STD ye ek sankramak bimari hai jo ki ek dusre ke antarang sampark me aane se failti hai. Ye bimariya kisi bhi age ke vyakti me ho sakti ahi, lekin sexually active logo me inke hone ka khatra jyada rehta hai. Isliye yeh janana jaruri hai ki Sexually Transmitted Diseases ko kese roka jaye.
STD ko venereal diseases ke naam se bhi jana jata hai. Yeh ek gambhir swasth samasya hai. Yadi sahi tarah se iska ilaaj nahi kiya jaye to Infertility jesi gambhir samasya ho sakti hai.
Sambhog ke alawa bhi kai karan hai jinse ye failti hai. Ye pareshani kisi sankramit vyakti se twacha, khoon ya sharir ke taral padhatro se yon sampark ke madhyam se dusre vyakti me pahuchti hai. Iske alawa virus blood transfer dwara bhi sancharit hai. Bimari se grasit mata dwara bhi yeh bhrun ko prabhjavit kar sakta hai.
STD Symptoms: Youn Sanchari Rog ke Lakshan
Sexually Transmitted Infection ka sabse bada khatra yeh hai ki isse grasit vyakti ko kai saalo tak inka pata bhi nahi chalta hai, jab tak ki gambhir lakshan dikhai nahi de. Janiye iske samasya laskhan:
You may also like: Tips for Oral Sex: Safe Maukhik Sambhog Ke Tarike
• Peshab me jalan
• Reproductive organ me blister jese ki kafole
• Masse (Warts)
• Twacha par rashes
• Penis ya vegina me se discharge
• Khas kar striyo ke pet me dard
Types of STD: Youn Sanchari Rog ke Prakaar
Sexually Transmitted Infection ke sabse samanya prakaar:
• Gonorrhea
• Syphilis
• Herpes
• Chlamydia
• Hepatitis (HBV)
• Human Immunodeficinecy Virus (HIV)
• Chancroid
• Human Papillioma Virus (HPV or Genital Wards)
• Trichomoniasis
Sexually Transmitted Diseases ko Rokne ke Upay
1) Sex Partner
Jyada logo se sex karne se bhi sankraman ka khatra badta hai. Isse bachne ka tarika hai ki ek hi partner se sex kare aur khush rahe.
2) Alcohal aur Drugs ka Sevan Nahi Kare
Alcohal aur drugs ka jyada sevan karne se inke sankraman ka khatra bad jata hai. Yadi aap aisa karte hai to youn sambandho ke doran inn bimariyo se sankramit hone ka khatra bhi bad jata hai.
3) Swacchta Banaye Rakhe
STD se bachne ke liye youn sambandh me swacchta banaye rakhe. Sex ke baad apne guptang ko saaf kare.
4) Tikakaran (Vaccination)
Iss bimari ki roktham ke liye bazar me kai injection milte hai. Yeh vaccination sex karne se pehle lena chahiye. Iske liye jagrukta aur siksha bahut jaruri hai.
5) Choti Age me Sex se Bache
Choti age me sex karna bhi Sexually Transmitted Diseases ka mukhya karan hai. Vyakti jitna yuva hoga utna hi khatra jyada hoga.
6) Condom ka Use Kare
Inn bimari ki roktham ke liye aap condom ka use kar sakte hai. Isse aapko sex karne me maza bhi aaega aur koi dar bhi nahi rahega.
Get more details about STD from Sex & Love.