Dehydration in Hindi – Pani Ki Kami Se Khud Ko Bachaye

Garmi ke mausam kai bimariyo ko aamantrit karta hai. Iss mausam main a sirf umas aur pasina, balki ulti, dast, lu lagna, dehydration aur sunstroke jaisi bahut si pareshaniya shuru ho jati hai. Bharat mai gaav ho ya shahar aur baccha ho ya buda har koi garmi mai inn samasyao se jujhta hai.

Humare sharir ki har koshika thik tarah se kaam kare iske liye oxygen ke sath-sath pani ki bhi bahut avashyakta hoti hai. Humare sharir ke vajan ke 70 pratishat hisse mai pani hota hai. Ab aap khud soch sakte hai ki swasth rahne ke liye pani kitna jaruti hai. Jab sharir mai pani ki kami hone lagti hai to iss sthti ko dehydration ya nirjalikaran kaha jata hai. Khaskar garmi mai yah samasya jaanleva bhi ho jati hai.

Muh ka sukhna, hotho par papdi jam jana, jaldi thak jana, peshab kam aana, chakkar aand aadi sabhi nirjalikaran ke prarambhik karan hai. Agar iss tarah ki samasya najar aaye to pay padartho ki matra ko bada dena chahiye. Iss samasya ko gambhirta se na lena badi mushkil paida kar sakta hai. Aaiye jante hai Dehydration in Hindi.

 

Dehydration in Hindi: Janiye Iske Lakshan aur Gharelu Upchar

 

Dehydration se samasya tab paida hoti hai. Jab hum jitne fluid graham karti hai, usse kahi adhik loose karti hai arthat sharir ko jitney taral ki avashyakta hoti hai usse bahut kam mil pana. Iss prakriya mai sharir sakriya rakhne ke liye drav padarth aur pani ki matra kam pad jati hai.

 

You May Also Like:- Water Benefits in Hindi: Kya Aap Jante Hai Pani Pine Ke Fayde

 

Dehydration Gatak Ho Sakta Hai

Ise najar andaj karna aapko badi pareshani mai dal sakta hai aur yah swasthya ke liye khatarnak sabit ho sakta hai. Adhik samay tak bina pani piye kaam karte rahne se sharir mai pani ki kami hone lagti hai. Diarrhea, hypertension, madira sevan tatha bimadiyo jaise heja, aat ya pet mai jalan aur yellow fever ki wajah se bhi dehydration ho sakta hai. Ku-poshan bhi iss samasya ko aur adhik bada deta hai.

Ek research ke anusar bharat mai lagbhag 15 lakh logo ki maut dehydration ke karan ho jati hai. Yah bimari bacchi mai to adhik hoti hai hi lekin yah bade logo ke liye bhi ghatak sabit hoti hai. Isliye samay par iska ilaj karna behad jaruri hota hai taki sthiti gambhir na ho. Adhik garmi ke dino mai nirjalikaran ki samasya se logo ko dil ka daura padne ki aashanka bahit bad jati hai.

 

Types of Dehydration: Jane Iske Prakar

Pani ki kami yani fluid loss ke aadhar par dehydration mukhya teen prakar ka hota hai. Aaiye jate hai Types of Dehydration-

Hypotonic – Isme samanya roop se electrolytes khaskar sodium ki kami hoti hai.

Hypertonic – Yah sharir mai pani ki kami ho jane par hota hai.

Isotonic – Yah tab hota hai jab sahrir mai pani ke sath-sath electrolytes ki bhi kami ho jati hai.

 

Gambhirta ke aadhar par ise teen prakaro mai paribhashit kiya gaya hai. Agar dehydration gambhir roop mai hai to ise emergency mana jata hai.

Mild – Jab sharir ke sampurn fluids mai se 2 pratishat fluids ki hani hoti hai, tab mild dehydration hota hai.

Moderate – Jab sharir mai 5 pratishat fluids ki hani hone lagti hai. Iss wajah se moderate dehydration hota hai.

Severe – Sharir mai jab 10 pratishat fluids nasht ho jata hai, tab severe dehydration hota hai.

 

Dehydration Causes in Hindi: Jane Iske Karan

Aise bahut se karan hote hai jin wajah se hum dehydrate ho sakte hai. Iske mukhya karan hai :- ulti – dast hona, tej bukhar, adhik pasina aana, baabaar peshab aana aur iske anya karan ho sakte hai. Nam mausam, workout ya sharirik mehnat ke dauran pani kam pina. Yah sabhi Dehydration Causes hai.

 

Dehydration Symptoms in Hindi: Jane Iske Lakshan

Iske bahut saare aise samanya lakshan hai jinhe dekhkar ya samjhkar pataya lagaya ja sakta hai ki aap nirjalikaran se grasit hone wale hai ya ho chuke hai. Aaiye jante hai Dehydration Symptoms

Waise to muh sukhna, aankho ka andar ho jana, kamjori aur chakkar aana, twacha thandi aur jhurri yukt hona, sharir ka tapmaan kam hona aadi iske samanya lakshan hai.

Mild aur Moderate Dehydration hone par, chehra chipchipa aur muh sukhna, adhik pyas lagna, sar dard, chakkar aana, manspeshiyo ka kamjor hona, rote samay kam ya aasuo ka na nikalna, nind na aana aadi iske lakshan hai.

Severe Dehydration mai, adhik pyas lagna, aankho ka dhas jana, chidchidapan, confusion, low blood pressure, hriday gati ka badna, tej bukhar, baccho mai ghabrahat aur nind adhik aana aadi iske samanya lakshan hai.

 

 

Home Remedies of Dehydration in Hindi: Jane Iske Gherelu Upchar

Dehydration Treatment ke liye aap kuch gharelu nuskho ko apnakar bhi isse rahat pa sakte hai aur garmi ke mausam mai bhi iss bimari se bach sakte hai. Jiske liye aapko kuch khas ya kuch alag karne ki bhi jarurat nahi hai. Bas aapko kuch savdhaniya rakhni hai aur apne aahar ke sath kuch aur padartho ka sevan karna hai. Aaiye jante hai kuch gharelu nuskhe-

 

Pani Adhik Piye

Dehydration se bahne ka sabse sasta, saral aura san tarika hai, pani ka adhik se adhik sevan. Iss bimari se nipatne ka yah sabse pahla kadam hai. Pure din mai kam se kam 10 glass pani pina bahut jaruri hai. Agar aapko pyas nahi lag rahi hai tab bhi pani avashya piye. Agar sada pani accha nahi lag raha ho to pani mai nimbu ya electoral aadi dalkar bhi piya ja sakta hai.

 

You May Also Like:- Benefits of Coconut Water – Nariyal Pani ke Swastyavardhak Fayde

 

Salad Khaye   

Pani adhik pine ke sath-sath agar aap salad ka bhi sevan karte hai to yah aapke liye bahut hi accha hoga. Salad mai 95 pratishat tak pani hota hai, sath hi isme adhik matra mai protein bhi mojud hota hai. Jisme vasa bilkul nahi hota hai aur chlorine bhi bahut kam hota hai. Isme omega 3, ucch fiber, iron tatv aur calcium yukt poshak tatv ki bhi acchi matra hoti hai. Jo sharir ko tej garmi se to rahat dilate hai hi sath hi hume tarotaja bhi rakhti hai.

 

Dahi aur Chach

Garmi ke dino mai dahi ka sevan ka sevan ek bahut accha vikalp hai, kyoki isme 85 pratishat tak pani hota hai. Ulti-dast aadi ke karan huye dehydration mai bhi dahi accha upchar sabit hota hai. Yah electrolytes ka ek accha strot hai, isliye pet ke liye faydemand hota hai aur bahut aasani se pach bhi jata hai. Upchar ke liye sada dadhi ya dahi mai kala namak aur bhuna jeera dalkar bhi khaya ja sakta hai.

Yadi aap dinbhar dhup mai kaam karte hai ya aapko pasina adhik aata hai to bhi aapko dehydration ki samasya ho sakti hai. Iss tarah ki samasya se nipatne ke liye chach ek bahut hi prabhavi nuskha hai. Upchar ke liye din mai kam se km 2 glass chach ka sevan kare.

 

Ras Bhare Phal aur Sabjiya

Yadi dehydration ki shuruvaat hai to taral padartho ka adhik seva kare, lekin cold drink jaise padartho ko bilkul na chuye. Iski jagah rasile phal aur sabjiyo ka ras nikalkar sevan kare. Inn phal aur sabjiyo mai tarbuj, khurbuj, angur, santra, strawberry, khira, papita muli, palat, turai aur tamatar aadi ka upyog kar sakte hai.

 

Nariyal Pani

Garmi aur dehydration nariyal pani bahut hi faydemand hai. Isme vitamin, electrolytes aur minerals bharpur matra mai hota hai. Sath hi ism echini ki apeksha calorie ki matra adhik hoti hai. Jo sharir ka taapmaan niyantrit karne mai sahayak hota hai. Yahi nahi nariyal pani ka upyog acidity, alsar, ulti-dast aadi samasyayo ke ilaj mai bhi kiya jata hai. Yah hypertension, madhumeh aur kidney stone ke marijo ke liye bhi labhkari hota hai.

 

Aam Pana

Ise to sabhi acche se jante honge aur aap bhi garmi ke mausam mai iska upyog karte haonge. Aam Pana kacche aamo aur chini ko milakar banaya jata hai. Isme swad ke anusar chini, namak aur halka jeera milaya jata hai. Isme sodium, zinc aur vitamin C hota hai, jo pani ki kami ko pura karne mai sahayak hota hai aur nayi koshikao ko pura karne mai madad karta hai.

 

Dhyan Rakhne Yogya Baate

  1. Dehydration mai ulti aur dast ki wajah se sharir mai pani ke sath jaruri khanij jaise namak, potassium aadi bhi bahar nikal jate hai, isliye rogi ko sada pani na de. Diye jante wale pay padartho ko uble pani mai hi banaye.
  2. Bajar ke tale-bhune, masaledar bhojan se bache tatha der tak khule mai rakhe saman mai bacteria panap jate hai, jo pet mai sankraman ko janm dete hai.
  3. Ghar se bahar jate samay pani ki bottle apne sath avashya rakhe aur usme thoda glucose bhi mila le to yah aapki dehydration se raksha karta hai.

 Aaj aapne jana Dehydration in Hindi, tej dhup aur badti garmi se hone wali yah bimari kisi bhi vyakti ko apna shikar bana sakti hai. Isliye aap ise najarandaj na kare aur bataye gaye tariko ko apnakar swasthya rahkar garmi ke mausam ka anand uthaye.

Loading...

This website uses cookies.