Aalu jo har sabji ke sath adjust ho jata hai or jo log isko bahut pasand kate hai unhe ye jan kar bahut khushi hogi ki aalu me Carbohydrates or Calorie ke alava bahut sare poshak tatva hote hai, jo aapko swasth banaye rakhne me help karta hai. Expert kahte hai ki aalu ke chilke bhi bahut acche hote. Jinhe generally log fek dete hai. To dhyan rahe aaj se hi aalu ke sath uske chilke ka bhi use krna chalu kar de.
To aaiye aaj hum Jante hai Benefits of Potatoes jo aapko na sirf swasth rehne me balki aapki skin ke liye bhi faydemand hota hai.
Benefits of Potatoes: Aalu ke Laabh Aapki Health ke Liye
Stomach pain (Pet Dard)
Agar aap pet dard se pareshan hai to Potato ke ras ka sevan kare. Ye aapko pet ki bimariyo me bahut aaram pahuachega. To aaj se hi aalu ka ras banana chalu kar de taki aapko pet dard jesi koi taklif nhi chu paegi.
You may also like: Health Benefits of Onions; Your Favorite Kitchen Spice
Low Cholesterol
Aalu ka ras aapke Cholesterol ke level ko maintain karne me bhi help karta hai.
Heart Health
Heart ki kisi bhi problem se bachne ke liye aalu bhot faydemand hota hai. Yeh heart attack, tumors and cancer jese khatarnak bimariyo se bachata hai.
Weight Gain (Vajan Badane Me)
Jo log bahut jayad patle hote hai. Unhe aalu ka sevan karna chaiye isse unka weight jald hi bad jayga.
Weight Loss (Vajan Ghatane Me)
Jaha aalu weight gain karne me help karte hai. Vahi hamare weight ko kam karne me bhi help karte hai. Agar aap patle hona chahte hai to subah uth kar breakfast me aalu ka ras piye aur raat me sone ke 2-3 ghante pehle bhi ye ras piye. Isse aapka vajan bahut jaldi kam ho jaga.
Kidney
Kidney ki problem ko dur karne ke liye bhi aalu ka ras piye sath hi ye ras aapki diabetes, blood pressure ko bhi control karte hai.
Hepatitis
Japani log hepatitis se nijad pane ke liye bhi aalu juice pite hai.
Benefits of Potatoes: Aapki Natural Beauty ke Liye Aalu ke Labh
Increases Hair (Baal Badane Me)
Aalu ke ras me boil egg or shahad milakar lagaye. Phir do ghante baad isse dho le isse aapke baal bahut jaldi lambe aur sundar ho jayge.
Wrinkle
Wrinkle hone par kacche aalu ko piskar lagne se jhuriya khatam ho jati hai.
Skin Itching
Aalu ke ras ka use apni skin par kare. Jaha aapko itching ho rahi hai wha ye ras lagane se aapko skin itching ki shikayat nahi hogi. Phir dekhiye kitni jaldi aapko araam milega.
Skin Fairness
Aalu ka use hum face pack ki tarah bhi kar sakte hai or aalu ke ras se color bhi fair hota hai. Sath hi hum bahut tarike se face par iska use kar sakte hai aur apne chehre ko sundar bana sakte hai.
Sun Burn Skin
Jab hum jyada der dhup me hote hai to hamari skin jal jati hai aise me aalu ka ras ya aalu ke tukde ko skin affected area me apply kare isse aapko bahut jald aaram milega aur aapke chehre ki jail hui twacha thik ho jaegi.
Get more update about Potato from Food