After Delivery Tips, Prasav ke Baad Makeover

Prasav ke baad jaha maa ki jimmedari bad jati hai, vahi dusri tarf uske sharir ka shape bhi bigad jata hai. Raat bhar jaagkar bacche ki dekhbhaal karne ki vajah se mahilaye apne sharir ka dhyan nahi rakh pati hai. Garbhavastha ke baad mahilaye ka istan, pet aur lagbhag sharir ka pura hissa prabhavit hota hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, After Delivery Tips in Hindi.

Jin mahilao ko judva bacche hote hai, ya jin mahilao ke bacche ka vajan samanya se adhik hota hai unhe parsav ke baad samanya isthiti mai aana bahut mushkil hota hai. Iske alawa mahilao ke pet ke aaspaas stretch mark pad jate hai.

Niyamit vyayam, cosmetic surgery aadi ke jariye mahilaye prasav ke baad bhi apne sharir ko pahle jesa bana sakti hai. Mumma makeover ek surgical prakriya ka prayog bahut pahle se hota aa raha hai aur iske jariye aasani se jango pet aur breast aadi ko purane shape mai la sakte hai.

To aaiye hum jante hai ki mahilao ke fitness ko dobara kese pa sakte hai. Iske baare mai vistaar se janane ke liye hum aapko bahut se tips batate hai. Cosmetic surgeon aur skin institute ke cosmetic surgeon Doctor Mohan Thomas ke anusaar, garbh ke doran breast, pet, jango aur youni mai badlav hota hai. Jisko aasani se uske purane roop mai laya ja sakta hai. Iske prinaam ke aadhar par niche di gai prakiya ki ja sakti hai.

 

After Delivery Tips in Hindi, Garbhavastha ke Baad Fir Pahle Jese Dikhne ke Tarike

Breast Surgery
  • Tummy Tak:- Vaginoplasty (yeh kewal youni mai badlav ke liye hai)
  • Istan Vrddhi:- Bade huye istano ko samanya karne ke liye ek prakaar ki plastic surgery ki jati hai. Isse istano ka aakar samanya ho jata hai.
  • Breast Lifting:- Jo istan latakne lagte hai, unhe samanya karne ke liye yeh kiya jata hai. Isse latke huye breast ko ek aakar mil jata hai.
  • Breast Reduction:- Pregnancy ke baad bade huye istano ko ghtane ke liye yeh prakriya ki jati hai.

You may also like:- First Period after Pregnancy: Delivery ke Baad Masik Dharm

Body Contouring
  • Vaginoplasty:- After Delivery Tips mai Vaginoplasty ka naam sabse pahle aata hai. Prasav ke baad vadinal canal ke kasav ke liye iss prakriya ko kiya jata hai.
  • Abdominoplasty:- Yeh kai prakaar se kiya jata hai jese:
  • A- Pet ki hisse ke daago ko mitane ke liye jata hai.
  • B- Nabhi ke aas paas ke hisso ke liye is surgery kiya jati hai
  • C- Pelvis ke hisse bhi kabhi bhi bad jate hai use bhi iske jariye kam kiya jata hai.

After Deliver Makeover ke Samay Inn Baato ka Dhyan Rakhe

  • Prasav ke baad bhi agar maa ko koi samanya ya gambhir samasya hai to cosmetic surgery nahi ki ja sakti hai.
  • C- Section ke jariye prasav karne vali mahilao samanyta vaginoplasty ki jarurat nahi padti hai. Agar samanya prasav huya hai, tab youni mai lachilapan aa sakta hai use samanye karne ke liye Vaginoplasty krvana chahiye.
  • Delivery ke baad turant atirikt surgery se bachna chahiye. Iske do pramukh karan hai, Maa ko samasya bhi ho sakti hai aur dusra bacche ko maa ki jarurat hoti hai.
  • Iss surgery ko karvane ke liye kisi vishesh umar ka hona jaruri nahi hota hai, mumma makeover ke liye delivery ke baad kisi bhi samay ise kar sakte hai.
  • Delivery ke baad istan paan, neend na aana, sharir mai badlav aana inn sab pareshani ke karan aap mansik roop se ghir sakte hai. Lekin baad mai bhi is prakriya ke tarah pahle jesa sharir pa sakti hai.
  • Prasav ke baad youn sambhand banana bilkul band na kre, isse aap mansik roop se swsath hoti hai aur yeh maa ke makeover ke liye bahut hi accha tarika ho sakta hai.
  • Cosmetic surgery ke baad rozana vyayam bahut jaruri hota hai. Roz 30 minutes tak vyayam kijiye. Saath hi apne khan pan ka vishesh dhyan dijiye.

Upar aap jana After Delivery Tips in Hindi. Jisse ki har mahila prasav ke baad bhi sundar dikh sakti hai.

After Delivery Tips se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

This website uses cookies.