Diwali hinduo ka ek pramukh tyohar hai. Jab bhi koi tyohar aata hai to mahilaye sajti, sawarti hai. To iss khas tyohar par to mahila sajne sawarne mai koi kasar kaise chod sakti hai. Makeup karne se mahilao ki sundarta doguni dikhai deti hai.
Lekin har mahila ko acche se taiyar hona nahi aata hai, isliye wo beauty parlor ki aur rukh karti hai. Aap bhi yadi tyoharo par aakarshit lagna chahti hai, lekin aapka budget itna nahi hai to aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai.
Aaj ham aapko bata rahe hai Diwali Makeup Tips in Hindi. Yaha dipawali ke din kis tarah se makeup karna chahiye, yeh bataya gaya hai. Iski madad se aap ghar mai hi bahut acche se taiyar ho payegi. Ham aapko aankho se lekar hontho tak, kis tarah chehre ka makeup kiya jaye yeh batayenge.
Diwali Makeup Tips in Hindi – Aapko Banaye Khubsurat
Har mahila chahti hai ki diwali ke din wo sabke aakarshan ka kendra bane. Lekin hamari jeevansheli aur dhul mitti ke chalte hamara chehra kharab ho jata hai. Isliye aaj ham kuch Makeup Tips for Diwali bata rahe hai, taki aap iss khas din khubsurat dikh sake.
Step 1: Face Ko Clean Kare
Aapka makeup tabhi accha dikhta hai, jab aapka face clean ho. Yadi aapka face kharab ho raha ho to makeup bhi accha nahi dikhta hai. Aur to aur gande face par makeup karne se chehre par muhaso jaisi samasyae hone lagti hai.
- Face ko clean karne ke liye cleansing milk se apne chehre par 3-4 minute massage kare. Fir gile cotton ki madad se chehra ponch ke.
- Kisi acchi company ke scrubber se apne chehre par massage kare. Isse chehre ke dead cells nikal jate hai aur aapka chehra gora najar aata hai.
- Yadi aapke paas scrubber nahi hai aur aap ise nahi kharidna chahti hai to aap dardare besan ka bhi istemal kar sakti hai.
- Scrub karne ke baad chehre par ghar par bana face pack laga sakte hai. 15 minute facepack lagane ke baad muh dho le.
Step 2: Foundation Lagaye
Chehre ko saaf karne ke baad aapko chehre par foundation lagana hai. Foundation aapke chehre ko gora dikhane mai madad karta hai. Foundation ko aapko apni tone ke anusar lagana chahiye.
- Facepack lagane se aapki skin rukji ho jati hai isliye foundation mai thoda sa moisturizer mila sakte hai.
- Yadi aapki skin oily hai aur aapka makeup bahut jaldi kharab ho jata hai to aap jel based foundation ka prayog kare.
Step 3: Face Powder
Foundation ko lagane ke baad face ko final touch dena padhta hai. Iske liye face powder lagaya jata hai. Face powder ka color bhi skin ke anuroop hi chune. Lekin haa, face powder ko halka sa hi lagana chahiye. Bahut jyada lagane par face phata phata sa dikhne lagta hai.
- Diwali Celebration ke din har jagah lighting ki jhilmil hoti hai. Aese mai aap chahte hai ki aapka chehra bhi damke to shimmer based face powder lagaye.
- Face Powder lagane ke baad chehre par blusher lagana naa bhule.
Step 4: Eye Makeup
Kisi bhi makeup ko aakarshit dikhane mai eye makeup bahut madadgar hai. Eye makeup ke andar bahut sari chize aati hai jaise mascara, kajal, eyeliner, eyeshadow aadi.
- Sabse pehle aankho par eyeshadow ka istemal kare. Ya to aap apne paridhan se milta julta eye shade laga sakti hai ya to sunhare rang ka shadow laga sakti hai. Yeh sab par jachta hai.
- Eye shade lagane ke baad aankho ko accha shape dete huye eyeliner laga le. Aur yadi aapke aankho mai kajal suit karta ho to ise bhi laga le.
- Apni palko ko kala, ghana batane ke liye eye mascara Aap chahe to nakli eyelashes bhi laga skate hai. Isse aapki palke bahut ghani lagti hai. Aur aapki khubsurti doguni ho jati hai.
Step 5: Lips Ke Liye Makeup
Aapka makeup adhura lagega yadi aapke hontho par lipstick ki shine na ho. Yadi aap pura makeup kar lenge, lekin lipstick nahi lagayenge to iss ek chiz se bhi aapka makeup adhura lagega.
- Sabse pehle to apne chehre par match karta hui lipstick lagaye. Lipstick ka shade chunte wakt apne paridhan ka bhi thoda dhyan rakhe.
- Wese har kisi ko to lip liner lagana pasand nahi hai. Lekin isse lipstick acche se lagti hai. Isliye yadi aap chahe to ise laga sakte hai.
- Lipstick lagane ke baad lip gloss lagakar use complete kare. Isse hontho par chamak dikhti hai. Lipstick ke alag alag shades aap iss link se dekh sakte hai.
Upar aapne jana Diwali Makeup Tips in Hindi. Aap bhi uprokt tips ki madad se accha makeup kar sakte hai. Aur khas baat yah hai ki iss tarah se makeup karne par aapko jyada time nahi lagega. Aur haa ise karne ke baad ek acchi si hairstyle karna na bhule.