शारीरिक और मानसिक तनाव से मुक्ति दिलाये बाबा रामदेव योगा

Dekha gaya hai ki bahut se log weight kam karne ki koshish karte hai lekin usme fail ho jate hai. Vese aisa sabhi ke saath hota hai , kuch log weight kam karne ke liye dawa lete hai, hazar nuskhe apnate hai lekin koi fayda nahi hota hai aur aakhir me sab chod dete hai. Par aapki body ko healthy banaye rakhne ke yoga sabse sasta aur aasan tarika hai.

Skin ke liye hum aapko easy yoga poses batane ja rahe hai. Sundar twacha ke liye apnaiye Baba Ramdev Yoga ke ye nuskhe.

Agar aap bharat me rahte hai to aapne ramdev baba ke bare me pakka suna hoga. Ramdav ek aise vyakti hai jinhone yogsadhna ko aage badaya aur uska kafi prachar prasar kiya. Ramdev yoga ke vishayo ko logo ko batate hai, jinse janta ko kafi laabh milta hai. Mahnge Mahnge product use karne se accha hai ki aap yogasana kare, jise aap nischit roop se laabh milenga. To aaiye jante hai Baba Ramdev Yoga Tips.
 
Baba Ramdev Yoga Tips

Janiye Yoga Tips in Hindi: Sharir ko Rakhe Hamesha Swasth

 
You may also like:- Find Some Simple Exercise to Reduce Belly Fat Effectively
 

Vajrasana Ya Diamond Aasn

• Vajrasan karne se sharir me rakh ka sanchar acchi tarah se hata hai aur sharir ke upri hisse me jyada urja sanchrit hoti hai.
• Is aasn ko karne se pachan kriya durusat rahti hai aur bal jhdane ki smasya bhi dur hoti hai.

Vajrasana
 

Ardha Chandrasana

Ramdev Baba Yoga Tips ki baat kare to, Ardha Chandrasana bahut accha yogasanhota hai. Is yoga ko sadev aacha dekhne ke liye kiya jata hai ,ise karne se sharir ka upri aur nichla hissa cmakta hai.
• Jin mahilao ka sharir attractive nahi hota hai, unke liya yah yoga aasn labhkari hota hai. Iske karne se back fat kam hote hai aur lean mass aata hai. Agar aapki ridh ki haddi me dard hota hai aur pachan kriya me problem bai to yah asana na kare.

Ardha Chandrasana
 

Adho Mukha Svanasana

• Is asana ko karne se tanav dur hota hai aur relax milta hai. Ise karne se blood circulation bhi achha rahta hai.
• Saath hi aapka sharir hamesha swasth rahta hai

Adho Mukha Svanasana
 

Vajrasana Shuruvati ke liye karne ka samay Karne Ke Fayde
Vajrasana 5-10 minute Bade huye vajan ko kam kare
Ardha Chandrasana 5-10 minute Sharir majboot banta hai
Adho Mukha Svanasana 2 -5 minute Tanav ko dur kare
Ustrasana 15 second Pet ke vikaro ko dur kare
Kapalbhati Pranayama 10 Bar kare Saans sambandhi vikar dur hote hai

 

Ustrasana

• Is aasn ko karne se brain tak rakt ka sanchar acchi tarah hota hai. Is karne se
period ke duran hone wale dard se aaram milta hai.
• Aur tanav bhi dur hota hai.

Ustrasana
 

Kapalbhati Pranayama

• Easy Yoga Poses Ise karne se saans sambndhi vikar dur hote hai. Aur digestion system bhi durusat ho jata hai.
• Yeh sabse acha aasn mana jata hai. Isse vajan bhi kam ho jata hai.
Kapalbhati Pranayama
 

Bridge Pose

• Bridge Pose ya setu bandhasana, ek acha aasn hai jise karne se aap slim hi jate hai aur aapka pet swasth ho jata hai. Isse garden bhi lambi ho jati hai. Aur blood pressure me bhi aaram milta hai.
• Ise karne ke liye chatai par beth jaye aur pero ko fharsh par sapat rakhe. Gardan aur sar ko niche rakhe aur baki sharir ko hawa me uthake rakhe. Aisa karne ke liye diwar ka sahara le. Ya support lene ke liye hatho ka sahara le.

Bridge Pose
 

Willow Pose

• Yeh pose abs ke lliye sabse acha hota hai. Ise karna bhi bahut aasan hota hai. Iske karne ke liye seedhe khade ho aur apni bhujao ko seedha kare.
• Baye pair ko morhe aur seedhi jangh par rakhe. Saans le aur chhode. Fir aisa hi seedhe pair ke sath kare. Din me 15 se 20 min tak har baar 3 se 5 bar kare.

Willow Pose
 

Anulom vilom

Iss pranayam ko karne se hriday majboot hota hai aur yeh cholesterol ko niyantrit karne mai bhi madad karta hai. Iske alawa vyakti ka rakt sanchalan sahi rehta hai.

Pranayam karte samay jab ham saans ko bharte hai aur bahar chhodte hai to suddha hawa humare rakt mai se dushit padartho ko bahar nikal deti hai. Isse rakt suddha hota hai aur sharir ke sabhi ang acche se karya karte hai.

baba-ramdev-anulom-vilom
 

Bhujangasana

Jab mahilaye iss asana ko karti hai to unki prajnan aur masik sambandhi samasya mai bhi labh milta hai.

Yadi aapke pet par atirikt charbi jami hai to iss asana ko kare, aapke pet ki charbi chhumantar ho jayegi aur kisi ko kabj ki samasya hai to usme bhi rahat mil jayegi.

Iss asana ko karne se haddiya lachili banti hai aur jin bhi logo ko peeth mai samasya hoti hai iss asana ko jarur kare. Kyonki ise karne se peeth ki haddi majboot hoti hai.

baba-ramdev-bhujangasana
 
In Baba Ramdev Yoga Tips ko agar aap regular apne routine me karte hai toh ye na sirf aapka motapa kam karenge balki aapko kai bimariyo se dur bhi rakhege.
 
See more details of Baba Ramdev Yoga from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...