Khana humare sharir ke liye sabse mahatvapurna chiz hai. Bhukh kam hone se sharir ko paryapt aur jaruri aahar nahi mil pata hai, jiske karan anya rog hone ki ashanka bhi bad jati hai. Lekin ghabraye nahi kyu ki prakar ke gharelu upay ki madad se aap bhukh ko uttejit kar sakti hai. To aaiye jante hai Bhukh Badhane ke Upay in Hindi.
Bhukh na lagna, aamtour par asthai aur prativarti hoti hai. Yeh aksar chinta, tanav aur avsad jesi manovaigyanik karano ke saath judi hoti hai.
Iske alawa kai medical samasyaye jese bacterial sankraman, hyperthyroidism, liver ki samasyaye, hepatitis, kidney aur heart failure, dementia aadi bhi bhukh mai kami ka karan hoti hai.
Aaiye jante hai Increase Appetite ke bare mai kuch jaruri jaankari, jiski madad se aap apni bhukh ko badha sakte hai aur swasth reh sakte hai.
Bachiye Inn Bimariyo ye Kyuki Inn Bimariyo ka Sanket Hai Bhukh Ka Kam Hona
Appetite ka lagatar kam hona ya khane ke prati aruchi hona kai bimariyo ka lakshan hai. Kabhi-kabhi khana khane ka mann na hona alag baat hai. Lekin yeh samasya lagbhag rozana hi aapko pareshan karne lage to ise halke mai nahi lena chahiye.
-
Anorexia Nervosa:
Vajan badhne ki chinta ajib hai. Lekin kuch logo mai yeh chinta gehri baith jati hai. Kai baar yeh unke liye mansik samasya ka roop bhi le leti hai. Isi stithi ko anorexia nervosa kaha jata hai. Iss stithi mai bhukh kam hone ke saath-saath dil ki dhadkane badh jati hai, bhojan ke prati aniccha rehti hai, sharir mai dard rehta hai aur har samay thakan mahsoos hoti hai.
-
Viral Gastroenteritis:
Bhukh mai kami ki ek wajah viral gastroenteritis bhi hoti hai. Yeh pet aur aanto se judi samasya hai. Isme viral sankraman ki wajah se pet mai jalan aur gastric ki dikkat hoti hai. Diet kam hone ke alawa sharir mai dard, lagatar vajan ghatna, twacha sambandhi samasyaye aur radical bleeding jesi samasyaye bhi iss rog ka sanket hai.
-
Liver ki Samasya:
Liver kharab hone ke karan liver fail bhi ho sakta hai. Upchar na karwane par bhukh kam lagti hai jiske karan vajan kam ho jata hai. Aise mai jaha rogi bahut adhik ashakt ho jata hai unhe nas ke madhyam se poshak tatva diye jate hai.
You may also like:- Home Remedies for Liver: Jigar Rog ke Liye Aasan Upchar
-
Avsad:
Major Depressive Disorder (MDD) namak avsad ki ek avastha hai jisme vyakti ke mood mai bahut adhik parivartan hote hai. Iska sambandh bhi bhukh ke kam hone se hai. Iss stithi mai bhukh ghat jane ke saath-saath mood tezi se badalna, vajan ghatna, thakan, ghabrahat aadi samasyaye bhi ho sakti hai.
-
Flu:
Flu yani influenza ke douran bhi bhukh bahut ghat jati hai. Yeh rog influenza namak virus ki wajah se hota hai jisme swasan tantra mai viral infection ho sakta hai. Isme bhukh kam hone ke alawa, saans lene mai dikkat, bahut adhik pasina aane jesi dikkate bhi hoti hai.
- Tanav ki Samasya:
Agar aapka daily routine vyast aur thakan se bhara huye hota hai jisse aap tanavgrast ho jate hai to iska asar aapki bhukh par bhi ho sakta hai. Yani aapki bhukh ka tanav se sidha sambandh hai. Halaki iss stithi mai kuch aur bhi samasyaye ho sakti hai jese neend mai dikkat, humesha thakan rehna, sex ke prati iccha na hona, blood pressure mai utar-chadav aadi. Tanav se bachne ke liye try kare best Home Remedies for Depression. - TB:
Agar aapko bhukh mai kami mahsoos ho rahi hai aur aapka vajna mai lagatar giravat dikh rahi hai to yeh TB ka lakshan ho sakta hai. Bhukh mai kami ya khana khane ka mann na karna TB ki shuruaati lakshan hai.
Increase Appetite: Bhukh Badhane ke Behatrin Upay in Hindi
Kuch dawai bhi iss samasya ke liye yogdan kar sakti hai. Bhukh kam hone se sharir ko paryapt aur jaruri aahar nahi mil pata hai, jiske karan anya rog hone ki ashanka bhi badh jati hai.
Aaiye jante hai Bhukh Badhane ke Upay in Hindi jiski madad se aap aapki bhukh ko badha sakte hai aur swasth reh sakte hai:
1) Karonda:
- Bhartiya karonde ko amla ke roop mai bhi jana jata hai. Yeh gastrointestinal samasyao ke karan hone wali bhukh ki kami ko badhane mai madad karta hai.
- Yeh pachan tantra ke kaamkaaj mai sudhar lane, liver se vishakt padarth ko bahar nikalne aur gastrointestinal pranali ke liye tonic ke roop mai kaam karta hai. Shahad ke iska sevan matli aur ulti kam kar deta hai. Iske alawa, Vitamin B se bharpur hone ke karan yeh mineral ke avasoshan aur partiraksha pranali ko badawa dene mai madad karta hai.
- Yeh dono samasyaye poshak tatvo ki kami ke karan hoti hai. Bhukh badhane ke liye ek cup mai 2 spoon karonde aur nimbu ke ras aur ek spoon shahad milaye. Iss mishran ko subah khali pet kam se kam 3 se 4 mahine ke liye le.
2) Adrak:
- Adrak apach se rahat aur bhukh uttejit karne ke liye utkrasth hai. Iske alawa adrak pet dard ko dur karne mai bhi sahayak hota hai.
- Samasya hone par aadha spoon kate huye adrak lekar usme ek pinch sendha namak milaye. Ise niyamit roop se har bhojan se aadha ghanta pehle 10 dino tak le.
You may also like:- Benefits of Ginger: Adrak ke Fayde Aapki Health ke Liye
3) Kali Mirch:
- Kali mirch aksar ayurvedic upay ke roop mai pachan mai sudhar, bhukh badhane aur gastrointestinal samasyaye ke ilaj ke liye prayog ki jati hai.
- Saath hi yeh pet aur aanto ki gas se bhi rahat pradan karti hai. Vastav mai kali mirch swad ko uttejit karti hai, jisse pachan mai sudhar hokar pet mai hydrochloric acid ka srav badh jata hai.
- Iske alawa isme piperine namak tatva, selenium, beta carotene aur Vitamin B jese poshak tatva moujud hote hai.
4) Ilaichi:
- Ilaichi ya choti ilaichi, ek warming pachan tonic ke roop mai kaam karti hai. Yeh apach, pet fulna aur amalta se rahat aur pachak ras ka srav uttejit dwara bhukh mai sudhar karne mai madadgar hoti hai.
- Iske laabh prapt karne ke liye, bas niyamit roop se li jane wali ilaichi ke beej ya ilaichi ki fali ko jode.
5) Ajwain:
- Ajwain bhukh badhane aur acid aur enzimo ke srav mai sudhar aur pet fulne jesi samasyao ke ilaj mai madad karta hai.
- Samasya hone par bas khane se pehle ajwain ke beej ki aadha spoon lekar aache se chabaye. Ya vaikalpik roop se 3 spoon ajwain ke beej mai kuch bunde nimbu ki mila le.
- Phir iss mishran ko sukhne ke liye tab tak rakhe jab tak ki yeh mishran puri tarah sukh na jaye. Kuch dino ke liye iss mishran ki ek spoon ko din mai 2 baar garam pani ke saath le.
6) Sinhparni ki Jad:
- Iski jad pachan ko badawa dene aur bhukh ko viniyamit karne ke liye jani jati hai. Yeh liver aur gallbladder ki samasyayo ke ilaj mai madad karti hai.
- Yeh halke mutravardhak ke roop mai bhi kaam karti hai. Iska istemaal aap chai mai bhi kar sakta hai.
7) Lahsun:
- Lahsun ko pachan tantra ka badawa dene aur bhukh ki kami ke ilaj ke liye ek prabhavi gharelu upay mana jata hai.
- Ek cup pani mai 3 se 4 lahsun ko chhankar aur usme aadhe nimbu ka ras nichod le. Samasya mai sudhar dikhne tak ise din mai 2 baar piye.
8) Dhaniya:
- Dhaniye ka ras, aamashay ras ke srav ko badhakar bhukh mai sudhar ke liye faydemand hota hai. Saath hi yeh apach, gas, matli, colitis aur anya aisi bimariyo se rahat dene ke liye accha hota hai.
- Dhaniya pattiyo se ras ko nikale aur 1 se 2 spoon niyamit roop se sevan kare. Isme aap nimbu ke ras ki kuch bunde aur ek pinch namak mila sakte hai.
9) Imli:
- Imli mai moujud vathar auir rechak gun bhuk mai sudhar karne mai madad karte hai. Imli ka guda, bhukh badhane ke liye vyapak roop se istemaal upayo mai se sabse uttejak hai.
- Yeh kai bhartiya vyanjano mai swad badhane ke roop mai prayog kiya jata hai. Bhukh mai suhdar karne ke liye iska istemaal curry ke roop mai kare.
- Iske alawa, imli ke gude mai thodi se kali mirch, daal chini aur laung ko milakar pani mai tab tak ubale jab tak yeh narm na ho jaye. Bhukh mai sudhar hone tak niyamit roop se ise piye.
10) Nimbu:
- Nimbu ka ras bhukh mai prabhavi roop se sudhar karta hai. Aap bhukh badhane ke liye iske ras ko taaze phal ya salad ke uppar nichod kar le sakte hai, ya bas kewal ek gilaas nimbu pani ko aap din mai 2 baar le sakte hai.
- Iske alawa bhojan ke pehle thoda sa adrak, namak, nimbu laga ke khaye. Yeh bhukh ko badhane ke liye istemaal kiye jane wale tariko mai se ek shandar upay hai.
Bhukh Badhane ke Upay: Bhojan ke Prati Roochi Badhane ke Behatrin Karan
- Thand ke dino mai adhik bhukh lagti hai.
- Kuch medicine ki madad se bhi aap aapki bhukh ko kam kar sakte hai.
- Body banana ke liye tarah-tarah ke supplements ki madad se bhi aap bhukh ko badha sakti hai.
- Vyayam mai badlav aapki bhukh badha sakta hai. Aap iss bare mai apne fitness experts ki salah le sakte hai.
Upar aapne jane Bhukh Badhane ke Upay in Hindi. To agar aap bhi aisi koi samasya se grasit hai to aaj se hi inn gharelu upay ki madad se apni bhukh ko badha sakte hai.