Depression Symptoms in Hindi – Avsad Ke Lakshan Pehchaniye

Avsad ek aesi mansik bimari hai. Jisme vyakti andar se bilkul akela aur ashant ho jata hai. Avsad se pidit vyakti humesha dukhi rehta hai. Avsad mai ghire vyakti samanya logo ki tarah vyavahar bhi nahi rakh paate hai.

Avsad hone ka mukhya karan agar kuch hai to wo hai tanav. Aajkal ki jindagi mai logo ko tanav ne puri tarah se gher rakha hai. Kisi ko job naa mil pane ke karan tanav hai. To koi apni kaksha mai behtar pradarshan karne ke liye chinta mai duba hai. To koi apne baccho ki shadi ke liye chintit hai aadi.

Lekin jab bar bar tanav lena hamari aadat ban jaye to yeh ghatak ho sakta hai. Iske atrikt jab sharir swasth nahi hai tab bhi avsad hone ka khatra hota hai. Ham aapko batana chahte hai ki avsad grast vyakti kai bar mansik santulan bhi puri tarah kho dete hai. Aur samasya adhik badhne par apni jaan lene se bhi piche nahi hatta.

Lekin iska upchar sambhav hai. Yadi shuruwat mai hi iske lakshano ko pehchan liya jaye to isse bacha jaa sakta hai. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Depression Symptoms in Hindi.

Depression Symptoms in Hindi: Lakshano Ko Jane aur Dur Kare

Har Wakt Sirdard Rehna

Jab hum kisi bat ko lekar jarurat se jyada chinta karte hai, to humare dimag mai nakaratmak soch uttpan hone lag jati hai. Iske alawa iss soch ka asar humare dimag par bhi asar dalta hai. Jisse sir dard ki pareshani shuru ho jati hai. Iss stithi mai aesa mehsus hota hai jaise hamare jivan ki mushkilo ka koi anta nahi hai.

Bhukh Na Lagna

Avsad se pidit vyakti mai bhukh na lagne ki samasya adhiktar dekhne ko milti hai. Kyuki jab aap tanav se ghire hote hai aapka dimag tanavpurn bato ko lekar uljha rehta jisse aapka dhyan bhukh ki taraf nahi jata hai.

Kam Bat Karna

Avsad se ghire vyakti ko logo se baat karne mai ruchi nahi rehti hai. Kai bar aesa hota hai ki vyakti bahut jyada tanav mai hota hai tab wah bahar ki duniya se khud ko bahut alag alag rakhta hai. Iske alawa aasapas mai ho rahi ghatan chahe wo acchi ho ya buri kisi bhi bat mai dilchaspi nahi leta hai aur sirf khud mai hi rehta hai tatha bahut kam bat karta hai. Yeh Signs of Depression mai pramukh hai.

Internet Ka Adhik Istemal

Aajkal internet ka istemal humare jivan ka hissa ban gaya hai. Jiske bina koi bhi kam aasani se nahi kiya ja sakta. Lekin avsad se ghire vyakti iska istemal kuch jyada hi karte hai. Wo apna pura samay wahi dene lag jate hai aur unki jindgi ki hakikat internet mai hi simat kar reh jati hai. Virtual life ko wo asli jindagi samajhne lagte hai.

You may also like:- How to Relax Your Mind, Tanav Aur Tension ko Dur Bhagaye

 

Anidra Ki Samasya

Avsad se grasit vyakti chintao mai itna kho jata hai usse anidra ki shikayat ho jati. Kyuki uska mastishk humesha vicharo mai ghumta rehta hai aur der raat so nahi pata hai.

Akele mai Bat Karna

Kai bar to yeh tak ki nobat aa jati hai ki vyakti khud se bate karte karte badbadane lag jata hai. aur man hi man sochta rehta hai. Aese log jindagi se nirash rehte hai.

Gussa Aana

Avsad se grasit vyakti chhoti chhoti bato par gussa karne lagta hai. Usse har bat mai nakaratmak soch najar aane lag jati hai. Tatha avsad ki wajah se use samajh nahi aata ki wo kis bat par aur kyu  gussa kar raha hai.

Bhawuk Ho Jana

Isse pidit vyakti  bahut jaldi bhavuk hokar rone lagta hai. Use har chhoti chhoti bat dil par lag jati hai aur wo unn bato ki gehrai mai khone lag jata hai. Jise samanya vyakti nakar deta hai.

You may also like:- Exam Stress Tips: Pariksha Ke Dino Me Rahiye Tension Free

 

Ekagrata ki Kami

Kai bar jyada kaam ya fir baccho mai padai ki tension ya dabav ki wajah se ekagrata mai kami hone lagti hai. Jiske karan we apni shamtao ka puri tarah se istemal nahi kar pata hai aur kisi bhi kaam ko karne mai apna pura concentration nai de pata ha.

Pachan Shakti Kam Hona 

Kai bimariyo ka shuruvaat humare pet se hoti hai. Parnatu yadi hum mansik rup se swasth nahi hai to iska asar aapke pachan shakti par bhi padta hai. Isliye aapne kai bar bar dekha hoga jo vyakti kafi samay se avsad ki bimari se pidit hai wo apni sehat akasar kho dete hai. Yeh bhi Symptoms of Depression hai.

Vajan Ka Badna

Kai logo mai bina kisi karan achanak se vajan badne lagta hai. Kyoki tanav ki wajah se sharir mai aese hormones stravit ho jate hai. Jisse sharir ki manshpeshiya fulne lag jati hai aur vajan badne lagta hai.

Mahilao mai Aniyamit Masik Dharm

Jab bhi koi mahila avsad mai hoti hai to uske masik dharm aniyamit hone lagte hai. Darahsal avsad ke chalte pituitary gland jo hormones ko control karti hai unme parivartan aa jate hai. Jiske karanvash ovulation prakriya badhit hoti hai aur mahila ki prajnan shamta par asar padta hai.

Upar aapne jana Depression Symptoms in Hindi. Yadi upar diye gaye lakshan kisi vyakti mai dikhte hai to use sambhal jana chahiye. Avsad ki samasya badhne ke baad ise thik karna bahut muskil ho jata hai. Isliye chinta karne se bachna chahiye aur khusnuma logo ke sath pehchan banana chahiye.

Loading...

This website uses cookies.