Wisdom Teeth ko aam bhasha mai akal dadh bhi kaha jata hai. Yeh daanto ka tisra set hota hai. Yeh kahiye ki yeh jabde mai
sabse piche aane wali dadh hoti hai. Aamtour par yeh kishoravastha ke baad ho aati hai. Mota tour par 16 saal ki umra ke baad yeh kabhi bhi aa sakti hai.
Wisdom teeth jabde mai sabse piche aata hai. Aur agar jabde ka aakar paryapt na ho to ise puri jagah nahi mil pati hai. Aise mai yeh fansi avastha mai rehta hai, jisse dard hota hai. Aksar log iss dard ke karan ise pura nikalne se pehle hi nikalwa dete hai.
You may also like:- Dant Dard Ke Gharelu Nuskhe
Kya Samasya Ho Sakti Hai?
Aksar yeh dadh tedhi nikalti hai. Jiss karan na sirf kafi dard hota hai balki khane mai bhi taklif hoti hai. Jab yeh dadh nikalti hai to kuch gambhir mamlo mai iske charo taraf ke masude mai sankraman ho jata hai, masude phul jata hai aur usme se mavad aane lagti hai jise pericoronitis kaha jata hai. Aisa hone par dant rog visheshagya se salah jarur le.
Ise Nikalwana Chahiye ya Nahi?
Agar dadh tedi hai, isme lagatar dard ho raha hai ya sankraman ho gaya hai to ise nikalwana hi behtar hota hai. Warna iska dushprabhav jabde aur aas-paas ke daanto mai bhi ho sakta hai. Iss karan hone wala dard to ek badi samasya hai.
Kya Yeh Dadh Bahut Upyogi Hai?
Khane mai prayog aane wali dadhe, adhikansth jabde ke 6th aur 7th number ki dadhe hoti hai. Akal dadh bahut piche hone ki wajah se iska prayog kam hi hota hai. Lekin ab 30 saal tak ki umra ke vyakti akal dadh ko nikalwakar dental pulse stema cells ko sanrakshit bhi karwa sakte hai, jo ki kai janleva bimariyo ke ilaj mai madadgar sabit ho sakti hai.
Kya Yeh Samanya Daant ki Tarah Nikal Sakti Hai?
Behad majboot aur aksar tedhi-medhi stithi mai nikalne ke karan ise ek chhoti se surgery ki madad se nikala jata hai. Lekin kuch logo ko yeh itna dard nahi deti aur bina kisi surgery ke bhi akal dadh nikal sakti hai.
Chhota ho Raha Hai Baccho ka Muh
Indian Dental Association (IDA) ke natinal oral health programme ke ek sarvekshan mai yeh baat samne aayi hai ki khanpan ki gadbadi se kuch baccho ka jabda chhota ho jata hai. Jabde ke sankre hone se akkal dadh ke liye muh mai jagah nahi bachti hai. Aur muh mai 32 ki jagah 28 daant hi aa pate hai.
Kamal ki Hoti Hai Akkal Dadh
Doctoro ke anusar, aamtour par nikaldiya jane wala wisdom tooth cells ka khajan hota hai. Iss daant ke bhitar ke narm hisse mai badi sankhya mai mesenchymal stromal cell hoti hai. Yeh cell bone marrow mai payi jane wali cells ki tulna mai chhoti hoti hai. Clinident biopharma institute ke doctor ke anuar bone marrow ki apeksha wisdom teeth ke andar paya jane wala fat ya pulp aasani se hasil kiya ja sakta hai. Kyuki wese bhi jyadatar log akkal dadh ko nikalwa dete hai. Shodh ke douran paya gaya hai ki inki madad se tuti haddiyo, carnio aur dil ki mashpeshiyo ka regeneration kiya ja sakta hai.
Upar aapne jane wisdom teeth ke bare mai sampurna jankari. To agar aap bhi aise kisi dard se grasit hai to aaj hi apne doctor se sampark kare aur iss dard se chutkara paye.