Yoga Asanas in Hindi: Swasth Jindagi Jine Ke Liye Apnaye

Har koi vyakti swasth rehna chahta hai. Swasth rehne ke liye sahi tarah ka khan pan aur vyayam bahut jaruri hai. Lekin aajkal ke vyast mahol mai kisi ke pass vyayam ke liye samay nahi hai. Aur santulit aahar lene ke bajay log fast food ka sevan jaise pizza, burger aadi chize jyada pasand karne lage hai.

Iss tarah ki galat jivan sheli ke chalte logo ko kai bimariya gher leti hai. Sharir par motapa bhi badhane lagta hai. Iske alawa hamare sharir ke aswasth rehne ke karan jindagi ke din bhi kam ho jate hai. Umra ke pehle hi kai bimariyo ke chalte logo ki mrityu hoi jati hai.

Lekin yog aesi prakriya hai jisse hamare sharir ko swasth banaya ja sakta hai. Agar yog ka niyamit tour par palan kiya jaye to vyakti 150 varsh tak bhi ji sakta hai. Yog me kiye jane wale aasano se sharir ko kai labh milte hai. Har aasan ko karne se alag alag fayde milte hai.

Yadi aap bhi swasth jivan jina chahte hai to yogasano ko jarur apnaye. Inn aasano se aapka sharir swasth rahega. Iske atirikt aapke sharir mai urja ka vikas hoga. Isse aapko shararik aur mansik kai labh milenge. To aaiye jante hai Yoga Asanas in Hindi, aur isse milne wale labho ke bare mai.
 

Yoga Asanas in Hindi: Jane Inse Milne Wale Labh

 
Yoga Asanas in Hindi
 

Kati Chakrasana – Mashpesiya Majbut Banaye

Kati ka matlab hota hai kamar. Iss aasan ko karne se kamar ki charbi ghatati hai. Iske alawa yeh aasan gardan, kulhe, aur jhangho ko bhi sudhol banata hai. Iss aasan ko niyamit roop se karne se mashpesiya majboot banti hai. Iske alawa mansik aur shararik thakavat ko dur karne ke liye bhi yeh faydemand hai.
 

Naukasana – Nervous System Behtar Banaye

Iss aasan mai hamare sharir ki aakrati nauka yane ki boat ke saman dikhai deti hai. Agar aapke tond bahut jyada badhi hui hai to yeh aasan karna aapke liye faydemand hoga. Iss aasan ka abhyas niyamit roop se karne par pachan kriya aur choti badhi aanta mai fayda milta hai. Iss aasan ko karte wakt anguliyo aur anguthe mai khichav hota hai, jiske chalte rakt pravah sudharta hai aur kaya nirogi banti hai. Isse karne se haddiya majboot banti hai aur nervous system behatar hota hai.
 

Tadasan – Sharir Ko Tarotaja Banaye

Aapne hamesha suna hoga ki tadasan karne se sharir ki lambai badhti hai. Ham aapko batana chahte hai ki ise karne se aap tarotaja bhi mehsus karte hai. Yeh aasan mashpeisyo mai lachilapan lata hai aur nervous system ko sudharta hai. Iske alawa jodo ka dard, gardan ka dard, gathiya aur slip disk mai bhi isse labh pahuchta hai.
 

You May Also Like:- Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi se Apna Vajan Ghataye

 

Vajrasan- Pachan Tantra Sucharu Rakhe

Vajrasan yog din mai kabhi bhi kar sakte hai. Yaha tak ki ise khana khane ke baad bhi kiya jata hai. Yeh ek asardari Yoga Asanas for Flat Stomach hai. Jin logo ka pet sahi nahi rehta hai aur gas ki sikayat bani rehti hai unn logo yeh aasan jarur karna chahiye. Yeh sharir ke metabolism ko thik rakhta hai. Jo log apna vajan ghatana chahte hai aur accha figure chahte hai unhe yeh yog jarur karna chahiye.
 

Sirsasana – Sundarta Badhaye

Iss aasan ko sar ke bal kiya jata hai. Isliye ise Sirsasana kehte hai. Isse karne se tanav dur hota hai. Isse mashtiksha mai rakt sanchar bhi sudharta hai jisse ji smaran shakti badhti hai. Yeh aasan karna thoda muskil hota hai. Ise karna kathin to hai lekin ise karne se kai bimariya dur hoti hai.

Sirsasana karne se chehre ki sundarta badhti hai aur baal jharna band ho jate hai. Ise karne se jhuriya bhi dur hoti hai, kyoki ise karte wakt hamara sar niche ki aur hota hai, jisse ki oxygen chehre ki taraf sancharit hoti hai aur chehre par glow aane lagta hai.
 

Shavasana Yoga Pose – Man Ko Shant Kare

Iss aasan mai sharir ki mudra shav ki tarah hoti hai. isliye iss aasan ko shavasana kaha jata hai. Iss aasan ko karne se man shant hota hai aur thakan dur hoti hai. Jin logo ko nind naa aane ki sikayat rehti hai. Unke liye bhi yeh aasan ko karna faydemand hai. Yeh aasan karne mai sabse aasan hai lekin Savasana Benefits kai hai. Ise karne se rakt sanchar sudharta hai. Uccha raktchaap walo ke liye yeh bahut labhdayak aasan hai.

Aaj aapne jana Yoga Asanas in Hindi. Yog aasan karne se hamare sharir ke har anga ka vyayam hota hai. Ise karne se sharir swasth aur sudhol banta hai. Upar diye gaye aasano ko karne se hamare sharir mai sfurti aati hai. Isse hamare sharir ka mansik aur shararik vikas hota hai. Aap bhi upar diye gaye aasano se labh paa sakte hai.
 

Loading...

You may also like...