Asthma Symptoms in Hindi: Dame Ke Lakshan Ko Pehchane

Asthma ek gambheer samasya hai jo kisi bhi vyakti ko ho sakti hai. Shayad aap sabhi iss bimari se bhalibhanti parichit honge, ise Dama ke ke naam se bhi jana jata hai. Iss bimari se garst vyaktiyo ki sankhya din pratidin badti ja rahi hai.

Dama hone ke kai karan ho sakte hai, kintu vatavaran mai badh raha pradushan iski mukhya wajah hai. Iss rog se grasit ko saans lene mai samasya hoti hai isliye ise shvasan tantra ki bimari bhi kehte hai.

Jab vyakti dama ka shikar hota hai tab vyakti ko khasi tatha bukhar jaisi bimari jaldi sankramit karti hai. Yadi yeh samasya atyadhik badh jaye to mout ka karan bhi ban sakti hai, isliye sahi samay par iske lakshano ko pehchanna jaruri hai. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Asthma Symptoms in Hindi.
 

Asthma Symptoms in Hindi: Iske Lakshano Ki Jankari

 
Asthma Symptoms in Hindi
 

Dame Ka Doura

  • Jab vyakti ko dame ka doura padta hai to use sukhi khasi aane lagti hai.
  • Dame ke rogi ko shuruvaat mai hi khasi tatha saans ukhdne ke doure hone lagte hai. Yeh mukhya Symptoms of Asthma
  • Iss rog ke adhik bad jane par doura aane ki stithi paida ho jati hai aur pidit vyakti ko saans lene mai samasya aane lagti hai.

 

Saans Lene mai Kathinai

  • Saans samanya na hokar tej tej chalne lagti hai.
  • Tej saanso ke sath pasina aane lagta hai.
  • Saans chodte samay citi ki tarah aawaj aane lagti hai.
  • Dame se pidit vyakti ko saans chodte samay khasi aati hai.
  • Vyakti bar bar chhoti chhoti saans lene ka abhyas karta hai.
  • Jab vyakti jor jor se saans ko leta hai to uska chehra lal ho jata hai.
  • Saans ko lete samay tatha chodte samay bahut mehnat karna padti hai.

 

Raat Ko Hone Wali Samasya

  • Raat ko khasi bahut jyada gambheer ho jati hai.
  • Raat ko sote samay naak mai samasya paida hone lagti hai.
  • Iske shikar vyakti ko raat mai 2 baje ke bad doure padne ki sambhavna jyada hoti hai.

 

Sharir Ka Thakna

  • Dame ke rog se pidit vyakti ko chalte samay bahut thakan mehsus hoti hai.
  • Kisi bhi tarah ki sharirik gatividhi mai bhag lene par sharir bahut jaldi thak jata hai.
  • Jab aap gym jate hai tatha kisi aur tarah se vyayam karte hai to sharir mai thakan hone lagti hai.

 

Kuch aur Lakshano Ke Bare mai Jane

  1. Sar mai bharipan mehsus hone lagta hai.
  2. Iske doure raat aur din mai kabhi bhi pad sakte hai.
  3. Chhati mai bharipan tatha dard hona bhi Signs of Asthma darshate hai.
  4. Asthma se pidit vyakti ko lagatar chink aane lagti hai.
  5. Iss bimari mai vyakti ke fefde sankramit ho jate hai.
  6. Dame ke vyakti ko kai bar ghabrahat mehsusu hone lagti hai.
  7. Saans tej tej chalne par dhadkno ki gati bhi bad jati hai.
  8. Kai bar stithi bigdne par pidit vyakti ko ulti bhi ho sakti hai.
  9. Iska doura kabhi bhi aur kisi bhi samay shuru ho sakta hai.
  10. Khasi bahut jyada hoti hai chahe wo balgam ki ho ya uske bina.
  11. Iss rog ka dushprabhav mahila ya purush dono par ho sakta hai.
  12. Vyakti ko sakht, badbudaar aur doridar cough nikalne ki shikayat hoti hai.
  13. Yadi aapko achanak se jhukam ya bukhar ho gaya hai to yeh dama ka ek lakshan hai.
  14. Jab vyakti ko asthma ka doura hota hai to saans na le pane ke karan wo chatpatane lagta hai.
  15. Asthma ka attack hone par jab vyakti saans leta hai hai to ridh ki haddi tak khichav mehsus hota hai.
  16. Chati mai cough hamesha jama hua rehta hai jiske karan jab bhi vyakti khasta hai cough nikalta hai.

 

Jane Asthma Hone Ke Kuch Karan

  • Junk food ka atyadhik sevan karne par
  • Thandiyo ke mousam mai sharir thanda padne par.
  • Atyadhik tanav tatha dar hona bhi iska karan ho sakta hai.
  • Nashile padartho ka sevan karne par dama rog ho sakta hai.
  • Namak ka jyada sevan karna bhi iss bimari ka ek karan ho sakta hai.
  • Dhul ya pradushit vatavaran dame ki bimari ko badava deta hai.
  • Kai baar dawaiyo ke galat prabhav ke karan bhi asthma rog ho sakta hai.
  • Kai vyaktiyo mai kisi khadya padartho ki allergy hone par bhi ho sakta hai.

 
Upar aapne jana Asthma Symptoms in Hindi. Yadi aapko ya aapke pariwar mai kisi ko bhi yeh lakshan dikhai dete hai to bina der lagaye turant chikitsak se paramarsh le.

Loading...

You may also like...