Kya aap jante hai ki cities me garden aur sadko ke soundaryakaran ke liye lagaye jane wale Amaltas (Cassia Fistula) ke ped ke sabhi ang jese phal pattiya ka istemaal prachin kal se hi aushadhi ke roop me kiya ja raha hai. Lekin kya aap jante hai ki is sped ki phal aur pattiyo se bahut se Laabh hote hai. Aaiye jante hai Amaltas Benefits aur jante hai iske dhero laabh.
Pile phul wali amaltas ka ped road ke kinaro aur bagicho me dekhne ko mil jata hai. Iss khubsoorat ped ko shahro me sadak ke kinare aksar sajawat wale ped ke tour par lagaya jata hai. Iski pattiya gahare hare rang ki aur phul pile rang ke chamkile hote hai.
Amaltas Benefits: Janiye Iss Ped ke Dhero Laabh
Twacha Sambandhi Vikaar Dur Kare
Amaltas ke ped ki pattiya twacha mai jalan, sujan aur dard se prabhavi dhang se rahat pradan karne me madad karti hai. Iski pattiyo ko buttermilk ke saath milakar twacha par lagaya jaye to twacha sambandhit anek samasyayo me aaram milta jata hai. Daad, khaj, khujali hone par amaltas ki phaliyo ke gude aur neem ki pattiyo ko saath me piskar sankramit twacha par lagane se fayda hota hai.
Pratiraksha Pranali ko Badava De
Amaltas ke ped ke phal aur bark anti oxidants guno se bharpur hote hai. Isliye iske sevan se pratiraksha pranali ko badava dene me madad milti hai.
Kabj Dur Kare
Isse prapt gude ko ek prabhavi rechak ke roop me jana jata hai. Amaltas ke taaze gude ko apachan se pareshan vyakti ko diya jaye to aaram milta hai. 50 gm gude ko puri raat pani me bhigokar rakh de aur phir isme 25 gm sugar milakar mishran bana le aur kabj ke ilaj ke liye istemaal kare. Amaltas la guda halka aur haanikarak rechak hai. Iss gude ko kacche jeere ke saath milakar khilana bhi kafi asarkarak hota hai.
You may also like:-Constipation Home Remedies – Kabj Se Bachne Ke Gharelu
Bukhar Kam Kare
Amaltas Benefits ki baat kare to iska sabse accha fayda bukhar wale logo ko aata hai. Iska upyog karne se bukhar kam ho jata hai. Iski jad vyapak roop se tonic ke roop me jani jati hai jo bukhar ko kam karne me madad karti hai. Bukhar hone par amaltas ke gude ki 3 gm matra din me 3 baar 6 dino tak lagatar lene se bukhar me aaram milta hai aur saath hi badan dard me bhi rahat deta hai.
Sardi, Jhukham me Laabhkari
Amaltas aam sardi jhukham ke upchar me karagar hota hai. Jalti amaltas jad ka dhua bahati naak ka ilaj karne me sahayak hota hai. Yeh dhua bahti naak ko uttejit karne ke liye jana jata hai aur turant rahat pradan karta hai.
Pet ke Rogo me Laabhkari
Baccho ko aksar pet me gas, dard aur pet fulna jesi samasyae hoti hai. Inn samasyao ke hone par amaltas ke gude ko nabhi ke aaspas ke hisse me lagane se fayda hota hai. Yeh prayog niyamit roop se karne se sahi roop se fayda hota hai. Iske alawa gude ko badam ya alsi ke tel ke saath milakar lene se mal tyag ki samasyao ko dur karne me madad milti hai.
Ghav ko Bhare
Amaltas ghav ko bahut tezi se bharta hai. Iski jadi buti aur pattiyo ko nikale gaye ras sankramit twacha ke shetro me dressing ke liye prayog kiya jata hai. Iske alawa iski chal ke khade ka prayog ghavo ko dhone ke liye kiya jata hai. Isse sankraman nahi hota hai.
Upar aapne jane Amaltas Benefits. To aaj se iss aushadi ka istemaal kare aur hone wali sabhi bimari se bache.
Amaltas se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.