Aajkal migraine se pidit marijo ki sankhya din pratidin badti ja rahi hai. Yeh ek behad hi jatil bimari hai jisme sar dard bahut hi triv aur ashaniya roop se hota hai. Iss bimari ke hone ki sabse badi wajah galat jeevansheli aur tanav hai. Kai log ise adhkapari ke naam se bhi jante hai.
Migraine ke kai karan ho sakte hai. lekin jyadatar logo ko bhavnatmak wajaho se migraine ki dikkat hoti hai. Isliye jin logo ko uccha ya nimn raktchaap ya tanav jaisi samasya hoti hai. Unn logo ko migraine hone ki sambhavana kaafi hoti hai. Kai baar to vishele tatvo ke jamav bhi iske hone ka ek karan ho sakta hai.
Jab kabhi aap samanya mahol se dur bhid aur tanav wale mahol mai chale jate hai aur aapko sar dard ki samasya hone lagti hai to ise samanya samajhkar najar andaj naa kare aur doctor ko jarur dikhaye kyuki ho sakta hai aap migraine ke shikar ho rahe hai.
Waise to sar dard ek sadharan samasya hai. Lekin migraine mai hone wala dard asahniya ho jata hai. Yadi aapko sar mai lagatar sdard bana hua hai aur aap samjh nahi paa rahe hai ki aapko migraine he ya nahi to aap kuch jache karke iska pata kar sakte hai. Iss bare mai aur vistar se janne ke liye padhe Diagnosis Migraine in Hindi.
Diagnosis Migraine in Hindi: Adhkapari Ka Nidan Kare
Migraine Ke Dard Ki Pehchan
Kai bar sar mai dard hota hai ho sakta hai vo migraine ho par aapko pata nahi chalta kyuki isme aapko samanya dard jaisa hi mehsus hota hai. Jiski wajah se antar kar pana mushkil hai ki aapko samanya dard hai ya migraine ke karan dard ho raha hai. Isliye aapko doctor ke pas jarur jana chahiye taki doctor aapke sharirik aur neurologic janch se pata karega ki aapko migraine hai ya nahi. Janch ke bad yadi aapko iska pata chal jaye to aap migraine treatment karke iss dard se nijad dila sakte hai.
Spinal Tap (Lumbar Puncture) – Mastishk Vikaro Ka Pata Lagaye
Spinal tap ki janch tab karwai jati hai jab doctor ko shak ho ki jo dard ho raha hai wo mastishk mai kisi sankraman, ya sar mai rakt strav ki wajah se ho raha hai, tab doctor aapko spinal tap karwane ki salah dete hai.
Jab iss janch ko kiya jata hai to ek patli si sui ko aapke merudand ki asthi khand kasheruka mai dala jata hai aur kamar ke niche ke bhag se sui ke dwara asthi mai se janch ke liye sample nikala jata hai. Aur use prayogshala mai janch ke liye beja jata hai.
You May Also Like:- Janiye Migraine Symptoms in Hindi Aur Iske Karan
City Scan – Sar Dard Ke Karan Ki Janch Kare
City scans yani tomography, isme computer ki sahayata se pure sharir ki janch ki ja sakti hai. X-Ray kirno ki madad se pure mastishak ki tasveer li jati hai. Jiske dwara doctor ko pata chalta hai ki mastishk mai kisi tarah ki samasya jaise ki tumor, sankraman, sar mai khun bahana, shatigrast koshikaye aadi to nahi hai. Iss janch se unhe pata chalta hai ki sar dard ke piche koi aur karan to nahi hai.
Blood Test – Khun Ki Janch
Iss Janch mai aapke khun ki kuch bund li jati hai aur uski janch kar pata lagaya jata hai ki aapki rakt vahiniyo mai kya samasya hai. Iss janch se aapki ridh ki haddi aur mastishk mai hone wali sari samasyao ko pata karne ka prayas kiya jata hai aur rakt mai vishelo padartho ka pata lag jata hai.
Magnetic Resonance Imagining (MRI) Ki Janch
MRI, chumbkiya shetra aur radio tarango ko kaha jata hai isme chumbkiya shetra aur radio tarange milkar mastishk aur rakt vahiniyo ki puri tarah se tasveer le leti hai. Iss ke dwara doctor kuch aur jankariyo ko pukhta karna chahta hai.
MRI scan se doctor ko tumor, stroke, sar mai rakt bahna, nervous system, sankraman aur shtigrast koshika aadi inn sab se judi samasyao ka pata chal jata hai.
Upar dee gayi jancho se yeh pata chal jata hai ki aapko migraine he ya nahi. Iske alawa yeh janche isliye bhi mahatvapurna hai kyonki yadi aapko koi aur bhi samasya ho to wo bhi pakad mai aa jati hai.
Migraine mai Dhyan Rakhne Wali Bate
Migraine Headache ashaniya hota hai jisko kam karne ke liye aap niche diye gaye upayo ko kare taaki jab bhi aap iss pidha se gujre aapko aaram mile aur dard mai kuch rahat mile.
Sar Ko Thandak De: Yeh migraine ke dard ko kam karne ka sabse aasan upay hai jisme aapko mehnat nahi karni padegi . Jab bhi aapko sar dard ho to barf ko ek kapde mai dalkar use sar ke niche rakhe. Isse aapke sar ka rakt pravah niyantrit rehta hai aur sar dard kam ho jata hai. Jaha par bhi aapko dard hai waha halke hatho se ragde.
Faydemand Aromatherapy: Aromatherapy ke waise to kai sare fayde hai kyuki isme kai telo ka mishran hota hai. Jab bhi aapko migraine ki samasya hoti hai babuna, pudina aur nilgiri ke itra ki khusboo dard se rahat dilane mai madad karti hai. Aap chahe to kai aur jadi butiyo ka prayog bhi kar sakte hai aur dekhe ki aapko konsi jadi buti rahat de rahi hai.
Magnesium De Migraine se Rahat: Magnesium migraine ke marijo ke liye bahut faydemand mana jata hai. Kyoki magnesium rakt sharkara aur raktchaap ke star ko niyantrit karne ka kaam karta hai. Agar aap apne aahar mai 500 mg magnesium ka sevan roj karenge to migraine ki samasya mai aapko fayda hota hai.
You May Also Like:- Yoga for Migraine in Hindi: Sar Dard Se Chutkara Paye
Karagar Hai Hydrotherapy: Hydrotherapy sabse aasan tarika hai. Iss prakriya ke douran sar mai rakt pravaah samanya rup se hota hai aur sar ka dard kam hota hai. Migraine ke dard se rahat ke liye aap thande pani mai pair rakhe aur sar ke piche garam pani ki bottle rakh de. Aapko kaafi aaram milega.
Yog Ka Le Sahara: Yoga karne se aapka swasth bahut accha rehta hai. Usi tarah kuch yoga asanas ko karne se aapko migraine ke dard se bhi rahat milegi.
- Hastapadasana: Yeh aasan aapke pure sharir ko urja se bhar deta hai aur rakt ke sanchar ko badata hai. Sath hi aapke ashant man ko bhi shant karta hai.
- Setu Bandhasana: Iss aasan mai aapka rakt sanchaar badta hai aur mastishak ko aaram aur man mai shanti ka anubhav hota hai. Iss aasan ko jab aap karte hai to rakt mastishak ki aur badta hai jisse aapko migraine ke dard mai rahat milti hai.
- Marjaryasana: Marjaryasana aapko man ki shanti deta hai aur tanav ko kam karta hai. Jab aap iss aasan ko karte hai to aapke pure sharir ki manspeshiya ko aaram milta hai aur dard mai rahat milti hai.
- Padmasana: Padmasana ya Kamalasana ko karne se tanav se mukti milti hai aur sar dard mai bhi aaram pahuchata hai.
Jane Migraine mai Kya Khane Se Bachna Chahiye
Mastishk mai hormone ka asantulan aur badalta hua mousam, migraine ko prabhavit karta hai. Iske atirikt kuch khadya padharth bhi migraine ke dard ko badhate hai. Aaiye jante hai unn aaharo ke bare mai taki aap iss dard se bach sake.
Beans: Beans ka sevan karne se migraine ka dard aur bhi jyada bad jata hai. Soya sauce, matar ki phali aadi ko khane se bhi migraine ka dard bad jata hai. Isliye adhkapari ke rogiyo ko inko khane se bachna chahiye.
Paneer Ka Sevan: Paneer bhi migraine ke dard ko badata hai isliye jisko bhi migraine ki shikayat hai to iska sevan na kare.
Sukhe Meve Ko Khane Se Bache: Sukhe meve jaise kaju, badam, akhroth, mungphali, kishmish aadi migraine ke dard ko bada dete hai. Darahsal sukhe mevo mai sulfite paya jata hai jo dard ko badhane ke liye jimmedar hai.
Khatte Phal aur Kela: Kela ya koi aur khatte phal jaise santra aadi ka sevan na kare. Yeh phal migraine ke dard ko bahut bada dete hai.
Madira Ka Sevan Na Kare: Aap madira ka sevan karte hai to mastishk mai rakt ka pravah acche se nahi hota hai aur migraine se grasit marij ka dard bad jata hai. Isliye madira ka sevan na kare.
Upar aapne jana Diagnosis Migraine in Hindi aur ise badhane wale aaharo ke bare mai. Yadi aapko bhi lagatar dard bana hua hai to chikitsak ko dikhane mai bilkul bhi der naa kare.