Yoga for Good Sleep in Hindi: Acchi Nind Ke Liye Vyayam

Aajkal bistar mai letne ke bad bhi kai logo mai nind na aane ki samasya bani rehti hai. Wese to nind na aana bahut aam samasya hai lekin aapko lagatar nind na aane ki samasya bani rahe to yeh aapke liye pareshani ka karan ban jati hai.

Andira hone par aapko kai tarah ki bimaria bhi ho saklti hai. Jisme sharirik aur mansik bimari shamil hai.

Nind ka aana bhi hamare utna hi jaruri hai jitna sharir ke liye bhojan. Kai log iss samasya se itna pareshan ho jate hai ki davaiyo ka sevan karne lagte hai, jo swasth ke liye acchi nahi hoti hai. Yadi aap anidra se chutkara pana chahte hai to yog ka sahara le.

Rojana yoga karne se aapki anidra ki samasya dur hone ke sath-sath kai sari bimariyo se mukti bhi milti hai. Yeh aapke tanav ko bhi dur karta hai jisse nind acchi aati hai. Aaiye jante hai Yoga for Good Sleep in Hindi.
 

Yoga for Good Sleep in Hindi – Paryapt Nind Ke Liye Sahayak

 
Yoga for Good Sleep in Hindi

Aaj hum aapko anidra ki samasya se chutkara dilane wale kuch yogasan ke bare mai batane wale hai. Jo aapke liye kafi faydemand sabit honge.
 

Anidra Dur Kare Sukhasana

Sukhasana bahut aasani se kiya jane wala yog hai aur iss asana ko bistar par jane se pehle karenge to aapko bahut acchi nind aayegi. Kyonki iss asana ko karne se aapka man shant ho jata hai.
 

Jane Sukhasana Ki Vidhi

  • Iss yog ko karne ke liye sabse pehle ek aasan par palti markar beth jaye.
  • Jab aap bethe aapki kamar aur gardan ek sidh mai hona chahiye, ridh ki haddi pure asana mai na mode.
  • Jab aap iss asana ko kar rahe ho kandhe ko dhila chhod de aur gehri saans le.
  • Aapki dono hatheli ko aapki palthi ke upar rakhe.
  • Sar ko thoda upar uthaye aur aankh band kar le.

 

Savasana Yoga

Savasana ko karte samay aapki sharir soi avastha mai hota hai aur aapko aapki sanso ke upar dhyan kendrit karna hota hai. Yeh asana karne se aapke sharir ki sari thakan dur ho jati hai aur aap aaram se so jate hai. Iss Yoga for Sleep ki madad se aap anidra se mukti pa sakte hai.
 

Savasana Karne Ki Vidhi

  • Sabse pehel jameen par chatai bicha le aur pith ke bal let jaye.
  • Ab dono hatho ko sharir se 6 inch ki duri par rakhe tatha hatheliya aasman ki taraf khuli karke rakhe.
  • Pairo mai karib 1 foot ki duri hona chahiye, tatha aapki aankhe aur muh band rakhe.
  • Jab aap savasana ki stithi mai aa jate to pure sharir ke ango ko man ki aankho se dekhte huye shithil kar de.
  • Iss asana ko karte samay jab nind aane lage to gehri shwaso ko lena chahiye.
  • Jab aap iss asana ko karte hai tab man mai kisi tarah ke koi vichar nahi aane dena chahiye.

 

Halasana Nind mai Madad Kare

Halasana karne se aapke sharir mai rakt sanchar badta hai rakt pairo se sar ki taraf behta hai. Iss asana ko karne se sharirik tanav kam hota hai tatha gardan, aur kamar tatha pet ki manspeshiyo ko aaram milta hai. Halasan Yoga for Better Sleep bahut accha hai.
 

Halasana Karne Ki Vidhi

  • Halasana karne ke liye samtal jameen par chatai bichaye aur peeth ke bal let jaye.
  • Jab aap lete to dono hatho ko kamar se sata le tatha pairo ko aapas mai mila kar rakhe.
  • Aapka muh aasman ki taraf ho aur dono aankhe band hona chahiye.
  • Aapka pura sharir puri tarah se dhila chhod de tatha saanso ko andar lete huye pairo ko upar ki taraf uthana shuru kare.
  • Jab aapka sharir aur pair 90 degree kon par ho to shwaas ko choude aur pairo ko jamin se lagane ka prayas kare.
  • Pith ko piche ki taraf jhukane ke liye hatho ka sahara le tatha aapki dono kuhniya jamin par laga le.
  • Apni shamta anusar iss stithi mai bane rahe aur dhyan rakhe ki pure asana ko karte samay guthne mude nahi.

 
Inn asano ke alawa aur bhi kai asana hai jaise Uttanasana, Supta Matsyendrasana, viparita karani, Supta Baddha Konasana, Rajakapotasana ye sahbi asana andira ko dur karne ke liye bahut karagar hai. Aap chahe to inn sabi aasan ko karke bhi nind na aane ki samasya se chutkara pa sakte hai.

Upar aapne jana Yoga for Good Sleep in Hindi. Uprokt diye gaye asana mai aapko vidhi bhi batai gai hai jiske dwara aap aasani se inn asano ko kar sakte hai, tatha inka labh le sakte hai. Yeh asana aapki acchi nind lane mai bahut madad karenge.

Loading...

You may also like...