Bhujangasana in Hindi: Ridh Ki Haddi Ko Lachila Banaye

Sabhi jante hai yoga aajkal ki jeevansheli ke anusar hamare liye bahut jaruri ho gaya hai. Kyonki yoga na sirf hume swasth banaye rakhta hai balki aatmik shanti bhi deta hai. Yoga mai kai sare asana hote hai, aur unhi mai se ek bhujangasana bhi hai.

Bhujangasan ko Cobra Pose bhi kaha jata hai. Ise cobra pose isliye kaha jata hai kyonki iss asana ko karte samay sharir ki aakrati saap (surp) ke fun ke saman upar uthti hai. Jab aap surya namsakar karte hai tab yeh asana kramank 7 par kiya jata hai.

Yeh pet ki charbi kam karne ke liye bahut prasiddha asana hai. Ise koi bhi vyakti kar sakta hai tatha ise karne ke bad aap sharir mai kaafi aaram mehsus karte hai to aaiye aaj vistar se jante hai Bhujangasana in Hindi.
 

Bhujangasana in Hindi: Sharir ke Liye Faydemand Sarpasana

 

 

Bhujangasana Steps: Cobra Pose Karne Ki Vidhi

  • Cobra Pose ko karne ke liye sabse pehle jameen par chatai ya dari bichhaye.
  • Ab chatai par pet ke bal let jaye tatha sar samne ki taraf rakhe.
  • Iske bad pairo aur kulho ko saman rup se failaye dhyaan rakhe aapke panje bhi faile huye hona chahiye.
  • Aapki dono hatheliyo ko jameen par kandhe ke niche rakhe.
  • Aapka sar jameen se laga hua hona chahiye aur aapki dono kuhniya aasman ki taraf hona chahiye.
  • Ab sar ko dhire dhire upar ki taraf uthate huye laye aur dhyan rakhe jab aap sar ko upar ki taraf uthate hai shwas ko andar ki taraf lena hai.
  • Jab aap upar ki taraf uthe hatho par dabav na banaye aur kuhniyo ko sidha kar sar ko piche ki taraf jhukana hai.
  • Jab aap sar ki piche ki taraf jhukaye konhniya jameen se lagi hona chahiye. Iss stithi ko dekhne ke liye chitra ko dekhe.
  • Iss stithi mai karib 20 se 30 second tak ruke rahe aur shwas chhodte huye niche aaye.
  • Shuruwat mai ise keval 3-4 bar hi kare aur dhire dhire ise karne ka samay badhaye.

 

Bhujangasana Benefits: Jane Ise Karne Ke Fayde

  • Bhujangasana Yoga Pose ko karne se pet ki charbi ghatati hai.
  • Ridh ki haddi majboot tatha lachili banti hai.
  • Bhujangasana karne se peeth ki haddi majboot hoti hai.
  • Iss asana ko karne se pittashay ki kriyashilta badti hai.
  • Sarp asana karne se shwasan kriya behatar ho jati hai.
  • Isse bajuo ko shakti milti hai aur wo majboot bante hai.
  • Fefde sambandhit bimari mai bhi yeh kaafi faydemand hai.
  • Iss asana ko karne se sharir ki rog pratirodhak shamata badti hai.
  • Iss asana ko karne se chehre par tej aata hai aur vyakti sundar banta hai.
  • Yadi aapko gale mai kharabi hai to yeh asana karna accha hota hai.
  • Jin vyaktiyo ko dama ki sikayat hai unhe iss asana ko karna chahiye.
  • Yeh kandhe, chhati aur abdominals ki manshpeshiyo ko lachila banata hai.
  • Pet mai koi rog ya peeth mai dard hone par iss asana ko karna chahiye.
  • Liver aur kidney rog se pidit vyaktiyo ke liye yeh bahut faydemand hota hai.
  • Jin logo ko bukh nahi lagti hai, iss asana ko karne se bhukh bad jati hai.
  • Kabj ki samasya se nijat milta hai aur pachan shakti ko durust karta hai.
  • Mahliao ko iss asana ko karne se prajanan aur masik samasya mai labh milta hai.
  • Jo log dinbhar bethe rehte hai unke kamar ke aaspas ki jama charbi kam ho jati hai.

 

Jane Bhujangasana Karte Samay Savdhaniya

  • Garbhavati mahila iss asana ko na kare.
  • Aapki shamta se adhik iss asana ko na skare.
  • Jhatke ke sath peeth aur sar ko piche ki taraf na le.
  • Pet mai jyada dard hone par iss asana ko na kare.
  • Hernia aur hypertension se pidit vyakti iss asana ko na kare.
  • Yadi aapne sharir par kisi tarah ki koi surgery karwai hai to doctor ka paramarsh leke hi iss asana ko kare.
  • Asana ko karte samay kandho ko sukadna nahi chahiye dhyan rakhe ki kandhe faile huye hona chahiye.
  • Yadi peeth mai dard hai to jyada piche ki taraf na jhuke aur jyada piche jhukne par chhati ya peeth mai khichav aa sakta hai.
  • Jab aap iss asana ko kar rahe hote hai to aapke sharir ko upar uthate samay aur niche laye samay dono hatho ko hatheliyo mai saman bal padna chahiye.

 
Upar aapne jana Bhujangasana in Hindi. Yadi aap iss asana ko karne ka soch rahe hai to pehle di gai savdhaniyo ka bhi dhyan rakhe.

Loading...

This website uses cookies.