Motape se Chutkara Chahiye to Suniye Apne DNA ki

DNA Test ke aadhar par banai gayi dite lene se insaan 3 guna jyada vajan kam kar sakta hai. Hume fit rakhne ke liye humara sharer vitamin aur nutrients ko avashoshit karke metabolise karta hai. Jisme humara genes sabse aham bhumika nibhata hai. Genetic profile ki janch karke hum apni diet dwara unn poshak  tatvo se bhar sakte hai, jinki humare sharir mai kami hai.

Duniya bhar ke laakho log bina yeh jane ki unka sharir uss nutritional supplement ka sevan kiye ja rahe hai, jiske bare mai unhe pata hi nahi hai ki unka sharir use kiss tarah se metabolise karega.

DNA Test ki madad se aap yeh jan payege ki aapke sharir ko kitne poshan ki jarurat hoti hai aur uski purti kese karni chahiye.

Cheek Swab namak simple genetic test hai, jo aapki genetic profile ke bare mai batayega. DNA testing mai, gene ki puri range ka vishleshan kiya jayega jo aapke metabolism, motapa aur urja ki khapat par prabhav dalta hai.

You may also like:- Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna

Agar aap motapa kam karna chahta hai to, aapke DNA test ke aadhar par banayi gayi dincharya ka palan karna hoga. Aise kai vyayam aur gatividhiya hai, jo khaas tarah ki genetic profile ko hi suit karege. Kai body endurance exercise par accha respond deti hai to kai ke liye explosive accha hota hai.

Genetic hume humare vyaktigat body type ki pahchan karne mai madad karta hai aur saath hi exercise rezime ke piche ek vaigyanik rezime ko apni body ke aadhar par badal sakte hai. Aaiye Motape se jude kuch aur tips janane ke liye dekhe Weight Loss Tips in Hindi.

Motapa Ghatane ke Liye DNA Test

3 saal ki umra pahuchne tak mere liye sabse bada challenge tha apne vajan ko niyantrit karna. Apne lakshya kop rapt karne ke liye mene dieting aur latest exercise karni shuru ki par phir bhi koi farq nahi dikha. Haalhi mai yeh dekha gaya hai ki kuch log kha kar patle rehte hai aur wahi anya log gym mai ghanto pasina bahane ke baad hi motape nahi ghat pata hai. Yeh sab kuch humare jine par nirbhar hai.

Hum sabhi jante hai ki har insaan ka DNA alag-alag hota hai. Lekin yeh baat koi nahi janta hai ki kiss prakar se genes ke aadhar par humara sharer diet aur exercise routine ko apnata hai.

Weight Loss plan ke liye balance diet ka hona behad jaruri hai. DNA maping ke jariye hum yeh pata lagate hai ki humara sharir kin poshak tatva ko aaram se breakdown kar paa raha hai aur kinko nahi. Inhi sab chizo ko dekhkar hum apni diet ko plan kar sakte hai aur best result paa sakte hai.

Bevajah trade mill par doudne aur scout karne ki bajay hum DNA ke aadhar par best exercise ka bhi pata laga sakte hai. Yeh report exercise karne ke baad recovery time ya carbohydrate ke prati sanvedanshilta tatha jimmedar jinn par nirbhar karti hai. Yeh sab dekhkar ek exercise rezime tayar kiya jata hai jo ki vyaktigat hota hai.

Power exercise aur endurance exercise par jyada jor diya jata hai. Isse gajab ke parinam dekhne ko mile jo ki unn course se 2-3 guna behtar parinaam dete hai joy eh sab nahi karte hai.

Loading...

This website uses cookies.