Breast Implants ek tarah ki surgery hai, jiske chalte breast ka size aur shape ko theek kiya ja sakta hai. Ya phir behtar banaya ja sakta hai. Is surgery me breast ke andar artificial material ki ek parat laga di jati hai. Is artificial material ke istemal ke aadhar par yeh Stan Pratyaropan do prakaar ke hote hai jisse boobs ka size aur shape change hota hai.
Types of Breast Implants
• Silicone Breast Implants
• Saline Breast implants
Silicone Breast Implant me artificial material ke roop me silicone gel ka use hota hai. Jisse silicone shell se bhar jate hai. Vahi saline par aadharit breast implants me artificial material ke roop me saline water ka use hota hai.
Mahilaye aapne breast ki trutiyo ko kam karne ke liye koi bhi ek surgery select kar sakti hai. Silicone breast Implants ki compression me saline breast implants jyada surakshit hota hai. Saline breast implants me khatra kam ho jata hai. Lekin isme dusre tarike ke jokhim hote hai.
You may also like: Main Causes of Breast Cancer Development in Women
Bas dhyan rakhne vali baat yeh hai ki, Stan Pratyaropan karne se pahle mahilao ko Before and After Breast Implants ke consequence ki sahi jankari hona chahiye.
Halaki Breast Implants mahilao ki breast se sambhandhit samasya se nijat dilate hai, lekin isse kai nuksaan bhi hote hai. Aaiye hum aapko batate hai, Breast Implants Side Effects. Jinka samna mahilao ko surgery ke baad karna hota hai.
Breast Implants Side Effects: Stan Pratyaropan ke Dush Prabhav
• Mahilao me Stan Pratyaropan ka sabse bada khatra leakage ka hota hai. Agar Chhati par kisi tarah ka dhakka lagta hai, to silicone gel aur Saline ka sharir se leakage hone ki sambhavna hoti hai. Silicone gel jab leek karne lagta hai, to isse chakkar aana, ghabrahat hona , jee machalna jesi problem hoti hai. Vahi saline ke leakage se sharir par bacterial aur fhafund ki samasya aa jati hai.
• Breast Implants me artificial material ka use hota hai, jo ki hamare sharir ko bahut nuksaan pahuchahta hai. Kyoki hamare sharir ka nature hota hai ki, vah bahar ki cheezo ko nakar deta hai. Tabhi sharir Breast Implants ko accept nahi karta hai, jiske karan aapke breast ke aas-paas dard ho jata hai. Saath hi breast par sujan aa jati hai.
• Stan Pratyaropan ka sabse negative prabhav yeh hai ki, isse breast ke aakar me asanta aa sakti hai. Saath hi is baat ki kafi sambhavna hoti hai ki, surgery ke baad breast ke shape aur size me antar aa jaye.
• Har Breast Implants ko 7 se 8 saal me replace ya repair ki jarurat hoti hai. Implants kabhi bhi surakshit nahi hota hai.
• Breast Implants Side Effects ki baat kare to iska sabse bura prabhav hai ki, jab yeh fatata hai to sabse bada khatra hota hai. Kyoki fhate huye shells se Silicone gel ya saline water nikalta hai. Sabse badi baat yeh hai ki, iske koi lakshan dikhai nahi dete hai.
• Breast Implant surgery ke aas-paas ke hisso me nishan ban jata hai. Yeh nishan puri life bane rahte hai.
• Breast Implant me aise material se hote hai, jo ki praktik tarike se neurotoxin hota hai. Silicone gel me kuch tatva aise hote hai, jo ki hamare nervous system ko nuksaan pahuchahta hai.
• Stan Pratyaropan me breast ka size aur shape bahut bad jata hai. Jo behad banavti lagta hai. Khaastor par saline par aadharit breast implant me breast kafi unreal lagte hai.
Upar aapne jane Breast Implants Side Effects. To bas agar aap Stan Pratyaropan karana chahte hai to pahle iske dush prabhav ki puri jankari le aur uske baad hi kuch decide kare.
Get more updates about Breast Implants from Diet And Fitness.