Cervical Cancer ek parakar ka samanya cancer hota hai jo ki garbhashay ke pravesh dwar par hota hai. Cervical Cancer ko Greeva cancer ke naam se bhi jana jata hai. Darahsal greeva garbhashay ke nichale bhag ko kehte hai. Yeh cancer mahilao ki koshikao mai aniyamit vraddhi ke karan hota hai.
Iss cancer badhane ke kai karan hote hai. Jab yeh cancer ki shuruwat hoti hai to iss prarambhik sthiti ko Dysplasia kaha jata hai. Yadi yeh lakshan shuruwat tour par pata chal jata hai to iska ilaaj aasani se ho jata hai. Aur jab yeh cancer badh jata hai to ise Carcinoma kaha jata hai.
Garbhashay mai Greeva cancer hone ka sabse aam karan human Human papillomavirus (HPV) ko mana jata hai. Yeh jyadatar tab hota hai jab koi bhi mahila HPV se pidhit purush ke sath yon sambandh banati hai. Mahilao mai yeh cancer 25 saal se adhik umra mai dekhne ko milta hai
Iss cancer se grasit mahilao ko sharir par sujan rehana ya fir peshab mai khoon aana jaisi samasyae hoti hai. Isse bachane ke liye jane Cervical Cancer Symptoms in Hindi taki sahi samay par iska illaj ho sake.
Cervical Cancer Symptoms in Hindi: Jane Karan, Lakshan aur Nidan
Greeva Cancer mukhya roop se 2 prakar ke hote hai. Types of Cervical Cancers mai aaiye jante hai iske prakar ke bare mai.
Squamous Cell Cervical Cancer: Yeh samanya prakar ka cancer hota hai jo ki twacha ki koshikao aur garbhashay greeva mai failta hai.
Adenocarcinoma Cervical Cancer: Yeh cancer tab hota hai jab sankramit granthiya aur koshikaye ki wajeh se yeh cancer cervical canal(Greeva Nahar) tak pahuch jata hai.
Greeva cancer kai charano se hokar gujarta hai aur fir ek bhayanak roop le leta hai. Phases of Cervical Cancer mai iske kai charan bataye gaye hai.
- Shuruati tour mai yeh cancer shleshma jhilli par badlav lata hai. Iss avastha ko Epithelium Dysplasia kaha jata hai. Yadi iss avastha ka shuruati tour par hi illaj kar liya jaye to ise thik kiya ja sakta hai.
- Iske dusare charan ko “Cancer in C2” kaha jata hai. Iss avastha mai cancer wale badlav to hote hai lekin iske failne ki kshamta nahi hoti hai. Iss avastha mai bhi mahilao ko sampurna illaj se bachaya ja sakta hai. Yeh charan karib 8 saal tak bana rehta hai.
- Sahi samay se ilaaj na hone par yeh greeva cancer vastavik Invasive cancer ka roop le leta hai aur aaspas ke ango mai teji se failna shuru kar deta hai.
Greeva Cancer hone ke anya karan
- Mahilao ke aahar mai phal aur sabjiyo ki kami hona.
- Kam umra (17 saal) mai hi garbhavati ho jana.
- Garbhnirodhak goliyo ka lambe samay tak istemaal karna.
- Atyadhik Dhumrapan karna.
- Sharir mai Harmons ki gadbadi hona.
- Chlamydia virus se sankramit hona.
- Teen se adhik garbhdharan karna.
You May Also Like:-Bipolar Disorder Treatment In Hindi: Ise Dur Karne Ke Upaye
Greeva cancer ko samanya tour par pehchanna mushkil hota hai. Lekin kai aese lakshan hote hai jisse inhe pehchana ja sakta hai. To aaiye Cervical Cancer Symptoms mai jane iske lakshan.
Aniyamit masik dharm
Iss cancer ke ho jane se masik dharm aniyamit ho jata hai. Yaha tak ki menopause ke baad bhi raktstrav hota hai.
Aniyamit Rakt Strav
Rajonivratti ke bad yoni se rakt behna aur sambhog ke douran rakt ka strav hona bhi iss cancer ka lakshan hota hai.
White Discharge
Yoni se hamesha badbudar safed pani ka behna aur masik dharm ke douran badbu aane jaisi samasya isme bani rehti hai.
Greeva Cancer ke illaj ke liye yeh janna bahut jaruri hota hai ki mahilao mai yeh kitna fail chuka hai. Iske illaj ke liye aaiye jante hai Treatment of Cervical Cancer.
Surgery:
Surgery, Greeva cancer ke prathamik do charno ke ilaaj ke liye kee jati hai. Yeh surgery karane se pehale yeh janna bahut jaruri hota hai ki mahila kitne saal mai garbhavati hui aur kitne bacche hai. Iss surgery ko Hysterectomy kaha jata hai. Yeh garbhashay greeva aur garbhashay ko nikalne ke liye kee jane wali surgery hoti hai.
Radiation Therapy:
Iss therapy mai x-ray vikiran ke dwara cancer koshikao aur tumor koshikao ko hataya jata hai. Yeh pranali tab upyog mai layi jati hai jab mahilayo ko greeva cancer bahut dino se ho. Isme do prakar ki therapy upyog mai layi jati hai.
- External Radiation Therapy: Iss therapy mai ek badi radiation machine ke dwara cancer koshikao ko nast kiya jata hai.
- Internal Radiation Therapy: Iss therapy ko brachytherapy bhi kaha jata hai. Isme yoni ke pas ek chhota cylinder rakha jata hai aur bahar se radiodharmi vikiran iss cylinder mai pravesh karayi jati hai, iss prakar isme ilaaj kiya jata hai.
Chemotherapy:
Iss therapy mai cancer koshikao ko nast karne ke liye dawaiyo ka istemaal kiya jata hai. Chemotherapy ka akele istemal karne se mahilao mai kuch side effect bhi ho sakte hai isliye iske sath radiation therapy ko bhi shamil kiya gaya hai. Iske dwara mahilao ki yoni se rakt strav hona, dard hone jaisi bahut si samasyao ka illaj ho jata hai.
Aaj aapne jana Cervical Cancer Symptoms in Hindi. Yadi mahilao mai iss greeva cancer ke lakshan dikhai dete hai to turant doctor ki salah lena chahiye.