Chocolate, bus yeh naam sunte hi muh mai pani aa gaya na !! Bade ho bacche sabhi ko chocolates pasand hoti hai. Aur aesa ho bhi kyu na yeh itni acchi jo lagti hai. Aajkal to market mai bhi kai varieties mai chocolate aane lagi hai.
Chocolate ki khasiyat yeh ki yeh, yadi aapse koi ruth gaya ho to aap use chocolate dekar mana sakte hai. Aur ab to bajar mai chocolates bahut acchi packing mai milne lagi hai. Yane ki aap ise kisi ko gift bhi kar sakte hai.
Lekin kya aap jante hai ki yeh chocolate yummy lagne ke sath sath aapko sehat ke bhi kai fayde dete hai. Sunkar aascharya lag raha hai na? Lekin chocolate, khaskar dark chocolate aapka stress dur karne ke sath aapke dil ke liye bhi accha hai. Bhaut kam log iss bare mai jante hai isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Chocolate Health Benefits.
Chocolate Health Benefits in Hindi: Kya Aap Jante Hai?
Aapki Twacha Ke Liye Faydemand
- Kuch logo ko aapne kehte suna hoga ki we bahut chocolate khate hai, lekin fir bhi unki twacha par ek bhi pimple nahi hai.
- Darahsal chocolate, pimple ka karan nahi banti hai balki yeh to aapke twacha ke liye faydemand hai, aur Dark Chocolate to khaskar.
- Ek German scientist ke anusar dark chocolate mai flavonoids paya jata hai, jo twacha ko uv rays se bachata hai. Lekin haa iska matlab yeh nahi hai ki aap sunscreen lagana hi chod de.
Cholesterol Ghataye
Kuch chocolates mai cocoa hota hai. Cocoa ka sevan bure cholesterol ko kam karta hai, aur acche cholesterol ko badhata hai. Jiske wajah se cardiovascular disease hone ki sambhavna kam ho jati hai. Isliye aap healthy chocolates ko kabhi kabhi kha sakte hai.
Vajan Ghatane mai Madadgar
Chocolate ki madad se aapko vajan ghatane mai madad milti hai. Darahsal ek adhyan ke anusar khana khane se pehle chocolate ka ek tukda 20 minute tak zibh par rakhne se, ek hormone uttejit hota hai aur aapke mastishk ko yeh sandesh deta hai ki aapka pet bhara hua hai. Yane ki khana khane ke pehle yadi aapne chocolate khayi hai to aap jyada khane ki samasya se bach sakte hai.
Cough Ki Samasya Dur Kare
- Jab bhi aapko gale mai cough ho jata hai to aapko kadha peena padhta hai, kadwi dawai leni padhti hai aadi.
- Lekin kya aapko pata hai cough ki samasya se nijat pane ka ek delicious tarika bhi hai. Aap bilkul sahi soch rahe hai chocolate ke sevan se aap cough ki samasya ko bhi dur kar sakte hai.
- Chocolate mai moujud theobromine namak tatva vagus nerve ki activity kam kar deta hai. Jiske parinaam swarup cough ki samasya kam ho jati hai.
- Yahi wajah hai ki aajkal scientist bhi cough ki dikkat se chutkara pane ke liye dawaiyo mai ab nacrotic istemal karne ke bajaye theobromine istemal karne lage hai.
Stress Kam Kare
- Swiss scientists dwara ek adhyan kiya gaya tha. Jisme tanav mai rehne wale logo ko 2 hafte tak roj thodi dark chocolate khane ke liye di.
- Iske chalte unka stress hormone level kam ho gaya aur tanav mai kami dekhi gayi.
- Isliye jab bhi aapka breakup ho jaye to dosto ke sath icecram khane jane ke bajaye dark chocolate khaye.
Madhumeh Roke
- Aapko sunkar thoda ajib lag raha hoga lekin cocoa ka sevan karne se insulin ki senility badhti hai.
- Isliye dark chocolate khane se kahi na kahi aapko diabetes hone ka khatra tal jata hai.
Dast Se Rahat
- South America ya Europe ki baat kare to 16th centaury se cocoa ka istemal dast ki samasya ko thik karne ke liye kiya jar aha hai.
- Darahsal cocoa mai moujud flavonoids protein ko bandh deta hai. Jisse choti aant mai tarah padarth ka strav sahi se hota hai aur dast se nijat mil jati hai.
Upar aapne jana Chocolate Health Benefits in Hindi. To ab aap apni favorite chocolate kha sakte hai. lekin har chocolate healthy nahi hoti hai. Har manufacturer ke chocolate quality alag alag hoti hai. Isliye jo chocolate aap kha rahe hai ek bar uss bare mai pata jarur karle.