Yoga for Normal Delivery in Hindi – Samanya Prasav Ke Liye

Garbhavastha ka dour har mahila ke liye bahut khushiyo se bhara hota hai. Lekin iss wakt garbhavati ko apne swasthya ka sahi aur accha khayal rakhna bahut jaruri hota hai. Kyonki iss wakt yadi thodi bhi laparwahi barti jaye to yeh shishu ke liye khatra ban sakti hai.

Har maa chahti hai ki uska prasav samanya tarike se ho aur wo ek swasth bacche ko janm de. Lekin aajkal ki jeevansheli mai normal delivery naa ke barabar ho gyai hai. Aajkal bacche ko janm dene ke liye jyadatar cases mai operation ka sahara liya jata hai, jisse aage chalte kai pareshaniyo ka samna karna padta hai.

Inhi baato ke chalte kai mahilaye iss douran tanav mai bhi aa jaati hai. Samanya prasav ke hone aur garbhavastha ki anya samasyao se bachne ke liye yog ka sahara lena chahiye. Iske jariye prasav ke douran hone wali kai dikkato se bacha ja sakta hai.

Aese mai delivery hote samay inn sab pareshaniyo ka samna na karna pade, iske liye kuch aese yogasan hai jinko karne se se aap prasav ke douran hone wali dikkato se bach sakti hai. Janiye Yoga for Normal Delivery in Hindi.

 

Yoga for Normal Delivery in Hindi: Garbhavati Mahila Jarur Jane

 

 

Paschimottanasana – Seated Forward Bend

Paschimottanasana asana karne se ridh ki haddi majboot hoti hai tatha kamar dard kam hota hai. Rojana ise karne se tanav se rahat milti hai tatha manspeshiya lachili banati hai. Garbhvati mahilao ko iss yogasan ko karne se prasav ke samay dard kam hota hai. Yeh ek prabhavi Pregnancy Yoga for Normal Delivery hai.

 

Paschimottanasana Karne Ki Vidhi:-

  • Iss asana ko karne ke liye sabse pehle dari bicha le aur sidhe pair karke beth jaye tatha dono panjo ke bich thodi duri bana le.
  • Ab ghehri saans lete huye dono pairo ke panje ko chhune ki koshish kare.
  • Jab aap iss asana ko kar rahe hote hai samanya saans le aur jyada tanav na le.
  • 15 second tak issi avastha mai bane rahe aur fir wapis aaye.
  • Iss prakriya ko kam se kam 3 bar dohraye.

 

Vakrasana – Twisted Pose

Vakrasana karne se ridh ki haddi majboot banti hai tatha sharir ki maspeshiyo mai lachilapan aata hai. Jab aap iss asana ko garbhavashtha mai karte hai to garbhavati mahila mai shrakara ka satar samanya bana rehta hai.

 

Vakrasana Karne Ki Vidhi:-

  • Sabse pehle chatai bichha kar sukhasan mai baith jaye aur kamar ko sidhi rakhe.
  • Ab dai hatheli ko baye guthne par rakhe aur gehri saans le.
  • Ab saanso ko dhire dhire chhode aur baye hath ko kamar ki taraf niche rakhe aur baye taraf mud jaye.
  • Iss avstha mai karib 10 second tak ruke rahe aur wapis aa jaye.
  • Iss prakriya ko dusri taraf se bhi kare.

 

Bhadrasana – The Gracious Pose

Bhadrasana ko garbhavati mahila karegi to use kaafi fayda hoga kyoki yeh asana garbhavastha mai uterus ki manspeshiyo ko lachila banata hai. Iske alawa pachan shakti ko bhi badata hai aur man ki chanchalta ko kam karta hai.

 

Bhadrasana Karne Ki Vidhi

  • Iss asana ko karne ke liye sabse pehle sukhasana mai baith jaye aur guthno ko jitna ho sake dur rakhe.
  • Dono pairo ke talvo ko aapas mai milaye tatha pairo ki ungaliyo ko jameen par rakh de.
  • Dono hatho ki hatheliyo ko niche talvo par rakhe.
  • Dhyan rakhe jab aap iss avastha mai ho kamar aur gardan sidhi hona chahiye.

 

Titali Asana – Butterfly Pose

Titali asana karne se jangho ki manspeshiyo mai tanav kam hota hai aur guthne se lekar panje tak ki maspeshiya lachili banti hai. Thata isko roj karne se bacche ko janam dete samay kathinai bhi bahut kam hoti hai. Normal Delivery of Baby ke liye iss aasan ko garbhavati mahila ko timahi se karna chahiye.

 

Titali Asana Karne Ki Vidhi:-

  • Sabse pehle chatai ya dari bhicha kar jameen par samne ki taraf pair faila kar baith jaye tatha dono pairo ko ghutnne se mode.
  • Ab apne hatho se pairo ki ungaliyo ko pakde aur aedi ke pas sharir ko lane ka prayas kare.
  • Iss avastha mai bethte samay kamar aur hath ek dam sidhe hona chahiye.
  • Samanya gati se saans le aur dono pairo ko ek sath upar aur niche ki taraf laye aapko apne pairo ko iss prakar hilana hai maano titali apne pankh hila rahi ho.

 

Virabhadrasana – Warrior Pose

Virabhadrasana garbhavati mahila ke liye bahut faydemand hota hai. Iss aasan ko karne se sari manspeshiya lachili banti hai tatha garbhavati mahila ko ise karne se unke pure sharir mai rakt ka sanchar hota hai. Iss asana ko karne se bacche ko suddha oxygen aur nutrition milte hai tatha iss asana ko karne se mansik aur sharirik vikas hota hai.

 

Virabhadrasana Karne Ki Vidhi:-

  • Sabse pehle dono pair par sidhe khade ho jaye aur dono pairo mai kam se kam 4 feet ki duri bana le.
  • Ab baye pair ko sidha kare aur baye aur ghumaye tatha daye pair ko thoda sa aage badaye.
  • Ab baye hath ko samne ki taraf aur daye hath ko piche taraf khole.
  • Iske bad pairo mai duri badate huye niche ki taraf aaye dhyaa\n rakhe piche ki taraf ka guthna mude nahi.

 

Upar aapne jana Yoga for Normal Delivery in Hindi. Yadi aap bhi garbhavati hai to aur samanya prasav chahti hai to yogasan ka abhyas jarur kare. Iske sath hi ek baat ka khayal rakhe ki yog ke aasano ko ghar par naa dohraye, yog guru ke nirdesho mai hi ise kare.

 

Loading...

This website uses cookies.