Yoga Poses for Couples – Sehat aur Rishta Dono Banaye

Yoga ke bare mai hum kaafi bat kar chuke hai, aur adhiktar log jante hai ki yoga swasth ke liye accha hone ke sath sath aapko kai bimariyo se ladne ki shamta bhi deta hai. Yoga ko subah ya sham kabhi bhi kar sakte hai tatha yeh sharirik aur mansik tanav ko dur karta hai.

Aaj tak aapne jitni bhi yoga poses sikhe hai unn sabko aap akele hi kar sakte hai. Yadi inn yoga ko karte huye aap bore ho gaye hai tatha kuch naya try karna chahte hai to Yoga Poses for Couples ka abhyas kar sakte hai.

Inn asana ko karne se yadi aapke aur aapke sathi ke bich koi tanav hai to wo dur ho jayega aur aap ek dusre ke bahut karib ho jayenge. Aapka swasthya to accha hoga hi sath hi aap yoga poses ke douran ek dusre ko support karte hai to aapki asal jindagi mai chemistry bhi bani rahegi.
 

Yoga Poses for Couples: Apne Sathi Ke Sath Kare Abhyas

 
Yoga Poses for Couples in Hindi
 

Ardha Matsyendrasana

Partner Yoga Poses ki baat kare to yeh asana karna bahut saral hai aur aap aapke sathi ke sath karenge to aapko kaafi maja aayega. Yadi aap couple yoga asana karne ki shururwat kar rahe hai to ardha matsyendrasna aapke liye bahut accha hai.

  • Iss asana ko karne ke liye sabse pehle ek dusre ki taraf pith karke baith jaye.
  • Ab dono ek dusre ki taraf kamar se twist kar le aur daya hath sathi ki guthne ya jangh par rakhe.
  • Ab dhire dhire saans ko andar ki taraf le aur chhode aur ho sake to aapki saanso ko dusre sathi ki saanso ke sath synchronize kare.
  • Aap iss stithi mai kam se kam 5 se 10 minute rahe aur aapki kshamta ho to isse jyada bhi reh sakte hai.

 

Paschimottanasana

Jab aap iss asana ko karte hai isme aage ki taraf khichav aata hai. Isliye iss asana ko paschimottanasana kehte hai tatha iss asana ko karte samay pith ki manspeshiyo mai acche se khichav banta hai. Yeh pith ke liye accha vyayam hai.

  • Jab aap iss asana ko kare aap aur aapka sathi ek dusre ki taraf pith karke baith jaye.
  • Ab aapke sathi ke hatho ko kuhaniyo ke yaha se pakde aur aur aapki pith ki taraf khiche.
  • Jab aap sathi ko khichte hai to aapki maspeshiyo mai bhi khichav banta hai jisse wah lachili banti hai.
  • Iss stithi mai kam se kam 10 minute bane rahe, sath hi iss douran sanso ko samanya bana rehne de.

 

Balasana

Yeh aapke sathi ke sath balance banane ke liye sabse accha asana hai. Jab aapka sathi balasana pose mai jaye uske bad aap bhi aaram se aur surakshit tarike se unke upar usi pose mai baith jaye. Lekin dhyan rakhe aapke partner ki ridh ki haddi par jyada vajan na de.

  • Balasana yog kriya karne ke liye palthi markar baith jaye.
  • Ab aediyo par baithe aur pure sharir ka vajan inhi par ho.
  • Iske bad sar ko jameen se lagaye hatho ko guthno ke pas se piche ki taraf le jaye.
  • Aapki saanso ko samanya bana rehne de.
  • Ab aapke sathi ko bhi isi tarah aapke upar baithne ko kahe aur iss stithi mai karib 15 second se 2 minute tak rahe.

 

Baddha konasana

Baddha konasana ridh ki haddi ke liye sabse prabhavi asana hai. Iss asana mai aap aapke sathi ke sath puri tarah aaram karte hai. Iss asana ko karte huye aap gehri soch mai chale jayenge. Yoga for Couples mai se yeh bhi ek khas asana hai.

  • Iss asana mai bhi aap ek dusre ki taraf pith karke baith jaye.
  • Ab dono apne pairo ko bahar ki taraf khole aur ek sathi saans lete huye aage ki taraf jhukhe.
  • Dusra sathi dono hatho ko khole aur pehle sathi ki kamar ki taraf jhuke.
  • Saans ko 5 se 10 seond tak roke rakhe, aur dono ki pith sidhi hona chahiye.
  • Iss asana ki prakriya ko 5 bar dohraye tatha purani stithi mai wapis aa jaye.

 

Anuvittasana

Anuvittasana ko karna aapke dil aur kamar ke liye bahut accha hota hai. Iss asana ko karne se aapki manspeshiyo ko kaafi aaram milega tatha aapko sharir mai dard hai to usse rahat milegi.

  • Iss asana mai ek partner niche ki taraf jhukta hai.
  • Iske bad kohniyo ke sahayata se dusre partner ko apni pith ki taraf uthaye.
  • Jab pehle wala partner jhukta hai to uska guthna bhi jhukta hai.
  • Iss stithi mai saans ko kuch second tak roke rahe.

 
Upar aapne jana Yoga Poses for Couples in Hindi. Aap bhi apne sathi ke sath uprokt aasano ka abhyas kar sakte hai. Yadi aap yog ke liye naye hai to ise man se try naa kare, yog guru ke margdarshan mai hi ise karna accha hai.

Loading...

You may also like...