hisaa pani hai. Yadi aapke sharir mai pani ki kami ho jayegi to aapke twacha par thand ka asar jyada hoga. Isliye twacha mai nami banaye rakhne ke liye thand mai bhi bharpur pani piye. Aap chahe to vitamin c yukt phalo ka ras bhi le sakte hai. Yeh aur bhi adhik faydemand rahega. Yeh best treatment for dry skin hai.
 

Tel Ki Malish

Sardiyo ke dino mai twacha ki dekhbhal ke liye oil massage se behtar koi vikalp nahi hai. Isliye roj nahane ke pehle aur baad mai apne sharir par nariyal ya sarso ke tel ki malish kare. Tel ki malish karne ke baad 20 miute dhoop sekna to aur bhi jyada faydemand hota hai. Isse twacha mulayam bani rehti hai.
 

Dudh Ka Prayog

Aapne dekha hoga kit hand ke samay mai twacha dharidar ho jati hai. Dudh ki madad se ise dur kiya jaa sakta hai. darahsal dudh mai lactic acid moujud hota hai. Isliye agar ho sake to rojana dush se nahaye.

Lekin ham jante hai sabhi ke liye yeh mumkin nahi hai. Isliye dudh mai ek suti kapda duboye, tatha ise sare sharir par ya aesi jagaho par lagaye jaha aapko dharidar twacha dhik rahi ho. Ise 10-15 minute rakhkar halke garam pani se dho le.
 

Kalapan Hatane Ke Liye Papita

Sardi mai chalne wali hawaye aapki twacha ko kala bana deti hai. Lekin papite ke madad se aap yeh kalepan ko dur kar sakti hai. Papite mai bharpur matra mai vitamin A paya jata hai. Iske atirikt isme papain enzyme bhi paya jata hai.

Paipta mrit koshikao ko hatane ka kaam karta hai. Sath hi yeh twacha ko hydrate bhi rakhta hai. Isse kalapan to dur hota hi hai sath hi yeh aapki twacha ko sardiyo mai bhi glowing rakhta hai.
 

You May Also Like:- Papaya Face Pack in Hindi: Papite Se Nikhare Khubsoorati

 

Sahi Aahar

Sardi ke dino mai sabhi ko meethi aur tali chize khane ka man karta hai. lekin aap swasth twacha chahte hai to apni diet mai mousami sabjiya, dry fruits aadi shamil kare. Tamatar aapke khun ko saaf rakhkar twacha ko gulabi nikhar deta hai.
 
Skin Care in Winter: Anya Upay Inhe Bhi Janiye

  1. Thand mai apni twacha ko thandi hawao se bachakar rakhna chahiye. Iske liye full sleeves wale sweaters aur muffler ka istemal kare.
  2. Thand mai aapki twacha rukhi ho jati hai. Isliye apni twach ke type ke anusar moisturizer lagaye.
  3. Thand ke dino mai nahane mai naa jyada smay lagaye aur naa hi kam samay lagaye. Aur nahane ke baad pure sharir mai badam ke tel ki malish kare.
  4. Thand ke dino mai bhi apni twacha ko exfoliate kare. Isse aapki twacha ki gunvatta par bhi kaafi asar padta hai. Dhyan rahe ki exfoliation ke prayog mai laya jana wala padharth twacha ke liye kaafi accha hai.

 
Upar aapne jana Winter Skin Care Tips in Hindi. Uprokt salah ka palan karke aap apni twacha ki behtar dekhbhal kar sakti hai aur khoi hui rangat wapis laa sakti hai.

 

Loading...

This website uses cookies.