Causes of Memory Loss: Yaddasht Kam Hone Ke Karan

Esmaran shakti par hi hamra pura jivan nirbhar hota hai, lekin agar hamari yeh shakti me koi kami aa jaye to hamara pura jivan khatam ho jata hai.

Esmaran shakti ke kam hona ka asar sabse jayada students par dikhai deta hai. Vese to acchi yaddasht ki jarurat to sabko hi hoti hai, lekin phir bhi students ko iski jayada jarurat hoti hai.

Dekha gaya hai ki, jis vyakti ki Memory Loss hoti hai unko bahut se nukasan hote hai. Saath hi log unpar kisi bhi tarah ka vishvas nahi karte hai. Lekin is problem ke bahut se karan hote, jinke bare me log theek se jaante nahi hai.

To chaliye aaj hum aapko batate hai Causes of Memory Loss. Jiske bare me agar sahi se jankari ho to aap is problem se bach sakte hai.

You may also like: Brain Food Jo Bada De Aapke Dimag Ki Power

Causes of Memory Loss: Esmaran Shakti Khone Ke Karan

• Vese to esmaran shakti khone ke bahut se karan hote hai jese ki brain tumor, anxiety, depression, old age, severe stress, neend na puri hona, tension aur sir me kisi tarah ki chot lag jana.
• Jayada Smoke karane se bhi aapki yaddasht kamjor hoti hai.

Lekin Memory Loss ka Sabse main karan hai, kuch aise khadya padarth jine khane se aapki esmaran shakti kamjor hoti hai. To chaliye aaj hum kuch aise khadya padarth ke bare me baat karte hai jo ki, main Causes of Memory Loss hai.

Cholesterol Ya Charbi Vale Padarth

• Scientific research me paya gaya hai ki, jinn padarth me cholesterol aur charbi ki matra adhik hoti hai. Ve aapke mastishk par bura prabhav dalti hai.
• Pashuo ke mans me cholesterol ki sabse jayada matra pai jati hai, jinke sevan se aapki memory kamjor hoti hai saath hi aapko kai dil ki bimari bhi hone ka khatra rehta hai. Isliye inke sevan kam kare.
• Agar aap mansahari hai aur bina non-veg khaye nahi reh sakte to macchli ka sevan kare, kyoki ye ek brain tonic hai.

Ghee Paneer Chod De

• Vah jamana gaya jab ghee khana bahut accha mana jata tha, lekin aaj ke time me ghee khana aapki bevkufi aur naadani hai.
• Paneer chhena, ghee, dahi me vasa adhik matra me paya jata hai, jo aapke dimag aur swasth ke liye theek nahi hai. Vese dahi bahut faydemand hota hai, lekin usme mojud vasa utni hi nuksandayak hoti hai. Isliye dahi ki jagah par chhach ka sevan karna chahiye.

Sharab

• Sharab na keval aapke liver ko nuksaan pahuchati hai balki aapke dimag ko bhi kamjor banati hai. Saath hi aapki memory ko kamjor karne ke saath aapki sochne samjhne ki shakti ko bhi kam karti hai. Isliye iska sevan kam se kam kare.

Soya

• Vese to soya me protein prachur matra me hota hai, jo ki aapke sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Lekin jarurat se jayada bhi soya ka sevan mastishk ki problem ko peda karta hai.

Meethe Padarth

• Cheeni ya cheeni se bane padarth ka jayada sevan karne se bhi aapka esmaran shakti kamjor hoti hai.

Upar hume aapko Causes of Memory Loss bataye hai. To dhyan rahe ki hum jo kuch bhi khate hai uske sidha asar hamare dimag par hota hai.

To vo padarth jo ki, hamre mastishk ko nuksaan pahuchate hai. Unka sevan chod de ya kam se kam kare jisse hamri esmaran shakti kamjor nahi hogi.

Get more update about Brain Power from Food.

Loading...

This website uses cookies.