Black Cardamom Benefits in Hindi: Badi Elaichi ke Swasth Labh

Badi elaichi ko kai varsho se log masalo ke rup mai prayog karte aa rahe hai.  Elaichi ki do prajatiya dekhne ko milti hai jise chhoti elaichi aur badi elaichi ke naam se jana jata hai. Chhoti elaichi ko masalo ki rani kaha jata hai aur yeh mithe pakwano ka swad dugna kar deti hai. Yadi bat kare badi elaichi ki to yeh namkin vyanjano ke swad ko badha deti hai.

Badi elaichi ko kali, bhuri, laal aur nepali elaichi ke naam se bhi jana jata hai. Badi elaichi ke acche swad aur sugandh ke karan ise masalo ke rup mai prayog mai laya jata hai. Lekin kya aap jante hai ki badi elaichi hamare swasth ke liye bhi faydemand hoti hai? Jee haa badi elaichi ka prayog aayurved aur jadi butiyo ke rup mai bhi kiya jata hai.

Badi elaichi mai bahut se khanij tatv aur anti-oxidant gun hota hai jo ki hamare swasth ko kai prakar ki bimariyo se bachane mai madad karta hai. Iske alava sardiyo ke dino mai iska kadha banaka rbhi piya jata hai. Sath hi yeh hamare baalo aur twacha ki sahi tarah se dekhbhal karne mai bhi madad karti hai. Badi elaichi ke faydo ke bare mai vistar se janne ke liye padhe Black Cardamom Benefits in Hindi.

You May also Like:- Cardamom Health Benefits: Elaichi ke Fayde Aapke Swasth ke Liye

 

Black Cardamom Benefits in Hindi: Sharir Ko Inn Bimariyo Se Rakhe Dur

Anti-Oxidant Se Bharpur Badi Elaichi

Badi elaichi mai anti-oxidant tatv paye jate hai jo ki sharir ko kai prakar ki bimariyo se dur rakhne mai madad karte hai. Isme do prakar ke anti-oxidant hote hai lekin sabse jyada adhikta anti-cancer anti–oxidant tatv ki hoti hai. Yeh tatv breast, colon aur ovarian cancer ko rokne mai madad karte hai jisse cancer ka cells ka nirman aur viakaas puri tarah se ruk jata hai.

Sath hi yeh sharir ko hone wale sardi, jukham aur khasi ke bacteria aur virus ko khatam kar sharir ki dekhbhal karte hai.

Gastro-Intestinal Ke Upchar Ke Liye

Badi elaichi ka sharir ke Gastro-Intestinal ki karya pranali par sahi asar padta hai jisse yeh gastric aur intestinal gland ko bahut uttejit kar jaruri padarth ke sahi tarah se strav mai madad karti hai. Iske alava yeh pachan dravya ke sahi tarah se pravah mai madad karta hai jisse pet mai upasthit acid ko niyantrit rakha ja sake.

Badi elaichi pet se sambandhit kai prakar ki bimariyo jaise alsar aur dusre pachan sambandhi samasyao ke khatre ko kam karta hai.

Fefado Ke Swasth Ke Liye

Badi elaichi fefado ke swasth ke liye bhi bahut accha hota hai. Iss wajeh se yeh dama ke rogiyo aur saans sambandhi bahut si pareshaniyo se nijad dilane mai madad karta hai. Iske alava badi elaichi ka niymit sevan karne se asthma, khansi, fefado ki sujan, fefado ka sankuchan aur tapedic aadi rogo se chutkara dilane mai madad karta hai.

Hriday Ko Swasth Rakhe

Hriday aur dil ki bimariyo se grasit vyaktiyo ke liye bhi badi elaichi bahut faydemand hoti hai. Yeh hamare hriday ke swasth ko behatar banane mai madad karti hai. Iske sevan se cardiac rhythm ko niyantrit rakha ja sakta hai jisse ucch raktchap ko niyantrit rakhne mai bhi aasani hoti hai.

Iske alava yadi aap niymit rup se badi elaichi ka sevan kare to dil se judi kai prakar ki  samasyao se nijad milti hai. Iske alava yeh sharir mai khun ko jamne se rokta hai jisse heart attack ki sambhavna kaafi had tak kam ho jati hai.

Gurde Ki Bimariyo Ko Dur Rakhe

Badi elaichi gurde aur peshab se judi kai prakar ki samasyao se nijad dilane mai madad karti hai. Badi elaichi ek behtar diuretic bhi hai iss wajeh se iske sevan se na keval sharir ka urination sahi rehta hai balki gurde se judi bahut si bimariya bhi dur hoti hai.

Daanto Se Judi Samasyao Ke Liye

Yaha padhe bahut se benefits of black cardamom. Badi elaichi ka prayog sharir ko swasth rakhne ke sath-sath daant aur masudho ki dekhbhal ke liye bhi kiya jata hai. Badi elaichi ke prayog se daanto aur masdho se judi kai samasyao jaise jalan, sankraman, khun aana aadi dur ho jata hai. Sath hi iske sevan se saans se badbu aana bhi band ho jata hai.

You May also Like:- Health Benefits of Sprouts: Ankurit Anaaj ke Dhero Fayde

 

Badi Elaichi – Ek Accha Detoxifier

Badi elaichi sharir ke liye ek acche detoxification ki tarah bhi kaam karti hai. Iske sevan se sharir se caffeine nikalne mai madad milti hai jisse sharir ko alkaloids se hone wale nakaratmak prabhav se bachaya ja sakta hai.

Rog-Pratirodhak Kshamta Ko Badhaye

Shodho se pata chala hai ki kaali elaichi mai sharir ke 14 prakar hanikarak bacteria ko khatm karne ka gun hota hai. Iss wajeh se iske sevan se hamari rog-pratirodhak kshamta majbut banti hai. Aur sharir ko bacteria aur viral ke sankraman se bachaya ja sakta hai.

Dard Ko Dur Kare

Din-bhar ke kamkaj ki wajeh se logo ko thakan hone lagti hai. Aese mai badi elaichi mai sharir ko hone wale kisi bhi prakar ke dard aur sujan se rahat dilane ki kshamta hoti hai. Badi elaichi sardard, thakan, tanav se judi bahut si pareshaniyo ko dur karne mai madad karti hai.

Rakt Ke Pravah Ko Banaye Rakhe

Badi elaichi vitamin C, kai prkar ke jaruri khanij tatv jaise potassium aur anti-oxidant guno se bharpur hoti hai. Iske rojana sevan se hamara sharir toxins se mukt rehta hai jisse sharir mai rakt ka pravah behtar banta hai. Iske alava Yadi aap apne sharir ki twacha ko behtar banana chahte hai to badi elaichi ka sevan karna shuru kar de. Yeh sharir ko swasth rakhne ke sath-sath sharir ko accha look dene ka kam bhi karta hai.

Twacha Ki Allergy Ko Khatam Kare

Badi elaichi anti-bacterial guno se bhi bharpur hoti hai. Jisse iske sevan se isme twacha mai hone wali khujali ya fir kisi bhi prkar ki allergy dur ho jati hai. Iss wajeh se badi elaichi twacha mai hone wale kisi bhi prakar ke sankraman ko dur karne ke liye ek prkratik aushdhi ke rup mai kam karta hai.

Baalo Ki Kare Sahi Dekhbhal

Upar aapne badi elaichi ke swasth ke liye hone wale fayde ko jana. Lekin kya aap jante hai ki yeh hamare baalo ke swasth ke liye bhi achha hota hai? Badi elaichi  mai anti-oxidative gun hota hai jisse yeh sar ki khaal ko sahi poshan pradan karne aur baalo ko majbut banane mai madad karta hai. Sath hi Iske sevan se baal ghane, lambe, majbut aur chamkile bhi bante hai.

Iske alava badi elaichi  baalo se rusi ki samsya ko bhi dur karne mai madad karti hai. Darahsal badi elaichi mai antiseptic aur anti-bacterial gun hote hai jisse yeh sar ki khal mai hone wale sankraman se chutkara dilane mai madad karti hai.

Lu Se Bachaye

Diye gaye swasth vardhak guno ke alava badi elaichi mai sharir ko lu se bachane ka bhi gun hota hai. Garmi ke dino mai jo log adhik dhup mai rehte hai aur kam karte hai unko lu lagne ka dar rehta hai. Aese mai badi elaichi ka sevan sharir ko lu ki wajeh se hone wale bukhar aadi se nijad milta hai.

Twacha Ke Liye Fayudemand

Badi elaichi  hamari twacha ke liye kai tarah se faydemand hoti hai. Darahsal iske sevan se chehre ki twacha mai upasthit koshikao mai rakt ka pravah teji se hone lagta hai jisse naye cells ke nirman mai madad milti hai. Iss wajeh se badi elaichi  mahilao ki umra badhne(anti-ageing) ki pareshani se chutkara dilane mai madad karti hai.

Iske alava iske niymit sevan se chehre ki twacha glow karne lagti hai sath hi skin se judi kisi bhi prakar ki samasyao se nijad bhi milta hai.

Black Cardamom Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe

  1. Thakan aur sar ke dard ko dur karne ke liye cardamom seeds se nikle tel se sar ki malish kare. Isse thakan aur sar dard dur hoti hai aur rahat milti hai.
  2. Anti- Carcinogenic Gun jo ki ek anti-oxidant hota hai. Iss gun ki wajeh se yeh sharir ko cancer se chutkara dilane mai madad karta hai.
  3. Adhik garmi ki wajeh se sharir mai hone wali jalan aur thakan ko dur karne ke liye sabse pehle badi elaichi ko acchi tarah se pees le aur usme shahad ko milaye. Iska sevan karne se thakan, jalan aur ghabrahat dur ho jati hai.

Upar aapne jana Black Cardamom Benefits in Hindi. Yadi aap bhi apne sharir ko upar diye gaye pareshaniyo se chutkara dilana chahte hai to aaj se apne aahar mai badi elaichi ka istemal karna shuru kare aur rahe swasth.

Loading...

This website uses cookies.