Anorexia ek aam dieting disorder hai, jise halke mai nahi liya jana chahiye. Yadi aap ya aapka koi bhi family member iss dieting disorder ke karan chintit hai. To aaj se hi iss ka ilaj shuru kijiye.
Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Anorexia Symptoms. Jisse mai ki aap kuch sharirik, vyavahrik aur bhavnatamk lakshan ke baare mai jan janyenge.
Dieting disorder se 1-5 % tak ki jansankhaya ko prabhavit karta hai aur yeh 13 se 30 tak ki umra ke beech ki mahilao mai jyada paya jata hai. Halaki yeh samasya admiyo ko bhi kisi bhi umra mai prabhavit kar saktai hai.
Vese iss bimari ka ptaa gambhir isthiti mai pahuchane ke baad hi lagaya ja sakta hai. Isse pidit 20 % logo ko mout ka khatar rahta hai. Kahne ka matlab hai ki, jab log iss bimari se puri tarah ghir jate hai. Tab unka iska ptaa chalta hai ko vah isse pidit hai.
Aise mai inn logo ko chekup ki bahut jarurat hai. Kyoki iss bimari se bachne ke liye vikalp kam hai. Pro Stephen Toys ne kaha, agar aapko pahle se hi ptaa lag jaye ki aap iss bimari se pidit hai, to iska upchar behtar tarike se kiya ja sakta hai. Ab prayas kiye ja rahe hai ki, iss baare mai logo ko jagruk kiya jaye.
Anorexia Symptoms ko Pahchan kar Dur Rahiye iss Bimari se
Khane se Dur Bhagna
Anorexia Symptoms ki baat kare to hum bol sakte hai ki, khane se dur bhagna iska sabse badha lakshan hai. Jin par iss dieting disorder ka khatra hota hai. Vah bhuk hone se inkar karte hai chahe unhe bhuk lag rahi hai. sharir ko bhojan ki jarurat hone par par bhi khana nahi khate hai.
Khane ki Aadto mai Achanak Badlav
Yadi koi vyakti khane ki aadto mai achanak badlav karta hai to yeh anorexia ka lakashan ho sakta hai. Isse gup-chup khana, kuch vishesh prakar ke khadya padarth par hi jor dena. Vese aap chahe to iss bimari se bachne ke liye Increase Appetite ko bhi apna sakte hai.
Atyadhik Vajan Ghatna
Anorexia aapke sharir ko poshan tatavo se dur rakhte hai. Isliye iss mai vajan kam hone lagta hai. Yeh iss bimari ka mukhaye lakshan hai. Jisse bhul kar bhi najarandaz nahi kiya ja sakta hai.
Mote aur Pratdar Kapde Pahnna
Anorexia se pidit log apne vajan ghatne ko chipane ke liye aksar mote aur partdar kapde pahnte hai.Jisse unka ghatta vajan najar nahi aata hai. Yeh bimari ek tarah ki mansik bimriyo mai se ek hai.
Vajan Check Karne ki Utsukta
Yadi aap kisi vyakti ko dekhte hai, jo ki lgatar aur niyamit roop se apna vajan badhane ke liye chintit hai, to vah anorexia se pidit ho sakate hai.
You may also like:- Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna
Hamesah Asantusht Rahna
Anorexia se pidit log hamesha apne sharir aur vajan ko lekar unsatisfied rahte hai. Chahe vah bahut patle ho to bhi apne aapko mota aur overweight samjhte hai.
Masik Dhram mai Badlav
Yadi yuva ladkiya mai lagatar teen baar ya isse bhi jyada masik dharm nahi hota hai. To yeh anorexia ka lakshan ho sakta hai.
Vyavahar mai Badlab
Jo log dheere-dheere anorexia se pidit ho rehe hai. Vah apne aapko auro se alag rakhate hai aur samajh se bhi dur rahte hai. Aise log family member ke saath aur dosto ke saath bhi bahut kan samay btaate hai aur jyada tar akele rahte hai. To hum bol sakte hai ki, Anorexia Symptoms mai iss lakshan ki aham bhumika hai.
Khane ke Turant Baad Wash Room Jana
Log khane ke baad turat hi bathroom jate hai. Jisse vah ulti kar sake ya fir use mal dwara bahar nikal sake.
Vyayam Jayad Karna
Isse pidit log jarurat se jyada vyayam karte hai aur jarurat na haone par hi yeh log khub sari kasrat karte hai. kyoki inko sirf patla hona hota hai. Taki inka vajan kabhi bhi na badhe.
You may also like:- Exercise Benefits: Vyayam ke Dwara Paiye Swasth Life
Sharir mai Kamjori
Iss baimri mai aapke sharir mai hamesh kamjori najar aati hai. Kyoki iss bimari ke chalte aap poshak tatvo ka sevan karna chhod dete hai. Jo ki aapke liye bahut hani karak hota hai.
Nutrition Therapy Anorexia in Hindi
Sabse pahle rogi ke aahar sambhandhi history aur aadto ke baare mai jana chahiye. Ek chemical dwara puri tarah se clinical chekup kiya jata hai. Prayogshala ka ankalan hemoglobin aur protein ka istra jesi kuch baato par niradharit kiya hata hai.
Pramarsh
Jab marij khatre se bahar ho aur pramarsh karne ke liye ya checkup karne ke liye use pryapt roop se urja parapt karni chaiye. Aahar bhukhmari ka prabhav smapat kar diya jana chahiye. Yeh dharna ki aapka sharir kitna bhojan khakar ratoraat apni avshaykat puri kar sakta hai, galat hai. Rogi ko vyayam sikhane ke liye prerit kare taki vah ya vo apne future mai apni jarurat ko behtar tarike se janane mai saksham ho.
Upar aapne jane Anorexia Symptoms. To bas der kis baat ki iss dieting disorder ke lakshan ko pahchan aaj hi iska ilaj kijiye aur hamesha ke liye swasth rahiye.