Smog ke Kahar se Aise Bache Asthma Rogi

Thand ka mousam shuru hote hi asthma rogiyo ki musibate badh jati hai, lekin thand mai pradushan ka parinam yani smog janleva ho sakta hai. Smog ek prakar ka vayu pradushan hai jo pradushan ke karan hota hai.

Vartaman mai dama rogiyo ki musibate na kewal badhi hai balki yeh jaanleva bhi ho rahi hai. Kyuki badhte pradushan ke karan thand ke mousam mai smog havi ho jata hai aur isse dama aur saans ke marijo ko saans lena durbhar ho jata hai.

Smog swasth aadmi ko bimar kar raha hai. Isme chupe chemical ke kan asthma ke attack ki ashanka ko aur jyada badha dete hai. Smog se faifde tak hawa pahuchne wali tube mai rukawat, sujan, rukhapan ya cough aadi ke karan bhi samasya hoti hai. To aaiye jante hai iske bare mai puri jankari.

Smog Kya Hai?

Smog thand ke samay hota hai. Jab kohra hawa mai moujud pradushan ke sampark mai aata hai tab hawa mai badhte pradushan ke karan smog yani dhoom-kohra hota hai. Smog mai kohre ke saath pradushan se nikalne wale sulphur di oxide, nitrogen di oxide aur karkhano se nikalne wale hanikarak chemcials jese carbon mono oxide saans ke jariye sharir mai pravesh karte hai aur sehat ko nuksaan pahuchahte hai.

You may also like:- Home Remedies for Asthma: Dama ka Ilaj Hua Ab Bahut Asaan

Bharat mai Dama ki Stithi

Vishwa swasth sangathan ki ek report ki mane to bharat mai dama ke rogiyo ki sankhya 1.5 se 2 crore ke bich hai, jinme ek anuman ke anusar 10 se 15 pratishat 5 se 11 varsh tak ke bacche hai. Aisa isliye kyuki unke sharir ki rog-pratirodhak pranali puri tarah se viksit nahi hoti hai.

Pradushan aur karkhano se nikalne wale chemicals mai copper, lead, mangenese, zinc, sodium aur pottasium jese tatva hote hai jo baccho ke vikaas ko avaruddh kar dete hai. Dama ke jinn rogiyo ke airways hyperactive hote hai, inn pradushan tatvo se bronchil mokasa ko taklif hoti hai aur saans pranali mai sujan aa jati hai.

Asthma Rogi Smog se Bachne ke Liye Apnaiye Yeh Upay

Hawa ki Gunvatta Dekhe:-

Asthma ke rogiyo ko smog se bachne ke liye yeh bahut jaruri hai ki wah jiss jagah par rehte hai waha ki hawa ki gunvatta ke bare mai jankari rakhe. Iske liye wah samachar patro ki madad le sakte hai. Agar aapke ilake ki hawa adhik pradushit hai to ghar ke andar hi rehne ki koshish kare aur agar bahar jana jaruri hai to puri satarkta ka palan kare.

Ghar Par Hi Vyayam Kare:-

Sardiyo ke mousam mai din chhota hota hai, aise mai agar aap bahar vyayam ke liye jana chahte hai to koshish kare ki subah jaldi vyayam kar le. Kyuki surya ki kirano ke saath smog aur bhi khatarnak ho jata hai. Aise mai ghar ke andar hi vyayam kare. Ghar ke bahar park mai jakar vyayam karne se bache. Iske alawa jitna ho sake ghar ke andar hi rahe.

Bahut Jaruri Hai Mask:-

Asthma ke rogiyo ko khaskar baccho ko smog se bachne ke liye mask pehnaye. Agar wah har se bahar ja rahe hai to bina mask ke na jaye. Jo bacche asthma se pidit hai unke liye yeh mousam adhik khatarnak hota hai. Isliye baccho ko acchi gunvatta wale mask pehnaye.

Airpurifier Bhi Hai Jaruri:-

Thand ke mousam mai asthma ke rogiyo ke liye ghar ke bahar ki hi nahi balki ghar ke andar ki hawa bhi surakshit nahi hai. Aise mai ghar ke andar ki hawa saaf karne ke liye sir freshner ghae par lagaye. Jab bhi khidki ya darwaje khole pehle bahar hi hawa ki gunvatta janch le. Agar jaruri na ho to darwaje aur khidki band rakhe. Agar samasya adhik ho rahi ho to chikitsak se jarur sampark kar lijiye.

Upar aapne jane thand ke dino mai hone wale smog se bachne ke liye aasan upay. Asthma rogi ko inn upay ko jarur apnana chahiye aur thand ke dino mai sardi se bachna chahiye.

Loading...

This website uses cookies.