Yoga Mudra Benefits in Hindi: Kai Bimariyo Ko Dur Kare

Jab bhi hame acche swasthya ko pane ke tarike ke bare mai janna hota hai, to ham aksar logo se yog ke aasano ke bare mai puchte hai, yaha taki net par bhi yahi search karte hai. Kyoki yog ke alag alag asana hame kai labh dete hai.

Lekin ham aapko batana chahte hai ki yog keval aasano par simit nahi hai. Isme yog mudraye bhi shamil hai. Bahut kam aese log hai jinhe inn mudrao ke bare mai jankari hai. Lekin yeh swasthya ke liye behad hi faydemand hai.

Yog mudrao ko karne se aapke ridh ki haddi lachili banti hai. Yeh na keval aapko sharirik balki mansik aur aadhyatmik labh bhi deti hai. Ayurveda ke anusar hamare sharir mai jo 5 tatva hote hai, unke asantulan ke chalte ham bimar padhte hai. Yog mudra ka abhyas inn tatvo ko santulit karta hai. Aaiye aaj ke lekh mai ham vistarpurvak jante hai Yoga Mudra Benefits in Hindi.
 

Yoga Mudra Benefits in Hindi: Acche Swasthya Ke Liye

 

 

Chin Mudra

  1. Chin mudra karne ke liye apni tarjani ungali aur anguthe dono ke agra bhag ko sparsh kare. Ise bilkul bina dabav ke sparsh kare.
  2. Apni bachi hui teen ungaliyo ko bilkul sidha rakhe.
  3. Chin mudra ko gyan mudra bhi kehte hai. Ise karte wakt aap apne hatho ko jangho par bhi rakh sakte hai.

 

Iske fayde
  • Yeh aapka stamina badhata hai, jisse aap pura din urjawan mehsus karte hai.
  • Ise karne se aapke andar ekagrata badhti hai, students ko to iss asana ka abhyas jarur karna chahiye.
  • Isse tanav dur hota hai aur aap acchi nind le pate hai.
  • Isse peeth dard ki samasya se chutkara milta hai.

 

Chinmaya Mudra

  1. Iss mudra ko karte wakt aapki tarjani ungali aur angutha dono halke dabav se ek dusre ko sparsh karti hai.
  2. Lekin isme bachi hui ungaliya chin mudra ki tarah khuli hui nahi rehti balki mudkar hatheli ko sparsh karti hai.
  3. Ise karte wakt apne hatho ko jangho par rakhe aur lambi gehri saase le. Aapke hatheliyo ka rukh aasman ki aur hona chahiye.

 

Iske fayde
  • Yeh aapke pachan ko sudharti hai.
  • Yeh fefdo ke karya ko bhi sahi karti hai.
  • Yeh sharir mai urja ke sanchar ko badhati hai.

 

Agni Mudra

  1. Iss mudra mai aapko apne hatho ke angthe se anamika ungali ke bich ke bhag ko sparsh karna hota hai.
  2. Iss mudra mai aapko ungali par thoda dabav dalna hai.

 

Iske Fayde
  • Yadi aap rojana agni mudra ka abhyas kam se kam 15 minute tak karte hai to isse aapka motapa ghatta hai.
  • Yeh aapki pachan pranali ko theek karta hai, jisse aapko acidity jaisi samasya nahi hoti hai.
  • Isse rakt ka sanchar sucharu hota hai aur aapko cholesterol jaisi samasya nahi hoti hai.

 

Shunya Mudra

  1. Shunya mudra mai aapko apne anguthe se apne hatho ke bich ki ungali ke agra bhago ko dabana hai.
  2. Baki bachi hui ungaliyo ko sidha rakhna hai, isse aapke hatho mai shunya ki mudra banti hai.

 

Iske Fayde
  • Isse chakkar aane ki samasya dur hoti hai.
  • Isse sunne se sambandhit samasya dur hoti hai, jaise kam sunai dena ya fir kaan mai ghanti ki aavaj aana.

 

Vayu Mudra

  1. Vayu Mudra karne ke liye Index finger ko modkar anguthe ke mool me lagakar halka sa dabaye aur baki ki saari ungliyo ko sidha kar de.
  2. Iss mudra me baithte time ridh ki haddi bilkul sidhi rehni chahiye.

 

Iske Fayde
  • Vayu Mudra vaat rogo ke liye behad laabhkari hoti hai.
  • Saath hi yeh sciatica, kamar dard, gardan dard, Parkinson, gathiya, lakwa, jodo ka dard aur ghutano ka dard me bhi Laabh deti hai.

 

Prithvi Mudra

Iss Mudra ko banana mai ring wali ungli ko anguthe ke agrabhaag se lagakar baki ungliyo ko sidha kar le.
 

Iske Fayde
  • Yeh mudra sharir ki durbalta ko dur kar vajan badane me madad karti hai.
  • Yeh sharir me khoon ke dore ko thik kar sharir mai sfurti, kanti aur tez utpann karti hai aur mashpeshhiyo me majbooti laati hai.

 
Upar aapne jana Yoga Mudra Benefits in Hindi. Isse aap kai tarah ki bimari ko dur kar sakte hai aur swasth reh sakte hai. To aaj se hi inn mudra ko niyamit kare aur swasth sharir paye.

 

Loading...

This website uses cookies.