Gathiya rog ko gout ke naam se bhi jana jata hai. Iss rog mai rogi ko bahut dard hota hai. Yadi ek bar koi iss bimari ka shikar ho jaye to isse picha chhudana bahut mushkil ho jata hai. Iss rog ke douran sharir mai uric acid ki matra samanya rup se bad jati hai.
Uric acid ek aisa vishela padarth hai, jiske sharir mai badne se jodo ke andar dard hone lag jata hai. Uric acid ek aesa utpad hai jo sharir kuch khadya padhartho ke pachan ke samay banata hai. Ise sharir mutra ke sath bahar nikal deta hai. Lekin yadi kisi wajah se kidney kharab ho jaye to uric acid sharir se bahar nahi nikal pata aur yeh sharir ke andar dheere dheere jamne lag jata hai.
Jiske karan sujan, akdan, jodo mai dard ki samasya shuru ho jati hai. Gathiya rog kisi bhi umra ke vyakti ko ho sakta hai. Kai bar yeh chhote bacche ko bhi ho jata hai. Umra badne ke sath sath dard badne lagta hai. Iss rog ke aur adhik lakshano ko jaane ke liye padhe Arthritis Symptoms in Hindi.
Arthritis Symptoms in Hindi: Jodo mai Dard, Akdan aur Sujan
Arthritis Symptoms in Hands -Hatho mai Gathiya Ke Lakshan
Arthritis in Hands ki baat kare to yeh sabse pehli avashta hai. Iss rog ke hatho mai hone par kalai tatha ungliyo mai dard hota hai. Iske alawa yeh dard dheere dheere pure hath mai hone lagta hai.
Ham sabhi jante hai ki hatho aur ungliyo ke jod kaafi najuk hote hai. Hath aur ungliya dono ek sath kaam karte hai. Jab bhi hatho mai gathiya rog hota hai iska asar pure hatho ke jod par padta hai aur wo dard karte hai.
Hatho ki ungliyo uttako aur upaasthi ko surksha pradan karti hai. Lekin jab ungliyo ya hatho ke kisi aur jod mai tanav aata hai hatho mai sujan aane lagti hai aur pura hath suj jata hai.
Iss rog mai hatho ke jod kathor ho jate hai. Iss karan se hath aasani se movement nahi kar pate hai. Khasakar subah subha hatho se kaam lena mushkil ho jata hai. Kyonki kai ghanto tak unme kisi bhi prakar ka movement nahi hua hota hai.
Jab hatheliyo ke uttak aur liganments tut kar vraddhi karne lagte hai tab hatho mai garmahat mehsus hoti hai aur lal rashes ho jate hai.
You may also like:- Joint Pain Remedies: Paaye Ghutno ke Dard se Aaram
Arthritis Symptoms in Legs: Pairo mai Gathiya Rog Ke Lakshan
- Iss rog ke hone se pairo mai sujan aane lagti hai tatha dard hone lagta hai, yeh dard dheere dheere badne lagta hai.
- Dard ke jyada badne se guthno ko modne mai samasya aati hai, aur vyakti aasani se guthne mod nahi pata hai.
- Gathiya rog ki wajah se vyakti na to chal pata hai na vajan utha paata hai na hi idhar se udhar move kar pata hai.
- Pairo mai akdan ho jati hai. Jab pair mai thodi bhi halchal hogi to aapko dard hoga. Tatha pairo mai sujan bhi aa jati hai.
- Gathiya rog mai pairo mai chhoti chhoti gathe ban jati hai. Tatha pair kamjoor ho jate hai.
Jane Hips mai Gathiya Rog Ke Lakshan
Jin bhi logo ko hips mai gathiya rog hota hai, unhe chalne ya uthne baithne mai dikkat hoti hai tatha pehli bar mai iska nidan hona bhi mushkil hota hai.
Hip ka gathiya rog unn logo mai jyada dekha gaya jinka vajan bahut bada hota hai. Hips ka dard dheere dheere pairo tak bhi badne lagta hai.
Jane Kuch aur Lakshano Ke Bare mai:-
- Jodo ko chhune par hi unme dard hone lag jata hai. Kai bar to jodo ka aakar bhi vikrat ho jata hai.
- Purusho mai khun ki janch karne par uric acid ki matra 7.2mg se jyada ho to yeh gathiya rog ke lakshan hai.
- Mahilao mai khun ki janch karne par yadi uric acid ki matra 6.1 mg se jyada aaye to yeh gathiya ka lakshan hai.
- Yadi aap pani ki janch ya mutra ki janch karwate hai aur yadi usme uric acid ki matra adhik hoti hai to gathiya rog ho sakta hai.
- Symptoms of Arthritis ki baat kare to marij ko bar bar bhukhar aata hai, tatha manspeshiyo mai dard rehta hai.
- Hamesha thakan mehsus hoti hai aur bhukh kam hone lagti hai. Sath hi vajan bhi kam ho jata hai.
- Sharir ke sare jodo mai asahaniya dard hota hai. Iske atirikt sharir garam ho jata hai.
- Sharir par laal chakte ho jate hai aur jalan bhi hone lagti hai. Iss rog se pidit vyakti ko pyaas bhi bahut lagti hai.
- Sharir ke kisi bhi ang lo hilane par dard hota hai. Jodo mai gathane hoti hai jab pairo ki hilate hai to yeh chitakane lagti hai.
Kab Ho Jaye Satark?
- Jab vyakti ko arthritis hone ki sambhavna hone lagti hai to shuruvati dour mai thakan hone lagti hai.
- Iske hone se pehle kai bar vyakti avsad se bhi ghirne lagta hai.
- Hath pairo mai kathorta hone lagti hai aur kai bar dard mehsus hone lagta hai.
- Aapke jodo mai sujan aane lagti hai tatha jodo wali jagah lal ho jati hai.
- Vyakti mai anemia ki samsaya ho jati hai to ho sakta hai use arthritis hone wala hai.
- Kai bar iska shikar hone se pehle vyakti ko fever hone lagta hai tatha bukhar kam hone ka naam nahi leta hai.
- Vyakti ke jod wali jagah dhire dhire dihili hone lag jati hai.
- Jab bhi aap halka fulka vyayam karte hai to aapke jodo mai dard hone lagta hai.
- Jab bhi aap sote hai aapko karvat lene mai pareshai aati hai to ho sakta hai aapko arthritis ho sakta hai.
You may also like:- Home Remedies for Arthritis: Gathiya Rog ke Gharelu Upchar
Hath | Ungliyo mai dard hota hai |
Pair | Pairo mai sujan aane lagti hai |
Hips | Uthne bethne mai pareshani hoti hai |
Gardan | Lagatar dard bana rehta hai |
Kandhe | Aapko vajan uthane mai pareshani aati hai |
Upar aapne jana Arthritis Symptoms in Hindi. Iss rog par kabu pane ke liye aapko rojana kasrat karna chahiye. Jodo ko thik karne ke liye rojana cycle chalaye isse aapke jodo mai kaafi aaram pahuchega. Iske atirikt tairaki bhi bahut acchi kasrat hai.
Vyayam ke alawa apne khan pan ka bhi bahut dhyaan rakhe. Jitna ho sake hari sabjiyo ka sevan kare aur omega 3 fatty acid wali chijo ko apne aahar mai shamil kare. Vitamin C ka sevan bhi iss rog ko dur bhagane mai bahut madad karta hai.
Docotor ka manna ka ki iss bimari se pidit vyaktiyo ko ek din mai 3gm fish body oil ka sevan karna chahiye yeh sabse jaldi asar dikhata hai. Jab bhi doctor ke pass jaye to aapko sharir ke jis hisse mai dard ho raha hai uski puri jankari de. Physiotherapy bhi iske illaj mai kaafi madad karti hai, aap iska bhi sahara le sakte hai.