Yoga for Hernia in Hindi – Jane Isse Mukti Ke Aasan Upay

Manushya sharir ka thik tarah se dhyan na rakha jaye to yeh bimariyo ka ghar ban sakta hai. Bimariya bhi aisi jinke bare mai humne suna to hai lekin inke samanya lakshano ko hum pehchaan nahi paate hai. Jayadatar chote-mote rogo par to hum dhyan bhi nahi dete hai, jo baad mai badi pareshani banker ubharte hai.

Aisi hi ek bimari hai Hernia jiske bare mai hum jante to hai, lekin yeh aisi bimari hai jo sharir ke andar-hi-andar badti jati hai aur hume pata bhi nahi chalta, kyoki kai mamlo mai iss bimari ke lakshan dikhai bhi nahi dete hai tatha iske karan koi taklif bhi nahi hoti hai.

Iss rog mai pet ki manspeshiya ya samanya bhasha mai kahe to pet ki divar kamjor ho jati hai aura ante bahar nikal jati hai, jis wajah se uss sthan par ubhar aa jata hai. Jise aasani se dekha ja sakta hai. Ise hernia kahte hai. Lambe samay tak khanste rahne se ya bhari saman uthane se manspeshiya kamjor ho jati hai.

Iss rog ke kuch khas lakshan bhi nahi hote hai pet mai sujan aur dard ya bhari saman uthane par manspeshiyo mai khichav badna hi samanya hernia symptoms hai. Aaj hum aapko iss bimari se bachne ke liye kuch gharelu tips aur Yoga for Hernia in Hindi ke bare mai batane wale hai.

 

Yoga for Hernia in Hindi: Janiye Yogasan Vidhi aur Gharelu Upchar

 

Yoga for hernia in Hindi

 

Hernia mahila aur purush dono ko hi ho sakta hai lekin adhiktar yeh purusho mai dekha jata hai. 50 varsh ki aayu ke baad yeh kisi ko bhi ho sakta hai. Hernia janmjaat bhi ho sakta hai. Aaiye jante hai Yoga for Hernia in Hindi

 

Dhanurasan – Bow Pose

Iss yogasan ko karte samay humare sharir ki aakrati dhanush ke saman najar aati hai isliye ise dhanurasan kaha jata hai.

  1. Ise karne ke liye sabse pahle saaf aur samtal jaim par pet ke bal let jaye.
  2. Iske baad pero ko modte huye adiyo ko kulhe se lagaye aur pero ke takhno ko hatho se pakadne ka prayas kare.
  3. Ab dono hatho ko sidha rakhte huye, pero ko piche ki or khichna hai aur kulho ke upper rakhna hai. Aisa karte samay sans andar lena hai.
  4. Iss samay jangho aur sar ko apni shamtanusar upper uthaye tatha dono ghutno ko sath mai rakhe.
  5. Yeh kriya apni shamtanusar 10 se 20 second tak kare aur iss samay sans tej gati se le aur chode.
  6. Ant mai sans chodte huye sar aur pero ko dhire-dhire jamin par laye.

 

You may also like:- Janiye Causes of Hernia Ke Baare Mai Jaruri Tathaye

 

Ultrasan– Camel Pose

Ultrasan karne ke antim chor par sharir ka aakar unth ke saman dikhai deta hai. Isliye ise ultrasan kahte hai.

1.       Sabse pahle pero ko modkar vagrasan ki avastha mai baith jaye.

2.       Iske baad dhire-dhire ghuto ke bal khade hone ka prayas kare.

3.       Ab dono hatho ko kamar par rakhkar sharir ko piche ki aur jhukane ka prayatnn kare.

4.       Iske baad dhire-dhire hatheliyo ke jariye pero ke panjo ko pakdne ki koshish kare.

5.       Ab sar ko piche ki aur jhukaye aur kuch samay iss sthi mai rahe.

 

Sarvangasana – Shoulder Stand Pose

Sarvangasana sharir ke liye ek sampurn vyayam hai. Isliye ise Sarv+Ang+Asan kaha jata hai. Yeh thoda mushkil jarur hai lekin nirantar abhyas se ise aasani se kiya ja sakta hai.

  1. Sabse pahle ki saaf aur samtal jamin par pith ke bal let jaye aur dono pero ko ek sath milakar rakhe.
  2. Sans lete huye dhire-dhire pero ko bina mode upper ki aur uthaye. Jaise-jaise aap per upper uthaye sath mai kamar ko bhi upper uthane ka prayas kare.
  3. Aaram-aaram se pith aur pero ko 90 degree tk uthaye.
  4. Iss asan ko karte samay hatheliyo ko kamar par aur kohniyo ko jamin se tika kar rakhna chahiye.
  5. Ab iss yogasan ko apni shamtanusar kuch samay tak kare, phir dhire-dhire samanya avastha mai aa jaye.

 

Pavanmuktasana

Iss asan ko karne se sharir ki dushit vaayu sharir se bahar nikal jati hai, isliye ise pavanmuktasana kaha jata hai. Iss asan ko karne se pancreas aur pet ke ango ko sakriyta milti hai. Pet ki aanto aur manspeshiyo ko majboot banata hai.

  1. Iss asan ko karte samay pith ke bal per aur hatho ko sidha karke let jaye.
  2. Ab dahine per ko ghute se modte huye chati ki aur laye aur hatho se lock kar de. Iss prakriya mai ghutno ko sans chodte huye upper le jaye.
  3. Iske baad sar ko upper uthaye aur naak ki tip ya thodi se ghutne ko chune ka prayas kare.
  4. Kuch samay iss avastha mai rahe aur phir dahine per ko samanya avastha mai le jaye.
  5. Yeh prakriya baye per ke sath dohraye aur phir dono pero ke sath bhi iss prakriya ko kare.

 

Yoga for hernia

 

Home Remedies for Hernia: Janiye Kuch Gharelu Upchar

Agar hernia badi ho, usme sujan aur adhik dard ho raha ho to yeh keval operation ke dwara hi thik ho sakti hai. Lekin iske shuruvati lakshan malum ho jane par kuch gharelu nuskho se rahat payi ja sakti hai. Parantu chikitsak se salan aur paramarsh lekar hi aisa karna chahiye. Yaha hum aapko kuch aise samanya gharelu upchar bata rahe hai jinke sevan se aapko hernia mai bahut labh milega. Aaiye jante hai Hernia Treatment at Home

 

Amrud, Yukeliptis aur Aam

Amrud, yuketiptis aura am ke 4-5 patto ko ekatra kar acchi tarah piskar kada bana le au rise niyamit roop se sevan kare. Aisa karne se pet ki aanto ki jhilli majboot hoti hai.

 

Mulethi

Adhik khansi aur cough mai mulethi ko raambaan ilaj mana jata hai. Hernia ke rog mai bhi yeh kafi madadgar sabit hoti hai. Khaskar jab hernia nikal jane par jo rekhaye pad jati hai tab ise jarur aajmaye.

 

Babune Ka Phuul

Babune ko angragi mai Chamomile kaha jata hai. Pet mai hernia hone par kabj aur gas adhik banti hai. Babune ke phul ka sevan karne se pachan tantra thik hota hai aur acid banana ki prakriya ko kam karta hai tatha bahut aaramdayak sabit hota hai.

 

Adrak Ki Jad

Adrak ki jad pet mai gastric acid aur bail juice ke hone wale nuksan se humare sharir ki raksha karta hai aur hernia ke dard mai rahat pahunchata hai.

 

You may also like:- Benefits of Ginger: Adrak ke Fayde Aapki Health ke Liye

 

Marshmallow

Yeh ek jangali poudha hai jo adhik mitha hota hai. Iski jad mai kafi aushdhiya gun hote hai. Yeh pachan kriya ko sudrad banata hai aur pet mai banana wale acid ki matra ko kam karta hai. Hernia rog mai yeh bahut hi labhprad sabit hota hai.

 

Acupuncture ya Barf

Hernia wale sthan par barf se sikai ya dabane par bahut aaram milta hai sath hi isse hone wale dard aur sujan mai bhi rahat milti hai. Yeh tarika adhiktar istemal kiya jata hai.

Hernia ke dard ko dur karne mai acupuncture bhi kafi aaramdayak sabit hota hai. Ek vishesh narv par dabav dalne se iske dard mai rahat mehsus hoti hai.

 

Hawthornia

Yeh ek prakar ka herbal supplement hai, jo pet ki manspeshiyo ko majboot aur pet ke anadr ke ango ko surakshit rakhati hai. Yeh hernia ko bahar nikalne se rokne mai kafi madadgar sabit hoti hai. Isme Citrus Seed, Hawthorn aur Fennel mili huyi hoti hai.

Inn sabke alawa kachnar guggul aur sarvkalp kwath aadi ka prayog bhi kiya ja sakta hai, lekin hernia adhik bad jaane par operation hi ek aakhari rasta bach jata hai. Aap bhi inn home remedies for hernia ko apnakar hernia mai rahat pa sakte hai.

 

Hernia Mai Isse Bache

  1. Hernia prabhavit sthan par garm kapde ya kisi bhi prakar ke garm padarth se sikai nahi karna chahiye.
  2. Hernia hone par adhik tight aur tang kapde na pahne sath hi kisi bhi prakar ki kasrat se parhej rakhe.
  3. Bed par sote samay takiye ko sar se 6 inch upper rakhna chahiye. Aisa karne se sote samay pet mai gas aur acid nahi banta hai.
  4. Thode-thode samay mai halka bhojan ka sevan kare. Ek baithak mai khana na khaye tatha khana khane ke baad jukne wala karya na kare.
  5. Unn karyo se bachana chahiye jisse pet ki manspeshiyo par adhik dabav bane.

Hernia waise to janmjaat samasya hoti hai ya vanshanugat bhi ho sakti hai. Jabki kuch logo mai yeh yuvavastha mai ho jati hai. Yeh samasya kai karano se ho sakti hai. Pet par kisi prakar ke atydhit dabav se, adhik vajan uthane, adhik jor lagakar khasne se, purani chot ke karan, kabj se, garbhavastha me tatha pet ki manspeshiyo ke kamjor hone ke karan bhi ho sakti hai.

Upper aapne jana ki kis prakar Yoga for Hernia in Hindi, ke jariye aap iss rog se mukti pa sakte hai aur inn samanya gharelu upcharo ke madhyam se iss bimari ko badne se rok sakte hai. Lekin yeh sabhi prakriya karne se pahle doctor se iske liye paramarsh lekar hi inn tariko ko apnaye aur behtar swasth ki aura age bade.

 

Loading...

You may also like...