Congenital Heart Disease in Hindi – Hriday Sambandhi Rog

Yah ek aam dharana hai ki hriday sambandhit rog bado aur bujurgo ko ho ho sakta hai. Kintu kya aap jante hai baccho mai bhi vibhinn prakar ke hriday rog paye jate hai aur inki jankari hona bahut hi avashyak hai. Congenital Heart Disease shishuo aur baccho mai hriday rog ka sabse bada karan hai.

Jab baccha pet mai hota hai tab hriday aur badi rakt vahiniyo mai vikas ke douran huye dosho se inn vikaro ka janm hota hai. Iska ek karan hai ki hriday ka vikas ek atyayant jatil prakriya hoti hai tatha inme kai tarah ke bahari evam antrik karano ka prabhav padta hai. Waise to iska koi ek karan nahi hota hai, lekin kuch karak hai jo hriday vikas mai apna prabhav dalte hai jaise anuvanshik, rasayanik, sankraman aadi.

Yah sabhi vikar kokh mai bacche ke vikas ke douran hote huye bhi aksar koi hanikarak asar nahi dalte hai. Iski wajah hai ki janm ke samay rakt sanchar bahut alag rahta hai. Isliye adhiktar hriday rogo ka koi pratikul prabhav kokh mai pal rahe bacche par nahi padta hai.

Janm ke baad rakt sanchar mai bahut se badlav hote hai, jo pahle 2 se 3 maah tak sarvadhik asar dikhate hai. Yahi karan hai ki vibhinn prakar ke hriday vikar alag samay par apna prabhav dikhate hai. Aaiye jante hai Congenital Heart Disease in Hindi se sambandhit anya mahatvpurn jankariya.

 

Congenital Heart Disease in Hindi: Janiye Inke Lakshan aur Upchar

 

 

Humare hriday mai chaal tarah ke koshthak hote hai. Daya, Baya, Aalind aur Nilay. Daye aalind mai shirao se ashudh rakt hriday ko jata hai. Jo ki kapat dwara daye nilay mai jata hai. Yaha se pulmonary dhamni dwara fefdo mai pahunchkar shudh hota hai. Fefdo mai rakt se carbon dioxide nikalti hai aur oxygn mil jati hai.

Yah shudh rakt pulmonary shirao dwara baye aalind mai waha se mitral kapat dwara baye nilay mai pahunchta hai. Baye nilay se shudh rakt aortic kapat se mahadhamni aur iski shakhao dwara sharir ke vibhinn ango mai pahunchkar oxygen aur poshak tatvo ki aapurti karta hai. Daye aur baye nilay ke madhya ki diwar inter ventricular system aur daye baye aalind ke madhya inter ventricular system hote hai. Jisse ashudh aur shudh rakt aapas mai nahi mil pate hai.

 

You May Also Like: Heart Health Tips – Dil Ko Swasth Rakhne Ke Upay

 

Congenital Heart Disease Symptoms: Jane Iske Lakshan

Janmjaat hriday rog ko samanyatah baccho mai hriday rog ke roop mai mana jata hai. Yah ek samanya shabd hai jise janm dosh ka varnan karne ke liye prayog kiya jata hai aur jo dil ke samanya kaamkaaj ko prabhavit karta hai. Janmjaat hriday rog shishuo aur baccho mai hriday rog ka sabse bada karan banta hai. Aaiye jante hai Congenital Heart Disease Symptoms

 

Sharir Ka Neela Padna

Hriday rogo ki wajah se aswacch neela rakt samany rakt mai milkar pure sharir ko prabhavit karta hai. Jisse bacche ka sharir neele rang ka dikhai dene lagta hai. Jisse sharir ke alawa jibh, nakhun tatha honth bhi neele ho jate hai. Kai baar bacche behosh bhi hone lagte hai.

 

Fefdo Mai Sankraman

Janmjaat Hriday Rogo se pidit baccho mai fefdo ke sankraman ka khatra bahut adhik hota hai. Yah dil ke thik tarike se kaam nahi ke karan hota hai. Iss rog se pidit baccho ko baar-baar fefo mai sankraman ki samasya bani rahti hai.

 

Sans Ki Samasya         

Iske rogi baccho mai sans sambandhit pareshaniya bahut rahti hai. Isme samanyatah sans lene mai pareshani ya tej gati se sans lena tatha sans lene ke douran aawaj aana shamil hai.

 

Dudh Pine Mai Pareshani

Iske rogi baccho ko dudh ka sevan karne mai taklif mehsus hoti hai. Sath hi dudh pite samay adhik pasina aata hai, jiss wajah se unka vajan bhi kam hone lagta hai.

 

Adhik Thakan

Janmjaat Hriday Rog ki wajah se baache bahut jaldi thak jate hai. Samanya khel-kood aur anya sharirik gatividhiyo ke samay jaldi thak jana, sans lene mai taklif hona aur adhik pasina jaisi pareshaniya bani rahti hai.

 

Pair, Pet aur Aankho Mai Sujan

Yah ek samanya lakshan hai, jo bachpan mai ya kuch mahino baad sharir ke hisso mai kisi prakar ki sujan aane lagti hai, lekin inme kisi tarah ka dard nahi hota hai, keval sharir ke hisse phule huye najar aate hai.

 

You May Also Like: Rheumatic Heart Disease Symptoms in Hindi – Karan or Niwaran

 

Hole in the Heart: Dil Mai Ched

Janmjaat bimario mai dil mai ched hona baccho mai kai baar dekha gaya hai. Waise doctors ke anusar,l dil ka ched navjaat baccho mai 1 saal ke baad apne aap hi bhar jata hai. Parantu yadi aisa na ho to baccho ko bahut hi kathinai se gujarna padta hai.

Chikitsako ke anusar, yah rog hajaro mai se kisi 1 bacche ko hota hai. Halaki iss bamari ki jankari garbhavastha ke samay hi ultrasound ke dwara pata lagayi ja sakti hai. Dil ke dono bhago ke bich koi ched ho to samanya roop se khoon ka pravaah adhik dabav wali jagah se kam dabav wali jagah ki aur hona chahiye.

Yadi Hole in the Heart chota hai to inn shishuo ko kisi prakar ki samasya nahi hoti hai. Jo bade hone par band ho jate hai. Yadi yah ched khula rahta hai to sans fulna, heart failure, hriday gati aniyamit hona aur hariday sankraman ki paresjani ho sakti hai. Yah bacche bhojan karne mai, khelne mai bahut jaldi thak jate hai aur hafne lagte hai. Shuruvaat mai baar-baar cough tatha nemonia se grasit ho jate hai. Inked aye nilay ka aakar bad jata hai. Baad mai sharir ke hisso mai sujan bhi aane lagti hai. Inke rakt mai oxygen ki matra kam rahti hai. Atah inka vikas dhimi gati se hota hai tatha boddhik shamta kam hoti hai.

 

Congenital Heart Disease Treatment: Jane Iske Upchar

Chikitsa technology ke chalte aaj ke samay mai garbhavastha ke 18ve hafte mai fetal echo cardiogram karke dekhte hai. Jisme ultrasound mashino ka upyog kiya jata hai. Rog ke pakad aane par paramarsh diya jata hai. Upchar ka nirdharan ched ke aakar aur lakshan par nirbhar hota hai. Ched bada hone par shalya chikitsa hoti hai. Hriday kholkar ched ko taka lagakar ya patch band kiya jata hai. Ab bager operation ke dhamni se nilay mai ched ke sthan par chata pahunchakar ched ko band karna bhi sambhav hai.

Iske alawa hriday ki anya janmjaat asamanyatao se bachav ke liye avashyak hai garbhavastha mai khan-paan par pura dhyan diya jaye. Ati avashyak hone par kushal chikitsak se paramarsh lekar hi dawao ka sevan kam se kam prabhavi khurak aur samay ke liye kare. Garbhvati hone par sharab, cigarette, tambkhu, gutkha aadi anya nashile tatvo ka sevan nahi karna chahiye. Sath hi coffee ka upyog bhi bahut kam matra mai kare.

2013 mai huyi ek research ke anusar, baccho mai dil ke ched ka bina kisi prakar ki surgery ke ilaj sambhav hai. Angioplasty ki tarah hi per ki nas ke sahare dil tak pahunch kar ched ko ek device se band kiya ja sakta hai. Isse baccho ko jaldi hi labh milta hai aur asptaal se bhi jaldi chutti mil jati hai.

KGMU ke cardiologist vibhag ke head RK Saran ne bataya ki baccho mai paidaishi bimari hai. Aaj tak dil ke ched ko band karne ke liye surgery ki jati thi lekin ab bina surgery ched ko band karna sambhav hai. Unhone bataya ki per ki nas ke sahare ek taar dalkar dil tak pahuncha ja sakta hai. Iske baad dil ke ched ko ek device se dhak diya jata hai. Iss surgery ke parinaam bahut hi acche sabit ho rahe hai. Isliye sabhi cardiology center se esi taknik se baccho ki surgery ko prathmikta di ja rahi hai.

Aaj aapne jana Congenital Heart Disease in Hindi, agar aapka baccha bhi iss tarah ke kisi rog se pareshan hai to dare ya ghabraye nahi balki turant doctor se paramarsh le.

Loading...

This website uses cookies.