Yoga for Kids in Hindi: Baccho Ke Behtar Vikas Ke Liye

Aajkal ki lifestyle ke chalte bado ke sath-sath bacche bhi kai prakar ki bimariyo ki chapet mai aane lage hai. Bar bar hone wali bimariya unke vikas mai badha banti hai. Isliye unke sharirik aur mansik vikas ke liye yeh jaruri hai ki unhe adhik se adhik active rakha jaye. Active rehne ke liye kai prakar ke vyayam aur yoga bahut hi faydemand hote hai. To aaiye yaha jane Yoga for Kids in Hindi jiski madad se bacche ka sahi tarah se vikas hota hai.

Yogasana sirf bado ke liye hi nahi balki baccho ke liye bhi ek kala hai. Ise karne se baccho ke jivan mai kisi bhi kam ko karne ka utsah to paida hota hi hai sath hi ve puri tarah se fit aur swasth bhi reh sakte hai. Yoga karne se baccho ka dimag tej hota hai. Yoga ek aesa tarika hai jiska chote se chota aasan baccho ke sharir mai bahut prabhav dalta hai.

Waise to yogasana karna baccho ke liye thoda mushkil hota hai. Lekin aaj iss article mai ham aapko batayenge ki baccho ke liye koun koun se aasan sahi rehte hai, unke kya labh hote hai aur unko karte samay koun-koun si savdhaniya rakhna chahiye? Yeh sab janne ke liye aaiye jane kai prakar ke yoga poses for kids.
 

Yoga for Kids in Hindi: Aasan Karne Ke Fayde aur Savdhaniya

 

 

Uttanasana

Uttanasana baccho ke liye bahut faydemand hota hai. Ise karne se mastishk mai rakt ka pravah badhne lagta hai aur sath hi isse tanav, chinta, avsad, aur kisi bhi prakar ki thakan se chutkara milta hai. Iske alava ise karne se man shant rehta hai aur jaangh bhi bahut majbut bante hai.
 

Bhujangasana

Kai prakar ke Yoga for Kids in Hindi hai. Jinme se Bhujangasana bhi baccho ke liye accha hota hai. Yeh aasan karne se baccho ke haath aur kandhe majbut bante hai, gurde ke sabhi ang swasth rehte hai aur chhati bhi khulti hai. Iske alava bhujangasana karne se hriday aur fefado ke marg saaf ho jate hai.
 

Balasana

Balasana mai sharir ki aakrati garbh mai pal rahe shishu ki tarah hoti hai. Isliye is aasan ka naam balasan rakha gaya tha. Angreji mai is aasan ko Child’s Pose kehte hai. iss aasan ke abhyas se man bahut shant hota hai sath hi sharir mai chusti aur tandrusti bani rehti hai.
 

Adho Mukha Sukhasana

Baccho ke dwara iss aasan ko karne se pehle sukhasana ki sthiti mai baith jaye fir apne dono hatho ko aage ki aur failakar jamin par sataye aur sar ko bhi jamin se satane ki koshis kare.

Ise karte samay aage jhukne ke karan sharir mai khun ka viprit sanchlan bahut sahi tarike se hone lagta hai. Jisse baccho ki thakan aur tanav dur ho jate hai aur mastishk ko bhi aaram milta hai. Sath hi iss aasan ko karne se pet ki maspeshiya majbut banti hai aur pachan tantra behtar banta hai.
 

You may also like:- Shirshasana Benefits in Hindi: Sehat aur Sondary ke Liye Yog

 

Tadasana

Baccho ke liye kiya jane wala sabse saral aur shaktisahali aasan tadasan hota hai. Iss aasan ko karne ke liye dhyan ko kendrit karne ki jarurat hoti hai. Yeh hriday maspeshiyo aur reedh ki haddi ko majbut banata hai sath hi sharir ki unchai badhane mai madad karta hai.
 

Badhkonasan

Iss aasan ko karne se kulhe ke kshetra mai lachilapan aur bhitri jangho mai accha khichav hota hai jisse yeh aant aur mal tyag mai bhi madad karta hai.
 

Baccho ka Yogasan Karne Ke Laabh

  1. Yoga ke dwara baccho ko fit rakha ja sakta hai aur kai prakar ki mosami bimariyo se bachane mai madad milti hai.
  2. Yoga karne se baccho ka immunity system majbut banta hai aur we bimariyo se bach pate hai.
  3. Baccho ko active banane aur unka aatmavishvas badhane ke liye yogabhyas jarur karwana chahiye.
  4. Jin baccho ko gussa bahut tej aata hai, unke gusse ko niyantrit karne ke liye yog bahut hi faydemand hota hai.
  5. Baccho ko active banane aur unke sharir ko lachila banane ke liye yog bahut hi accha hota hai.
  6. Rojana yog karne se logo ka kam ke prati dhyan kendrit ho jata hai aur unke mastishk ka vikas teji se hone lagta hai.
  7. Depression ka shikar huye baccho ko bhi yogasan karne se bahut laabh milta hai.

 

Yogasan Karne Mai Rakhe Yeh Savdhaniya

Yogasan karne se bachho ko bahut se swasth labh milte hai. Lekin unko karte samay unhe bahut si savdhaniyo ki bhi jarurat hoti hai.

  1. Jab bacche yogasan karne jaye tab yeh dhyan rakhe ki unka pet khali ho.
  2. Baccho ko wohi yog karvana chahiye jo ve niymit rup se kar sake. Kyonki yogaabhyas ko rojana karna bahut jaruri hota hai.
  3. Baccho ko shuruvat mai hi sabhi yog na karvaye. Balki dhire-dhire abhyas karvana chahiye.
  4. Baccho ko bich bich mai savasana jarur karvaye isse bacche thakte nahi hai.

Upar aapne padha Yoga for Kids in Hindi. Yadi aap bhi apne bacche ko swasth aur fit dekhna chahte hai to unhe yog karwaye. Aap chahe to unhe classes bhi join karwa sakti hai.
 

Loading...

This website uses cookies.