Women Health Tips in Hindi: Mahilao ke Liye Swasth Laabh

Mahilaye purusho se kai mamlo mai acchi hoti hai par kya aap janti hai ki mahila hone ke jyada swasth laabh hote hai. Ji haa, kuch healthy baate sirf mahilao ke liye hi hoti hai, inke bare mai janane ke liye dekhe Women Health Tips in Hindi.

Aisa mana jata hai ki purusho kit ulna mai mahilaye apne swasth ke prati jyada sajag nahi hoti hai. Par kya aap janti hai ki mahila hone ke apne swasth laabh hote hai. Lamba jivan, good cholesterol jese fayde mahilao ko prakritik den hoti hai. Lekin phir bhi sehat ke prati laparwah vyavahar ke chalte wah jyada bimariyo ka shikar hoti hai. Mahilao ko apne swasth ke prati bhi sajag rehna chahiye.

Women Health Tips in Hindi: Rakhe Mahilao ko Swasth aur Tarotaaza

Women Health Tips in Hindi

  • Lamba Jivan:

Mahilao purusho ki tulna mai lamba jivan jiti hai. Ek shodh ke anusar yeh unke gene par nirbhar karta hai. Uske alawa mahilao ke dil sambandhi bimariya kam hoti hai, isliye bhi wah lamba jivan jiti hai. Mahilao ka social circle bada hone ke karan wah apni pareshaniyo ko batkar jyada tanav rahit hai. Yahi karan hai ki mahila hone purush ki tulna mai jyada behtar hota hai.

You may also like:- Fitness Tips for Women: Mahilao ki Swasth Sehat ke Raaz

  • Sar aur Gale ka Cancer:

Purusho mai sar aur gale ka cancer hone ka khatra jyada rehta hai. Iske alawa anya cancer jese esophageal cancer bhi mahilao ki tulna mai purusho mai hone ki sambhavna hoti hai. Visheshagya ka kehna hai ki mahilao purusho ki tulna mai tambacco aur sharab ka sevan kam karti hai. Isliye bhi mahila hona jyada behtar hai.

  • Skin Cancer:

Melanoma, ek tarah ka rayer cancer hai jo purusho ki tulna mai Women ko jyada umra par hi hota hai. Tann ho jane ki vajah se mahilao ko yeh cancer 45 saal se jyada ki umra par hota hai, wahi purusho mai yeh cancer kam umra mai bhi dekhne ko mila jata hai. Iska karan hota hai ki purush bahar ka kam jyada karte hai. Jiske chalte wah suraj ki roshni mai jyada rehte hai.

  • Dard Sahne ki Kshamta:

Mahilao mai dard sahne ki kshamta purusho kit ulna mai kahi jyada hoti hai. Iska sabse bada udharan unka 9 mahine tak garbh mai bacche ko palan hota hai. Garbh mai palne ke alawa delivery mai samanya dard kit ulna se 100 guna hota hai. Janiye Normal Delivery ke bare mai puri jankari.

  • Sunghne ki Kshamta:

Mahilao mai sunghne ki kshamta jyada acchi hoti hai. Jab samal sense ke kamjor hone ke karan pisit LPG, plastic wiring ke jalne ya bhojan ke karan  hone ki smell ko mahsoos karne se bhi vanchit reh jata hai. Aise mai pareshaniya badhne ke saath hi jaan ko bhi khatra hi sakta hai. Gandh ke ahsaas mai kami ke aane ki yeh pareshani purusho kit ulna mai mahilao ko jyada hoti hai.

  • Good Cholesterol:

Purusho ki tulna mai mahilao mai HDL yani good cholesterol jyada hota hai. Isse unki dhamiyo par plaque jama hone se bachati hai. Iske alawa mahilao mai yani blood pressure, heart disease aur stroke ka khatra kam rehta hai. Mahilao mai hone wala estrogen hormone garbhavastha ke douran HDL ka level badhata rehta hai.

  • Yaddasht:

Memory ke mamlo mai bhi mahilaye purusho se aage rehti hai. Kaha bhi jata hai ki mahilao birth date aadi yaad rakhne mai jyada acchi hoti hai. Ek shodh ke anusar heart sambandhi bimariyo ke chalet purusho mai yaddasth ki samasya jyada hone lagi hai. Iss tarah mahila hone ke kai swasth laabh hote hai. Saath hi mahilao mai motape ki samasya kam hoti hai.

Upar aapne jane Women Health Tips in Hindi. Iske dwara aap swasth reh kar apne jivan ko acchi tarah ji sakti hai.

Loading...

You may also like...