Brain Tumor Symptoms in Hindi: Mastishk Cancer Ke lakshan

Sar mai dard hona aam bat hai lekin jab yeh dard hamesha hone lage aur badhne lage to yeh pareshani ka karan bhi ho sakta hai. Kuch log sar mai hone wale dard ko andekha kar dete hai. Lekin jab bhi sardard lagatar bane rahe tab ise andekha nahi karna chahiye. Kyoki yeh mastishk cancer ya brain tumor bhi ho sakta hai.

Mastishk cancer jyadatar 3 se 15 saal aur 50 saal se adhik umra ke logo mai hota hai. Yeh rog mahila ho ya purush kisi ko bhi ho sakta hai. Iss rog ke hone ka pramukh karan saans ke dwara vishaile padartho ka sharir ke andar pravesh karna hota hai. Yeh vishaile padarth andar jakar sar mai sankraman ka karan bante hai aur mastishk cancer jaisi ghatak bimari ka rup le lete hai.

Mastishk cancer se grasit marijo ke sar mai aksar dard hona, dore panda, ek aankh mai pareshani hona, chehre par kamjori, susti lagna aadi lakshan dekhne ko milte hai. Iss bimari ke sahi ilaj aur lakshan janne ke liye yaha padhe Brain Tumor Symptoms in Hindi aur sahi ilaj ke dwara bache iss janleva bimari se.
 

Brain Tumor Symptoms in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Upchar

 

 
Jab kisi vyakti ko mastishk cancer ka khatra hota hai to use jald hi chikitsak ki salah lena chahiye. Mastishk cancer mukhyatah do parkar ka hota hai Primary brain tumor aur secondary brain tumor.

Primary brain tumor sar mai hota hai. Aur jab sharir ke kisi anya bhag ka cancer(jaise ki gurde, aant, pet aadi ka cancer) sar tak pahuch jaye to iss prakar ke cancer ko secondary brain tumor kaha jata hai.

Primary brain tumor: Yeh cancer sar se shuru hota hai aur sar ke kisi bhi bhag mai ho sakta hai. Vyasko mai yeh cancer mukhyatah sar se shuru hota hai, yeh sar aur kendriya tantrika tantra(central nervous system) ke charo or sthit jhilli ke 24% bhag mai hota hai. Aur iss cancer ka 10% bhag , mastishk ki pituitary gland or pineal gland mai hota hai.

Secondary Brain Tumor: Jab sharir ke kisi bhi bhag jaise fefade, kidney, gurde, aant ka cancer, twacha, pet ka cancer aadi badhkar sar tak pahuch jata hai to iss cancer ko secondary brain tumor kaha jata hai.

Mastishk mai koshikao ke asamanya gathan hi mastishk cancer ka karan banta hai aur yeh cancer malignant ya fir benign bhi ho sakta hai. Sar ke kisi bhi hisse mai cancer ho sakta hai aur yeh kitna ghatak hai yeh to mastishk par hi nirbhar karta hai.
 

You May Also Like:- Skin Cancer Symptoms in Hindi: Pehchane Iske Lakshan

 
Mastishk cancer ke bahut se lakshan hote hai to aaiye jane symptoms of brain tumor in hindi
 

 Sar Mai Dard Rehna

Mastishk cancer se jujh rahe vyaktiyo ke sar mai hamesha davab wala dard bana rehta hai. Kabhi kabhi yeh dard aachanak se hota hai. Aur yeh dard khansi, sardi aane ke samay aur bhi adhik badh jata hai. Kabhi kabhi to iss dard ki wajeh se raat mai so pana bhi muskil ho jata hai.
 

Mass Effect

Yeh dard sar mai intracranial davab ke karan hota hai. Iske kai lakshan hai jaise jee machlana, chakkar aana, ulti aana, dhundhla sa dikhai dena, aankho mai sujan aadi. Yeh lakshan mukhytah chote baccho aur vyasko mai tab dikhayi deta hai jab yeh cancer dhire-dhire badh raha hota hai.
 

Mansik aur Vyaktigat Badlav Hona

Mastishk cancer ke marijo ko bolne mai takleef hone lagti hai sath hi unki yaad rakhne ki kshamta bhi kam ho jati hai. Iske alava vyaktiyo ke vyavhar  aur svabhav mai bhi kaafi badlav aa jate hai.
 

Kabhi Bhi Dore Padna

Jin vyaktiyo ko mastishk cancer hota hai unke haath aur pair ki maspeshiyo mai aenthan, sharir mai kampan kabhi bhi hone lagta hai. Iske sath-sath sar mai dard ki vajah se kabhi kabhi dore bhi padne lagte hai.
 

Anya Lakshan Inhe Bhi Padhe

  1. Sar mai dabav aur dard ki wajah se vyaktiyo ko kabhi bhi neend aane lagti hai.
  2. Kamjori lagna, yaddasht shakti ka kamjor hona, sunghane mai dikkat aana aadi samasyae aati hai.
  3. Sar ke sath-sath gardan mai dard hona, aankho mai pareshani hona, chalte samay ladkhadana aadi hota hai.

Mastishk cancer hone ke kai karan hote hai. To aaiye jane Brain Tumor causes.

  1. Vyaktiyo ka rasaynik chemical jaise vinyl chloride, Epstein-Barr virus, ionizing radiation ke sampark mai aane se.
  2. Fefado mai cancer hona bhi mastishk cancer ka karana banta hai.

Mastishk cancer ke sahi tarah se ilaj ke liye ise kai prakar se vibhajit kiya gaya hai jinhe grade kaha jata hai. Inhe mukhyatah 4 grades mai baanta gaya hai.

Grade I : Iss avastha mai mastishk mai tumor banne lagta hai jise benign tumor kaha jata hai.

Grade II : Isme tissue malignant hote hai jo ki normal cells se chhote dikhte hai.

Grade III : Isme malignant tissue ke cells normal cells se alag hote hai.

Grade IV : Isme malignant cells bahut teji se grow karta hai.

Mastishk cancer ke lakshano ko dekhte huye iska ilaj bhi kai prakar se kiya jata hai. Iske ilaj ke liye aaiye jane Treatment for Brain tumor.

Mastishk cancer ke upchar ke liye sabse pehle kai prakar se iski jaanch ki jati hai jaise x-ray , reedh ki haddi se pani ki jaanch aadi. Uske baad cancer ki prarambhik avastha mai iska ilaj kiya jata hai.

Shalya chikitsa, radiotherapy aur chemotherapy ke dawara hi iss rog ka ilaj sambhav hota hai.

Upar aapne dekha Brain Tumor Symptoms in Hindi. Yadi aap ya fir aapke aaspas kisi ko bhi mastishk cancer ke lakshan dikhai de rahe ho to jald hi chikitsak ki salah le aur iska ilaj kare.

Loading...

This website uses cookies.