PCOS (Polycystic ovary syndrome), mahilao mai hone wali ek aam samasya hai. Vaise to yeh samasya 30 ki umra ke baad ki mahilao mai jyada dekhne ko milti hai. Kintu aajkal ki jeevan sheli mai kaafi partivartan aa gaye hai jiske karan yeh samasya ab kam umra ki ladkiyo mai bhi dekhne ko mil rahi hai.
Jab sharir mai sex hormones mai partivartan hota hai tab polycystic ovary syndrome hota hai tatha iska masik chakra par bhi prabhav padta hai aur overy mai ek chhoti si gaath ban jata hai. Agar iss samasya par samay par dhyan nahi diya jaye to yeh gambheer rup le sakti hai.
Bahut si ladkiya ise najar andaj kar deti hai, kintu ham aapko bata de ki yeh samasya kabhi kabhi cancer ka bhi roop le leti hai. Apni dincharya mai parivaran kar aur yog ko shamil kar aap iss samasya se nijat paa sakte hai. Aaiye jante Yoga for Pcos in Hindi.
Yoga for Pcos in Hindi – Mahilao Ke Liye Faydemand
Jaisa ki aap sabhi jante hai ki yoga karne se aapka sharir swasth, balvan aur nirogi banta hai. Kuch aese yog bhi hai jinko rojana apni dincharya mai shamil karne par PCOS thik ho jata hai. Aaiye jante hai unn yoga ke bare mai jinko kane se aap iss samasaya se chutkara paa sakte hai.
Baddha Konasana
Baddha konasana ko bahut aasani se kiya ja sakta hai aur yeh mudra PCOS ko thik karne ke liye bahut acchi hoti hai.
- Yeh asana pelvic region ko kholta hai tatha manspeshiyo ko aaram deta hai jisse mahilao mai mahavari ka samay acche se nikal jata hai .
- Iske alawa iss yoga ko karne se sharir ke dusre dard jaise kamar dard, aadi mai rahat milti hai.
- Dhyan rakhe jab bhi aap iss yoga ko karte hai uss samay aap mansik tatha sharirik rup se sithil aur aaramdayak stithi mai hona chaiye.
Anulom Vilom
Anulom vilom pranayam ko nadi shodhana pranayama bhi kaha jata hai. Iss pranayam ka jab abhyas karte wakt saanso ko andar bahar kiya jata hai.
- Jab aap ise karte hai tab aapke andar se tanav, dar aur gussa khatam ho jata hai.
- Iss pranayam ko karne se sharir ko aaram milta hai aur Pcos Treatment ke liye bhi yeh faydemand hai.
Naukasana
Naukasana ko karte samay aapke sharir ki stithi naav ke saman hoti hai isliye ise Boat Pose, naukasana kaha jata hai.
- Naukasana ko karne se PCOS ki samasya ka acche se illaj ho jata hai tatha vajan kam karne mai bhi yeh madadgar hai.
- Yadi aap vajan kam karna chahte hai khasakar ki pet ki charbi ko to yeh bahut accha asana hai.
Supta Baddha Konasana
- Yeh asana bhi PCOS mai bahut faydemand hota hai, balki yeh baddha konasana se bhi jyada labhkari hota hai.
- Iss asana ko karte samay aapka sharir jameen par puri tarah aaram karta hai. Shururwaat mai iss asana ko karne ke liye takiye ka sahara le sakte hai taaki aapke kulho ko sahara mil sake.
Bharadvajasana
- Bharadvajasana, student’s ke liye bahut accha hota hai. Yeh aapki ridh ki haddi ko lachila banata hai tatha masik dharm niyamit karta hai.
- Iss asana ko niyamit rup se karne par rakt sanchar samanya hota hai, jisse mahavari mai koi samasya nahi hoti hai aur pure sharir ko aaram milta hai.
- Jab aap iss yoga ko karte hai to ridh ki haddi aur tantrika tantra ki maspeshiyo ko bhi aaram milta hai.
- Pcos Cure ke alawa yeh yoga gardan ke dard ke liye bhi accha hota hai.
Dhanurasana
- Iss asana mai aapke sharir ki mudra dhanush ke aakar ke saman hoti hai, isliye ise dhanurasana kaha jata hai. Jab aap iss asana ko karte hai polycystic ovary syndrome mai rahat milti hai.
- Iske alawa yeh prajanan ang, masik dharam mai ho rahi asuvidha se rahat deta hai.
- Dhanurasana ko niyamit rup se karne par chhati, kandhe, gardan ki sabhi maspeshiya majboot tatha lachili banti hai.
Bhujangasana
- Bhujangasana ko cobra pose bhi kaha jata hai tatha yeh bahut aasani se hone wali yog mudra hai.
- Jab aap iss asana mai uppar ki taraf aakar rukte to isse pet mai khichav aata hai aur ovary ka karya sudharta hai.
- Iss asana ko har umra ki mahila kar sakti hai .
- Iss asana ko karne se pet mai pet mai accha khichav banta hai jo garbhashay ke hormones par niyantran bana rehta hai.
- Iske alawa yeh asana pachan tantra tatha tanav ko kam karne mai bhi sahayak hota hai.
- Iss asana ko karte samay karib 30 second tak sharir ko uss mudra mai rakhe.
Upar aapne jana Yoga for Pcos in Hindi. Polycystic Ovary Syndrome, yeh samanya si pareshani, vikrat roop dharan kare isse pehle hi iske liye chikitsak se ray le, aur yog guru ki dekhrekh mai yog ka abhyas kare.