Stretching hamare sharir ke liye bahut faydemand hoti hai. Yeh dard ko kam karne, posture ko theek karne aur maspeshiyo ko aaram dene mai madad karta hai.
Yeh vyayam ka hi ek roop hai, jo hume mansik aur sharirik roop se shanti pradaan karta hai. To aaiye hum apko batate hai, Benefits of Stretching. Jisse aapki body mai flexibility badegi.
Benefits of Stretching, Vyayam Jitni Jaruri Hai Stretching
Kya aap jante hai ki jitna jaruri vyayam karna hota hai utna hi jaruri stretching karna bhi hota hai. Adhiktar log iss tathya ko nakarate hai aur stretching ko vyayam jitna mahatv nahi dete hai. Umeed hai ki stretching ki mahatv ko janane ke baad shayad aap iske mahtav ko pahchan lenge.
Streching se aapke sharir ka lachilapan bad jata hai. Isse aap adhik sarlta se vyayam kar sakte hai. Isse aapke sharir ki moving kshamta badti hai. Isliye visheshgya ka manna hai ki, stretching sharir ki jakdan ko kholne mai madad karta hai.
Benefits of Stretching, Janiye Iske Bemisaal Laabh
Sahi Posture mai Madad
- Stretching se aapko sahi posture hasil karne mai madad milti hai. Aaj ke dour me jab hamara adhiktar vakt kursi par bethkar gujarta hai, to aise me hamare sharir ki maspeshiyo aur naso ko kholene mai bhi isse madad milti hai.
- Iske saath hi isse hume sahi posture hasil karne mai madad milti hai.
Chhot ke khatre ko Kam Kare
- Kisi sharirik gatividhiyo se pahle yadi stretching kar li jaye, to chhot ka khatra kum ho jata hai.
- Isse maspeshiya khul jati hai aur aise mai aapko kisi bhi anye exercise karne mai aasani hoti hai.
Sujan Kam kare
- Stretching se maspeshiyo se rakt aur poshak tatav ki aapurti bad jati hai.
- Isse maspeshiya adhik kshamta se kaam karti hai aur saath hi sujan aane ki ashanka bhi nahi rahti hai.
Man Shant Kare
- Benefits of Stretching ki baate kare to iska bahut bada fayda hai ki, yeh aapko man ki shanti deta hai. Rozana thode samay yani sirf 10 se 15 minutes tak stretching karne se aapka man shant ho jata hai.
- Saath hi aapke man ko aaram milne se sharir ko recharge hone ke waqt bhi mil jata hai.
Workout ke Pahle na kare Stretching
- Stretching karte samay aapki maspeshiya garam honi chahiye. Workout se pahle warm up kijiye. Fir workout kijiye.
- Workout ke baad stretching kijiye jab aapki maspeshiya pahle se garm ho.
Maspeshoyo Par Dhyan Kendrith Kare
- Har bar vyayam karne ke baad apne pure sharir ko stretch karne ke bajaye. Har bar apne sharir ki kisi khas hisse par dhyan de.
- Har stretch par adhik samay se aur har stretch ko alag alag tarah se kare.
- Agar aapko ahsaas ho ki, aapke sharir ki vishesh maspeshiya sukdne lage, to un par adhik dhyan de. Jisse vo maspeshiya theek ho jayegi.
Yog Kare
- Aap yog, hot yog Pilate jese stretching vyayam ko apni rozmarha ki zindagi mai shamil kijiye.
- Week mai kum se kum 45 se 60 minutes tak stretching kijiye.
- Lekin dhyan rakhe ki, ho sakta hai apko shuruvaat mai ise karne se pareshani ho. Lekin niyamit prayaas se aap isme sudhar la sakte hai.
You may also like:- Baba Ramdev Yoga Tips se Rakhe Apni Health ka Khayal
Dard Dur Bhagaye
- Kai bar vyayam athava kisi anye sharirk prakiya ke douran maspeshiyo mai khichav ke karan dard hone lagta hai. Stretching se us dard ko dur kiya ja sakta hai.
- Isse maspeshiya mai aai akdan aur jakdan ko bhi dur kar use pahle jesa kam karne layak banaya ja sakta hai.
Janiye Types of Stretching Aapke Sharir ke Lachilepan ke Liye
Static Stretching
- Is type ki stretching ko fitness instructor class ke end mai karvata hai. Ise karne ke liye aapko kum se kum 30 minutes chahiye hote hai.
- Yeh ek light weight stretching hoti hai, jissme aapki body ko dard se aaram milta hai.
Passive Stretching
- Is type ki stretching bhi static stretching jesi hi hoti hai.
- Yeh aapke muscle spasms mai aaram pahuchata hai.
Dynamic Stretching
- Is type ki stretching mai aapki body dheere dheere move karti hai.
- Jisse aapke sharir ki movement capacity increase hoti hai.
Ballistic Stretching
- Yeh bahut simple stretching hoti hai , jisse body par jyada load nahi diya jata hai.
- Ballistic stretching aapke muscles ki motion ki range ko badati hai.
Active Stretching
- Benefits of Stretching mai Active Stretching ka naam sabse pahle aata hai. Yeh ek bahut common stretching hai, jo professionals, athletes, trainers, massage therapists dwara use ki jati hai.
- Isliye ise aapko rozana karna chahiye.
Isometric Stretching
- Yeh ek bahut hi effective method hai aapke body ke joints ki motion ko badne ke liye.
- Saath hi isse aapke sharir ki strength aur flexibility dono ek saath badti hai.
Proprioceptive Neuromuscular Facilitation
- Proprioceptive Neuromuscular Facilitation isometric, static and passive stretching ka combination hoti hai. Jisme aapki body ko high level ki flexibility milti hai.
- Yeh ek bahut advance level hota hai stretching ka, jo ki aapko har tarike se laabh pradaan karta hai.
Upar aapne jane Benefits of Stretching, To bas der kis baat ki aaj se hi ise apna kar apne sharir ki flexibility badaiye aur swasth rahiye.
Stretching se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.