Health Benefits of Onion in Hindi: Jane Pyaj Ke Anmol Fayde

 Pyaj ka prayog har rasoi ghar mai hota hai. Thandi tasir hone ke karan iska prayog garmi ke dino mai bahutayat mai kiya jata hai. Iske prayog se har bhojan aur bhi swasdisht ho jata hai. Bajar mai yeh laal, hare aur safed teeno rango mai milta hai. Aur iske teeno hi roop guno se bharpur hote hai. Iska prayog khana banane ke sath-sath salad ke rup mai kiya jata hai.

Yeh ek behatrin sabji ke sath-sath kai aushdhiya guno se bharpur hota hai. Iss wajah se yeh hamare sharir ko kai rogo se nijad dilane mai bhi madad karta hai.

Kacche pyaj mai sulfur aur kai prakar ke vitamins hote hai jo ki sharir ke liye faydemand hote hai. Shayad aap jante honge ki pyaj garmi ke dino mai loo se bachane mai bhi madadgar hai.

Isme upasthit chromium sharir ko swasth rakhne mai sahayak hai. Iske alawa yeh baalo ko swasth rakhne aur sex kshamta ko badhane mai bhi madad karta hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye yaha padhiye Health Benefits of Onion in Hindi aur jane yeh hame kin-kin rogo se bachane mai labhprad hai.
 

Health Benefits of Onion in Hindi: Inn Rogo Se Dur Rakhe Pyaj

 
Health Benefits of Onion in Hindi
 
Pyaj, calsine, riboflavin, carbohydrate aur vitamin B se bharpur hota hai. Aur isme upasthit N-propyl disulfide ki wajah se isme gandh hoti hai. Yaha padhe aur bhi Onion Health Benefits.

Blood Pressure Ko Kam Kare

Sheet prakrati ka hone ke karan pyaj ka prayog raktchaap ko kam karne mai bhi kiya jata hai. Iske sath hi yeh glucose tolerance ke sudhar mai bhi madad karta hai. Pyaj mai sulfur aur alil-propal-disulphide ki matra hoti hai jo ki blood pressure ko niyantrit karne mai sahayak hai.
 

Pathri Mai Labhdayak

Pyaj ka prayog pathri ki samasya se jujh rahe rogo ke liye bahut hi faydemand hota hai. Iska prayog karne ke liye pyaj ke ras ko chini ke sath milakar pine se pathari ki samasya dur ho jati hai. Iske alawa iske ras ko rojana khali pet pine se pathri apne aap katkar bahar nikal jati hai.
 

 Anemia Rog Ke Liye

Pyaj mai sulfur mojud hota hai iss wajah se pyaj katte wakt aankho se aansu tapakne lagte hai. Darahsal pyaj ko kaate wakt iski gandh naak ke dwara hamare sharir mai pravesh karti hai. Pyaj mai ek prakar ka tel bhi hota hai jo ki anemia ko thik karne mai sahayak hota hai. Isme upasthit sulfur pakate wakt nasht ho jata hai. Isliye anemia rogi ko kacchi pyaj jyada khane ki salah dee jati hai.
 

You May Also Like:- Blueberry Benefits in Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Laabh

 

Cancer Se Bachav

Pyaj, sharir ki cancer koshikaye ki vraddhi ko rokta hai. Iss wajah se yeh pet, colon, breast, fefade aur pro-state cancer se bachane mai sahayak hota hai. Iske sath hi yeh mutra dwar mai hone wale sankraman se bhi bachata hai.
 

Dil Ke Rogo Ko Dur Kare

Pyaj mai methyl sulfide aur amino acid mojud hota hai jo ki sharir se cholesterol ki matra ko kam karne mai sahayak hota hai. Iske sath hi yeh band khun ki dhamniyo ko kholne mai madad karta hai. Isme upasthit sulfur khoon ko patla karta hai aur blood platelets ko ikattha hone se rokta hai. Iss wajeh se yeh heart attack ki sambhavna ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.
 

Pyria Rog Ke Ilaj Ke Liye

Pyria rog ke ilaj ke liye bhi pyaj bahut hi faydemand hoti hai. Iska prayog karne ke liye pyaj ke tukado ko tave par rakhkar garm kar le. Fir inhe 10 se 15 minute ke liye apne daanto ke niche rakhiye. Kuch samay ke bad muh mai laar banne lagegi. Iss lar ko jeebh ki sahayta se poore muh mai ghumaiye aur bahar nikal dijiye.

Aesa din mai 4 se 5 bar 10 dino tak karne se pyria rog jad se khatam ho jata hai.
 

Baalo Ke Liye

Pyaj ka prayog baalo ko girne se bachane mai bhi kiya jata hai. Aaiye jane Onion Benefits for Hair aur isse baalo ki dekhbal ke tarike.

  1. Pyaj ko baalo par ragadne se baalo ka girna band ho jata hai.
  2. Hafte mai do bar baalo mai pyaj ka lape lagane se kale baal ugna shuru ho jate hai.
  3. Iske alava pyaj ka lape baalo safed huye baalo ko kala karne mai bhi madad karta hai.
  4. Baalo ko rusi aur jharne se bachane ke liye pyaj ke ras mai, dahi, tulsi ka ras aur nimbu ke ras ko milakar lagane se rusi ki samasya khatam ho jati hai aur baalo ka jharna bhi band ho jata hai.

 

Twacha Ke Liye

Onion Benefits for Skin bhi hai. Pyaj mai anti-bacterial aur anti-inflammatory gun hote hai jo ki twacha ke liye bahut hi faydemand hote hai. Yeh twacha ko keel aur muhaso se bachate hai. Pyaj ke sath–sath iske juice ka istemal twacha ke tone ko halka karne ke liye bhi kiya jata hai. Pyaj twacha ke uttako ko fir se jivit kar deta hai jisse twacha java dikhayi dene lagti hai.

Pyaj ke ras aur dahi ko saman matra mai milakar face pack banaya jata hai. Ise rojana chehre par lagane se twacha komal aur chamakdar banti hai.
 

Health Benefits of Onion in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe

  1. Rojana kacchi pyaj ka sevan karne se kabj ki samasya se nijad milta hai.
  2. Kachhi pyaj ke sevan se sharir mai insulin ka leval samanya ho jata hai. Yeh diabetes se pidit vyaktiyo ke liye faydemand hota hai.
  3. Pyaj ke ras se sharir ki malish karne se jodo aur gathiya rogo mai aaram milta hai.
  4. Pyaj ke ras mai shahad ya fir gud milakar pine se sardi, khansi aur gale ki kharash se chutkara milta hai.

Upar diye gaye faydo ke alava yeh masik dharm ki aniymitta ko rokne aur isse hone wale pet dard mai bhi aaram pahuchata hai. Aaj aapne jana Health Benefits of Onion in Hindi yadi aap bhi inn rogo se pareshan hai to aaj se hi pyaj ka istemal kare aur rahe swasth.

Loading...

You may also like...