Vivah har kisi ke jeevan ka ek mahatvpurn hissa hai. Hindu sanskriti ki yadi ham baat kare to vivah sanskar 16 sanskaro mai se ek hai. Vivah mai kai sare rasame aur rivaj hote hai. Un sabhi ka apna ek mahtav hota hai.
Vivah mai liye gaye 7 phere bhi unhi mai se ek hai. Samasth pujan, saptvadi aadi ho jane par bhi jab tak kanya var ke bayi taraf nahi bethti tab tak kanya kunvari hi kehlati hai. Iske atirikt jab tak var aur kanya ek dusre ke sath phere lekar vachan nhi dete tab tak kanya var ki ardhangini nahi banti. Jo bhi joda in saat vachono ko dhyaan se sunkar inka palan karta hai. Unki Shaadi shuda jindgi mai kabhi koi pareshani nahi aati hai.
Shaadi chahe arranged marriage ho ya love marriage dono hi tarah se shaadi karne wale jodo ko inn vachno ko lekar ek dusre ke sath nibhana chahiye. Yeh chiz aksar dekhi gayi hai ki var vadhu ko shaadi ke saat phero ka matlab puri tarah se nahi pata hota hai. Jiske karan vo shaadi ke sabhi vachno ko puri tarah se palan nahi kar pate hai. Aur iske mahatvo ko nahi jaane ke karan bhi kuch log court marriage kar lete hai.
Lekin hamari hindu sanskriti main saat ank ka bahut mahatav hai aur inhe shubh mana gaya hai. saatva ank sabhi mangal karyo ke liye shubh mana gaya hai. Isliye vivah mai bhi kanya apne var se saat vachan mangti hai. Yadi aap unn sath vachno aur unke artho ke janne mai utsuk hai to padhiye 7 Promises of Marriage in Hindi.
Promises of Marriage in Hindi: Saat Phere aur Saat Vachan
Shaadi na keval do logo ke balki do pariwaro ka bhi milan hai. Pati patni ko apne dampatya jeevan ko chalane ke liye samne wale ka pura khayal rakhna hota hai. Jiska vachan ve vivah ke douran hi de dete hai to aaiye jane 7 Vows Of Marriage.
Pehla Vachan
Teerthvratoudhyaapan yagyakarm maya sahev priyavayan kuryah.
Vamangamayami tada tvadiyam braviti vaakyam pratham kumari !!
Vivah mai yeh kanya dwara var se liya gaya pehla vachan hai. Isme vadhu apne var se kehti hai ki aap jab bhi kabhi tirth yatra par jao, to mujhe apne sath mai lekar chalna. Kisi bhi vrat upvaas ya daan dharm ko aap kare to uski sahbhagi mujhe bhi banana. Yadi aap isd vachan ko swikkar karte hai to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.
Kisi bhi tarah ke dharmik puja path mai pati patni ka hona bahut jaruri mana gaya hai. Iss vachan ke madhyam se patni ki har sthan par sahabhagita batai gayi hai.
Dusra Vachan
Pujyo yatha svau pitaro mamaapi tatheshabhakto nijakarm kuryaah.
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam dvitiyam !!
Iss dusre vachan ka artha hai ki; patni apne pati se vachan mangti hai aur kehti hai jis tarah aap apne mata pita ka aadar aur samman karte hai. Waise hi aap mere mata pita ka bhi samman karenge. Aur kutumb dharm ka palan karte huye ishvar ki puja karenge. Isi vachan ke sath mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.
Iss vachan ke dwara kanya ki durdrashti ka aabhas hota hai. Iss vachan ko dhyaan rakhte huye var ko kanya ke parivaar ke sath sadvyvhaar karna chahiye.
You may also like:- Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Rishte Zindagi Ke
Teesara Vachan
Jeevanam avasthatray mam paalana kuryaah.
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam tratiyam !!
Iss teesare vachan ke madhayam se kanya apne pati se vachan mangti hai aur kehti hai ki aap jeevan ki aane wali teeno avashthao mai jaise yuvavastha, praudhavastha, vrdhavastha mai mera aur kutumb ke sath ghar mai rehne wale pashuo ka bhi palan poshan karoge to mai aapki ardhangini banna swikaar karti hu.
Choutha Vachan
Kutumbsampalansarvakary kartu pratigyaan yadi kaatan kuryaah.
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam chaturth !!
Shaadi ke 7 vachano mai se chouthe vachan mai patni apne pati se kehti hai ki abhi tak aap ghar parivaar ki chinta se puri tarah mukt the. Ab jab hum vivah ke bandhan mai bandhne ja rahe hai to bhavishya mai hone wali parivar ki sabhi jarurato ko puri karne ki jimmedari aapke kandhe par hogi. Aap iss vachan ko de to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.
Iss vachan ke madhaym se patni pati ko uske daitva ka bodh karvati hai. Iss vachan se yeh bhi pata chalta hai ki putra ka vivah tab karna chahiye jab wo apne pairo par khada ho.
Panchva Vachan
Svasaghkarye vyavahaar karmanye vyaye mamapi mantrayetha.
Vamangamayami tada tvadiyam broote vach panchamatr kanya !!
Panchve phere ka panchva vachan mai patni apne pati se kehti hai ki ghar mai hone wale har vivah, vyvahar , len-den aamdani aur kharch karte wakt aap meri bhi salah lenge. To mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.
Iss vachan se patni ke adhikaro ka pata chalta hai. Yadi kisi bhi karya ko karne se pehle patni ki salah li jaye to isse patni ka samman badta hai. Aur patni ko apne adhikaro ke prati santushti ka abhhav hota hai.
Chhata Vachan
Na mepmaanaman savidhe sakheenaam dyootan na va druvyasan bhanjashchet.
Vamangamayami tada tvadiyam braviti kanya vachanam cah shashtham !!
Iss vachan ke jariye kanya kehti hai ki yadi mai apne sakhiyo ke sath ya fir kisi aur bhi parichit stri ke sath bethu to aap waha mera apman nahi karenge.
Iske alawa yadi aap jua aur anya kisi buri sangat se duri banaye rakhege to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu. Yeh vachan har pati ko patni ko dena chahiye.
You may also like:- Arranged Marriage in Hindi: Janiye Kyo Hai Yeh Perfect Shaadi
Satva Vachan
Parastriyan matrsamaan sameekshy sneh sada chinmayi kaatan kurya.
Vamangamayami tada tvadiyam broote vach saptamamatr kanya !!
Iss akhari vachan mai patni apne pati se kehti hai ki aap mere alawa har stri ko mata aur behan ke saman samjhoge. Pati patni ke bich ke prem mai kisi aur ko bhagidar nahi banaoge. Sada mujh par hi apna prem banye rakhoge. Yeh vachan sukhi jeevan ke liye bahut mahtvpurn hai. Iss vachan se keval vartman hi nahi apitu bhavishya bhi sukhdpurn bitega.
Inn vachan ke madhyam se kanya apne aane wale bhavishya ko surkshit rakhne ka prayas karti hai. Wo apne pati se kehti hai ki yadi aap is vachan ka palan karoge to mai aapki ardhangini banna swikar karti hu.
Iske bad var bhi vadhu se apne liye ek vachan mangta hai, ki tum meri salah lekar chalogi, mere vishvaas ko hamesha banaye rakhogi aur mujhse baat karte samay madhur vachano ka prayog karogi, sath hi ghar parivaar se sambhandhit saari jimedariyo mai mera sath dogi, saas sasur ki seva aur humesha patni-vrat ka palan karte huye ishavar bhakti mai leen rahogi to mai tumhe apne jeevan ka hissa banate huye apni ardhangini hone ka adhikar deta hu.
Jane Saat Phere Lene Ke Karan
Jaisa aapko bataya gaya hai hindu dharm ke anusaar saat ank bahut shubh mana gaye hai. Iska ek karan yeh bhi hai ki bhagvaan ne indradhanush mai saat rang banaye hai, sangeet mai saat sur diye hai.
Aesi manyta hai ki saat suro ke milne se sangeet banta hai, jiski dhun se jivan sharas ho jata hai. Usi tarah saat rango ke milne se sansaar ki sundarta aur badh jati hai. Waise hi saat phere lene ke piche ye manyata hai ki saat phere lene se vivahit jodo ke jeevan mai bhi naye rang, sukh, aanand, sundarta, aur prem humesha bana rehta hai. In nsaat vachno ki ek khas baat yeh bhi hai ki ye sare vachan kanya dwara liye jate hai. Uske bad kanya patni banker jeevan bhar sath dene sada ke liye pati ke ghar aa jati hai.
Yeh saat vachan jeevan ki har duvidha ko sammapt kar dete hai. Agar pratyek joda inn vachno ka puri tarah se palan kare to dahej jaisi kupratha ki nobat hi nahi aayegi. Na hi koi nai naveli dulhan dhahej ki aag mai jalkar maregi, na hi pariwar tutenge aur na hi kisi ko bhi vivaah karne par kabhi bhi pachtava hoga.
Upar aapne jana 7 Promises of Marriage in Hindi. Yeh saat phere sukhi jeevan ke liye bahut jaruri hai. Aur inka palan karna bhi sukhi jeevan jeene ke liye jaruri hai.