How to Relax Your Mind, Tanav Aur Tension ko Dur Bhagaye

Humare jivan me aisa samay hota hai, jab bahut kuch chal raha hota hai, jese ki kaam me bethak ki samay, pariksha ka samay aur bahut si aise situation jo ki hame tanav me daal deti hai. Jiske karan hum pareshan ho jate hai. Lekin ghabraye nahi. Aaj is article me hum aapko batate hai How to Relax Your Mind.

Bahut si bar dekha gaya hai ki apne ko khud ke liye 5 minutes ka time nikalna bhi mushkil ho jata hai. Lekin phir agar aapko swasth rahna hai to uske liye aapko relax hona padega. Aaram bhi karna hoga tatha niche bataye gaye tariko ko bhi apnana padega.

How to Relax Your Mind, Apne Dimag ko Tanav Mukt Kijiye inn Tariko Se

How to Relax Your Mind in Hindi

Har Ghatne ke Baad 5 minutes ka Break

• Khud ke liye 5 minutes ka samay nikale chahe aap kitne hi busy kyo na ho.
• Iss baat se koi farq nahi padata ki aap kitni kushalta se karya kar lete hai. Sirf aapko dhyan rakhna hai ki aap aaram jarur kare.
• Agar aap aaram nahi karenge to aap vichlit ho jayenge saath hi aapka mann idhar-udhar jayega.

Body ko Stretch Karna

• Aaram karne ke liye ek badiya tarika hai bas sharir ko failna.
• Apne sharir ko mahsoos karne ki koshish kare aur apne saans lene par dhyan de.
• Iss ek sadharan stretch se peshiya ka tanav kam ho jata hai tatha kaam par dhyan lagta hai.

Tarotaaza Karne Wale Insaan

• Thande ya garam pani se nahaiye. Apni maspeshiyo ko aaram karne tatha shant karne ka yeh ek sasta aur majedaar tarika hai.
• Jo ki aapki puri body ko aaram deta hai.

You may also like:- Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike

Prakriti ke Kareeb Rahe

• Hariyali, sea ya pahad se ghire hone se jyada aaramdayak aur kuch nahi hota hai.
• Prakriti ke najdeek hone se hamare sharir aur mind dono ko shanti milti hai.

Prayapt Pani Tatha Bhojan Khaye

• Pizza ka order dena bada akarshak hota hai, lekin vastav me poshtik aur swasthvardhak khana pakaye aur uska sevan kare.
• Yeh na keval aapko fit rakhne me madad karta hai, balki yeh aapke mood ko bhi accha deta hai.

Ek Paltu Pashu ke Saath Rahe

• How to Relax Your Mind in Hind ki baat kare to yeh bahut accha tarika hai ki, hum paltu pashu ke saath samay bitaye. Yeh hume tanavmukt karne me badi bhumika nibhate hai.
• Kyoki yeh hume khushi aur pyar dete hai. Isliye mood kharab hone par apne paltu pashu ke saath samay bitaye.

Parivaar aur Dosto ke Saath

• Dosto ke saath kuch samay bitana, saath me karya karne walo ke saath halki si mazak karo, comics pade.
• Saath hi agar aap shaadi shuda hai to, bacche tatha jivan saathi ke saath guntavpund samay bitana aapke mood ko sahi karta hai aur aapko tanavmukt hone me bhi madad karta hai.

How to Relax Your Mind

Apna Pasandida Spa Le

• Apne hosh ko chhodkar bas aaram karna shaandar hota hai. Pedicure ya koi accha aaramdayak facial aapki twacha aur mann dono ko phir se jivit kar deta hai.
• Isliye aap parlor ja kar in sab tariko se bhi apne aap ko khush kar sakte hai.

Dhyan

• Apne aap ko aaram masoos karne ke liye pahado par jane ki jarurat nahi hai, balki panch minutes ka shantipund samay de kar dhyan karne ki koshish kare.
• Isse aapko bahut jaldi laabh prapt hota hai. Saath hi isse tanav aur galat vicharo se bhi chutkara milta hai.

Khud ko Samjhe

• Sakaratamak soch bahut kuch aapke mood ko prabhavit kar sakti hai to bajay negative sochne ki aap hamesha accha soche.
• Apne aap ko bataye ki, aap acche lag rahe hai tatha accha mahsoos kar rahe hai. Apni soch ko aisa banaiye ki, aap kisi bhi mushkil ka samna kar lenge.

Apne Aap ke Liye Kuch Kare

• Kaam khatam hone par uphar, chocolate aur chote se break se khud ko inaam de.
• Isse aap mann me khushi ka anubhav karege.

Apne Pasandida Sangeet ko Sune

• Tanav dur karne vala shant sangeet aapko tanav mukt karta hai tatha uthsahit sangeet aapko utsah se bhar deta hai.
• To hum bol sakte hai ki, jab bhi hum How to Relax Your Mind ki baate kare to sangeet ka naam sabse pahle aata hai. Yeh aapke mann ko shant karne me bahut badi bhumika nibhata hai.

Aaram Dayak Kapde Pahne

• Tension ya tanav hone par aaram dhyak kapde pahne saath hi dhyan rahe ki agar aapko relax feel karna hai to dheele-dheele kadpe pahne.
• Isse aap tanav mukt mahsoos karenge.

Khud ke Saath Samay Bitaye

• Apne baithne ke liye ek aaram dayak jagah par jaye aur waha ja kar kuch samay bitaye.
• Saath hi mann ko shant karke relax hone ki koshish kare.

Thande Pani se Muh Dhoye

• Is chhoti se trick se aapko urja milengi tatha chehre se dhul aadi bhi khatam ho jayengi.
• Saath hi aap apne aap ko tarotaaza mahsoos karenge.

Dheere aur Gahri Saans Le

• Dheemi aur gahri saans se raktchap kam karne me madad milti hai.
• Yoga ko kare, jisse aapka sharir fit hoga aur aapko ek alag si shanti ka anubhav hoga.

Aaram Dayak Jhapki Le

• Aisa lagta hai ki kuch aur thoda kaam kar lene se fayda ho jayega lekin aisa nahi hai. Neend bahut jaruri hoti hai.
• Isliye dhyan rahe ki neend hamesha puri kare aur rozana 8 ghante jarur soye.

Sar ki Malish Kare

• Sar ki malish rakt prabhav ko badane ke liye aur sar dard ko rokane ke liye bahut jaruri hoti hai.
• Neend aur tanav se ladne ke liye yeh ek shandar upay hai. Jo ki aapko har tarike se fayda pahuchahta hai.

Likhne ki Aadat Dale

• Tanav hone par patrika likhna. Apne vicharo ko isthapit kare.
• Yeh tension kam karne ka bahut accha tarika hai.

Upar aapne How to Relax Your Mind ke bare me jankari hasil ki hai. To bas aaj se jab bhi aap bahut thake huye ho ya phir tension se ghire ho to in tariko se apne aap ko relax kijiye aur hamesha swasth rahiye.

Get more details of Ways to Relax your Mind from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...