Pregnant hone ke liye sex jitna jaruri hai utna hi is baat ka gyaan bhi jaruri hai ki, sex kis time par kiya jaye. Iss baat ko kai bar nazarandaaj karne se garbh dharan karne me pareshani hoti hai. Yeh janana bahut jaruri hai ki, mahine ke kis samay me sex karne se pregnancy ke chance hote hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Best Time to Get Pregnant in Hindi.
Vese pregnant na hone ke kai karan hote hai. Inme sharirik aur mansik dono karan hote hai. In karano ke piche adhiktar jankari ka abhav hota hai, lekin in sab ke alawa ek aur karan hota hai jiska asar mahilao ke garbh dharan karne ki kshamta par padta hai- vaha karan hai ki, sahi samay par sex nahi karna.
Dekha gaya hai adhiktar couple is baat se anjaan rahte hai ki, pregnancy ke liye sex ka sahi samay bahut mayne rakhta hai. Sex ki right timing hi aapko positive pregnancy result deti hai.
Sabse pahle hum aapko sex se related kuch facts ke bare me batate hai. Jiska sahi dhyaan aapko ek right direction me le jayga aur jaldi hi Pregnancy ka result dega
Pregnancy se Related Facts
• Jitne bhi log baccha karne chahte hai, unme se 85% ek saal ke andar aisa karne me safal ho jate hai. Jisme se 22 % pahle mahine ke andar safal ho jate hai. Yadi ek saal ke prayas ke baad bhi result na mile to yeh ek samasya ka vishay ho sakta hai. Aise couple ko infertile samja jata hai.
You may also like: Symptoms of Pregnancy in Hindi: Garbhavastha Ke Lakshan
• Baccha peda hone ke liye couple ke beech me sex process hona chahiye. Iss process ke douran purush ka penis mahila ke vagina me jana chahiye, use mahila ke vagina me sperm chhodna hoga. Jisse sperm, uterus (garbhashay) ke muh ke aas-paas collect ho jata hai. Yeh process sex ke douran swatah hi ho jati hai. Iski chinta karne ki jarurat nahi hoti hai.
• Iske alawa sambhog ovaluation samay ke aas-paas hona chahiye. Ovaluation ek prakiya hai, jisme mahilao ka ovary se egg nikalta hai. Ovulation menstruation cycle(MC) yane masik dharm ka part hota hai, jo ki MC ke 14th day par, jab bleeding start hota hai tab shuru hota hai.
Baccha peda karne ke liye mahilao me orgasm hona jaruri nahi hai. Doctor ka kahna hai ki, fallopian tube, jo ande ko ovary se uterus tak le jati hai, sperm ko apne andar khich le jati hai aur usse egg se milane ki koshish karti hai. Is process ke liye orgasm anivarya nahi hota hai.
Best Time to Get Pregnant in Hindi: Positive Pregnancy Ke Liye Tips
Ovulation Ke Samay
• Best Time to Get Pregnant in Hindi ki baat aati hai to, Ovulation bahut mukhaye hota hai. Gynecologists ka manana hai ki, baccha peda karne ke liye eggs ovary se niklane ke 24 ghante ke andar hi fertilize hona chahiye. Aadmi ka sperm mahila ke reproductive tract me 48 se 72 ghante tak hi jiveet rah sakta hai.
• Vese to baccha hone ke liye embryo egg aur sperm ke milne se hi hota hai. Isliye couple ko Ovulation ke douran kam se kam 72 ghante me ek bar jarur sex karna chahiye aur is samay me purush ko mahila ke upar hona chahiye taki sperm ke leakage ki sambhavana kam ho. Saath hi purush is baat ka dhyan rakhna chahiye ki 48 ghante me ek bar se jyada na ejaculate kare varna unka sperm count niche ho sakta hai, jisse yeh bhi sambhavana hai ki, egg jo fertilize karne me pryapt na ho.
• Lekin sawal yeh hota hai ki, Ovulation ka sahi samay ptaa nahi chal pata hai. Bahut se couple is samay ko samjh hi nahi pate hai. To ab hum aapko is samay ki pahchan karne ke baare me batate hai.
Ovulation Ka Samay Kese Pata Lagay?
Ovulation ka samay pata karne ka matlab hai ovaries se fertilization ke liye egg nikalte hai. Isko janne ke liye aapko period-cycle ka andaja hona bahut jaruri hai. Yah 24 se 40 din ke beech ho sakta hai. Ab yadi aapko apne next period ka andaja ho tab aap usse 12 se 16 din pahle ka samay ptaa kar lijiye. Yeh hi aapko Ovulation ka time hoga.
Example:- Yadi period ki shuruvaat 30 tarik ki honi hai. To 14 se 18 tarika ka samay Ovulation ka time hota hai
Mahila ka Orgasm
Vese to humne upar aapko bataya tha ki, kuch doctor ke according orgasm se jaldi pregnancy hone ka koi relation nahi hota hai. Lekin kuch expert yeh bhi kahte hai ki aisi mahilaye jinko pregnancy me problem hoti hai agar ve mahilaye sex process ke douran orgasm ki seema tak pahuch jati hai to pregnancy ki sambhvana kafi had tak bad jati hai. Kyoki yeh hi sahi samay hota hai jab purush ke sperm ko sahi jagah jane ka samay milta hai. Saath hi sperm bahut der tak jivit rahte hai.
Subah ka Samay
Garbh dharan karne ke liye subah ka samay sabse sahi hota hai. Kyoki is time aap tarotaza rahte hai. To pregnancy ke chances bad jate hai.
Vagina Dravya ki Elasticity Check Kare
Vagina se nikalne vale taral drvaya ko apni ungli par lijiye aur uski elasticity check kar lijiye. Jab yeh aadhik der tak lacheela ho to samjh jaiye ovulation hua hai. Ab aap baccha peda karne ke liye sambhog kar sakti hai.
Vese Doctor Aruna Saxsena (Istri Rog Visheshagya) batate hai ki jin mahilao me regular periods hote hai, ve periods me hone ke baad 10 din ke antral me sex kare. Isse pregnant hone ki sambhavana jayda hoti hai.
Jin me aniyamit roop se period hote hai, ve mahilaye pregnancy ke liye period cycle me niyamit antaral (cycle ke douran 20 deen ke beech) par sex kar.
Upar humne aapko Best Time to Get Pregnant in Hindi ke bare me bataya hai. To bas is article ke jariye aap jan chuke hoge ki pregnancy me sex ke saath-saath sex ka sahi samay par hone bhi bahut aham bhumika nibhata hai.
Bas phir der kis baat ki agar aap bhi maa banana ka such chahti hai, to iss sahi samay ka dhyan rakhe.
Get more updates about Pregnant in Hindi from Diet And Fitness.