Maa banna kisi bhi mahila ke liye bahut hi sobhagya ki baat hoti hai. Jab bhi koi mahila maa banti hai to na keval use balki pure pariwar ko bahut hi khusi milti hai. Aur aesa ho bhi kyu na ek nanha sa mehman jo unke yaha aane wala hota hai.
Bacche ko janm dene ki jitni khusi maa ko hoti hai utna hi tanav bhi maa ko rehta hai. Use kai tarah ki tension rehti hai ki kya wo ek swasth bacche ko janm degi ya nahi? Kyoki aajkal ki lifestyle ka asar garbhavastha par bhi padhta hai.
Jyadatar bacche operations se hone lage hai, garbhavastha ke douran maa ko kamar dard ya anya samasyao se bhi do char hona padhta hai. Yadi aap bhi garbhavati hai ya bacche ki planning kar rahi hai to inn samasyao se bachne ke liye yog ka sahara le. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Yoga for Pregnant Women in Hindi.
Yoga for Pregnant Women in Hindi: Garbhavati Mahila Jarur Kare
Yoga Kyu Kare?
Garbhavati ko kaunsa yoga karna chahiye, yeh jaane se pehle aapka yeh janna jaruri hai ki yog kyu karna chahiye. Darahsal yog, vyayam ka ek purana swarup hai jinse salo se logo ko sakaratmak parinaam diye hai. Yoga tanav rahit man aur swasth sharir tak pahuchne ka ekmatra rasta hai.
Garbhavastha ke douran mahilao ko kai samasyae hoti hai jaise:-
- Mood mai parivartan hona
- Atyadhik thakan aur kamjori
- Pairo aur kamar mai dard
- Saas lene mai takleef
Lekin yog ke abhyas se iss tarah ki samasya se rahat milti hai. Sath hi isse prasav ko bhi aasan banata hai. Isse delivery bhi samanya hoti hai. Yog ek maa dwara apne bacche ko diya gaya sabse accha tohfa hai. Kyoki yog ke abhyas se maa ka baccha ekdam swasth bankar iss dunia mai aata hai.
Vakrasana – Twisted Pose
- Yeh baith kar kiya jane wala asana hai. Iss asana ko karte wakt aapki gardan sidhi aur sharir teda rehta hai.
- Yeh aapke sharir ke kai ango jaise hath, pair, gardan, ridh ki haddi aadi ka vyayam karne ka accha tarika hai.
- Yeh aapke pet ke ango ki bhi najuk malish karta hai. Isse sharir ki akdan theek hoti hai.
Utkatasana – Chair Pose
- Iss asana mai aap ek kalpanik kursi par baithte hai, isliye ise chair pose kaha jata hai.
- Yeh jangho aur shroni ki mashpeshiyo ko majboot banata hai.
- Jin logo ko kabj ya acidity ki samasya hai unhe iss Yoga Exercise ko jarur karna chahiye.
Baddha Konasana – Bound Angle Pose
- Iss asana mai sharir ka aakar kon ke saman hota hai, isliye ise Baddha Konasana kaha jata hai.
- Iski mudra mai aap 30 seconds se 1 minute tak reh sakte hai. Sath hi ise aap 2 se 3 minute kar sakte hai.
- Kamar mai lachilapan bana rehta hai aur waha charbi nahi jamti hai.
Paryankasana – Couch Pose
- Iss asana ko shant jagah par hi karna chahiye.
- Iss asana ko karne se prasav pida mai labh milta hai.
- Ise garbhavastha ke chouthe mahine ke baad nahi karna chahiye.
- Isse shroni aur janghe aur pet ki mashpesiya majboot hoti hai. Yeh faydemand Yoga for Delivery hai.
Parvatasana – Mountain Pose
- Tanav aur avsad ko dur karne ke liye parvatasana bahut hi faydemand asana hai.
- Isse sharir ka posture thik hota hai aur peeth dard mai aaram milta hai.
Yastikasana – Stick Yoga Pose
- Isse sharir ka tanav dur hota hai. Isme body stretch hoti hai jiske chalte usme lachilapan aata hai.
- Iski ek mudra mai aap 4 seconds tak ruk sakte hai. Sath hi mudra ko aap 4 bar kar sakte hai.
Trikonasana – Triangle Pose
- Garbhavastha ke douran aapke pachan tantra par bahut prabhav padhta hai. Garbhavastha mai pachan sambandhit vikar ko dur karne ke liye yeh bahut hi accha aasan hai.
- Yeh aapke nitambo mai lachilapan bhi lata hai, jisse parsav ke douran aasani hoti hai.
Marjariasana – Cat Pose
- Marjariasana karne se rakt ka sanchar badhta hai. Yeh aapki kalai aur kandho ko majboot banata hai.
- Yeh asana mahilao ke liye vishesh roop se labhdayak hai. Isse peeth dard dur hota hai.
Shavasana – Corpse Pose
- Iss aasan ka naam sunte hi aapke chehre par khusi aa gayi hogi. Shavasana se sharirik aur mansik dono thakan dur hoti hai.
- Yeh karne mai behad hi aasaan hai aur ise karne se aapko kaafi relax mehsus hota hai.
Upar aapne jana Yoga for Pregnant women in Hindi. Yadi aap garbhavati hai to upar bataye gaye yog asana ko karke fayda paa sakti hai. Lekin yog ka abhyas yog guru ke nirdesho mai hi kare, sath hi apne chikitsak se raay lekar kare.